الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المغازي
Kitab: Ghazwat ke bayan mein
باب قدوم الأشعريين وأهل اليمن:
Bab: Qabila Ash’ar aur ahl-e-Yaman ki aamad ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 4386
حدثني عمرو بن علي، حدثنا ابو عاصم، حدثنا سفيان، حدثنا ابو صخرة جامع بن شداد، حدثنا صفوان بن محرز المازني، حدثنا عمران بن حصين، قال: جاءت بنو تميم إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم فقال:" ابشروا يا بني تميم"، قالوا: اما إذ بشرتنا فاعطنا، فتغير وجه رسول الله صلى الله عليه وسلم، فجاء ناس من اهل اليمن، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" اقبلوا البشرى إذ لم يقبلها بنو تميم"، قالوا: قد قبلنا يا رسول الله.
Mujh se Amr bin Ali ne byaan kiya , kaha hum se Abu Aasim Nabeel ne byaan kiya . Kaha hum se Sufyan Sawri ne byaan kiya , kaha hum se Abu Sakhrah Jami bin Shaddad ne byaan kiya , kaha hum se Safwan bin Muhriz Mazni ne byaan kiya , kaha hum se Imran bin Husain razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Banu Tamim Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huay to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke ae Banu Tamim! Bisharat qabool karo . Unhon ne kaha ke jab Aap ne hamain bisharat di hai to kuch rupaye bhi inayat farmayein . Is par Aap salla Allahu alaihi wasallam ke chehre ka rang badal gaya . Phir Yaman ke kuch Ash'ari log aaye , Aap salla Allahu alaihi wasallam ne un se farmaya ke Banu Tamim ne bisharat qabool nahi ki , Yaman walo! Tum qabool kar lo . Woh bolay hum ne qabool ki ya Rasool Allah .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3190
حدثنا محمد بن كثير، اخبرنا سفيان، عن جامع بن شداد، عن صفوان بن محرز، عن عمران بن حصين رضي الله عنهما، قال: جاء نفر من بني تميم إلى النبي صلى الله عليه وسلم، فقال: يا بني تميم ابشروا، قالوا: بشرتنا فاعطنا فتغير وجهه فجاءه اهل اليمن، فقال: يا اهل اليمن اقبلوا البشرى إذ لم يقبلها بنو تميم، قالوا: قبلنا فاخذ النبي صلى الله عليه وسلم يحدث بدء الخلق والعرش فجاء رجل، فقال:" يا عمران راحلتك تفلتت ليتني لم اقم".
Hum se Muhammad Bin Kaseer ne bayan kiya, kaha hum ko Sufyan Thauri ne khabar di, unhein Jami Bin Shaddad ne, unhein Safwan Bin Muhriz ne aur un se Imran Bin Husain (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Bani Tamim ke kuch log Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein aaye to Aap ne un se farmaya ke Ae Bani Tamim ke logo! Tumhein bisharat ho. Wo kehne lage ke bisharat jab Aap ne hum ko di hai to ab humein kuch mal bhi dijiye. Is par Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke chehra-e-mubarak ka rang badal gaya, phir Aap ki khidmat mein Yemen ke log aaye to Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne un se bhi farmaya ke Ae Yemen walo! Banu Tamim ke logon ne to khushkhabri ko qabool nahi kiya, ab tum ise qabool kar lo. Unhon ne arz kiya ke hum ne qabool kiya. Phir Aap makhluq aur Arsh-e-Ilahi ki ibtida ke bare mein guftagu farmane lage. Itne mein ek (namaloom) shakhs aaya aur kaha ke Imran! Tumhari ontni bhag gayi. (Imran Radi Allahu Anhuma kehte hain) kash, mein Aap ki majlis se na uthta to behtar hota
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4365
حدثنا ابو نعيم، حدثنا سفيان، عن ابي صخرة، عن صفوان بن محرز المازني، عن عمران بن حصين رضي الله عنهما، قال: اتى نفر من بني تميم النبي صلى الله عليه وسلم فقال:" اقبلوا البشرى يا بني تميم"، قالوا: يا رسول الله، قد بشرتنا فاعطنا، فرئي ذلك في وجهه، فجاء نفر من اليمن، فقال:" اقبلوا البشرى، إذ لم يقبلها بنو تميم"، قالوا: قد قبلنا يا رسول الله.
Hum se Abu Naeem ne byaan kiya , kaha hum se Sufyan ne byaan kiya un se Abu Sakhrah ne , un se Safwan bin Muhriz Mazni ne aur un se Imran bin Husain ne byaan kiya ke Banu Tamim ke chand logon ka (ek wafd) Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir hua to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne un se farmaya ”Ae Banu Tamim! Bisharat qabool karo .“ Woh kehne lage ke bisharat to Aap hamain de chuke , kuch maal bhi dijiye . Un ke is jawab par Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke chehra mubarak par nagowari ka asar dekha gaya , phir Yaman ke chand logon ka ek (wafd) Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir hua to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne un se farmaya ke Banu Tamim ne bisharat nahi qabool ki , tum qabool kar lo . Unhon ne arz kiya: ya Rasool Allah! Hum ko bisharat qabool hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة