الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المغازي
Kitab: Ghazwat ke bayan mein
باب مرض النبى صلى الله عليه وسلم ووفاته:
Bab: Nabi Karim ﷺ ki bimari aur Aap ﷺ ki wafat ka bayan.
Hadith Number: 4429
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، عن عبيد الله بن عبد الله، عن عبد الله بن عباس رضي الله عنهما، عن ام الفضل بنت الحارث، قالت:" سمعت النبي صلى الله عليه وسلم يقرا في المغرب ب: والمرسلات عرفا سورة المرسلات آية 1، ثم ما صلى لنا بعدها حتى قبضه الله".
Hum se Yahya bin Bukayr ne byaan kiya , kaha hum se Layth bin Saad ne byaan kiya , un se Aqeel ne , un se Ibn Shihab ne , un se Ubaydullah bin Abdullah ne , un se Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne aur un se Umm Fadl bint Harith razi Allahu anha ne byaan kiya ke main ne suna Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam Maghrib ki namaz mein «wal mursalati urfan» ki qirat kar rahe thay , is ke baad phir Aap ne hamain kabhi namaz nahi parhayi , yahan tak ke Allah Ta'ala ne Aap ki rooh qabz kar li .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 763
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: اخبرنا مالك، عن ابن شهاب، عن عبيد الله بن عبد الله بن عتبة، عن ابن عباس رضي الله عنهما، انه قال: إن ام الفضل سمعته وهو يقرا" والمرسلات عرفا، فقالت: يا بني، والله لقد ذكرتني بقراءتك هذه السورة إنها لآخر ما سمعت من رسول الله صلى الله عليه وسلم يقرا بها في المغرب".
Hum se Abdullah bin Yusuf Taneesi ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hamein Imam Malik ne Ibn Shihab se khabar di , unhon ne Muhammad bin Jubayr bin Mutim se , unhon ne apne baap (Jubayr bin Mutim) se , unhon ne byaan kiya ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko Maghrib mein Surah Tur parhte huay suna tha .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 863
حدثنا عمرو بن علي، قال: حدثنا يحيى، قال: حدثنا سفيان، حدثني عبد الرحمن بن عابس، سمعت ابن عباس رضي الله عنهما قال له رجل:" شهدت الخروج مع رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال: نعم، ولولا مكاني منه ما شهدته يعني من صغره اتى العلم الذي عند دار كثير بن الصلت، ثم خطب، ثم اتى النساء فوعظهن وذكرهن وامرهن ان يتصدقن، فجعلت المراة تهوي بيدها إلى حلقها تلقي في ثوب بلال، ثم اتى هووبلال البيت".
Hum se Amr bin Ali Fallas ne byaan kiya , kaha ke hum se Yahya bin Saeed Qattan ne byaan kiya , kaha ke hum se Sufyan Thauri ne byaan kiya , kaha ke mujh se Abdur Rahman bin Aabis ne byaan kiya , kaha ke main ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se suna aur un se ek shakhs ne yeh poocha tha ke kya tum ne (auraton ka) nikalna eid ke din Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath dekha hai ? Unhon ne kaha haan dekha hai agar main Aap ka rishta daar aziz na hota to kabhi na dekhta (yani meri kam sini aur qarabat ki wajah se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam mujh ko apne saath rakhte thay) Kathir bin Salt ke makaan ke paas jo nishaan hai pehle wahan Aap salla Allahu alaihi wasallam tashreef laye wahan Aap salla Allahu alaihi wasallam ne khutba sunaya phir Aap salla Allahu alaihi wasallam auraton ke paas tashreef laye aur unhein bhi waz o naseehat ki . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne un se khairaat karne ke liye kaha , chunanchay auraton ne apne chhallay aur anguthiyan utaar utaar kar Bilal razi Allahu anhu ke kapre mein daalni shuru kar di . Aakhir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam Bilal razi Allahu anhu ke saath ghar tashreef laye .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة