الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المغازي
Kitab: Ghazwat ke bayan mein
باب سرية عبد الله بن حذافة السهمي وعلقمة بن مجزز المدلجي:
Bab: Abdullah bin Hudhafah as-Sahmi aur Alqamah bin Mujazziz al-Mudliji Radiallahu Anhuma ke dastah ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 4340
حدثنا مسدد، حدثنا عبد الواحد، حدثنا الاعمش، قال: حدثني سعد بن عبيدة، عن ابي عبد الرحمن، عن علي رضي الله عنه، قال: بعث النبي صلى الله عليه وسلم سرية، فاستعمل رجلا من الانصار وامرهم ان يطيعوه، فغضب، فقال: اليس امركم النبي صلى الله عليه وسلم ان تطيعوني؟ قالوا: بلى، قال: فاجمعوا لي حطبا، فجمعوا، فقال: اوقدوا نارا، فاوقدوها، فقال: ادخلوها، فهموا، وجعل بعضهم يمسك بعضا، ويقولون: فررنا إلى النبي صلى الله عليه وسلم من النار، فما زالوا حتى خمدت النار، فسكن غضبه، فبلغ النبي صلى الله عليه وسلم، فقال:"لو دخلوها ما خرجوا منها إلى يوم القيامة، الطاعة في المعروف".
Hum se Musaddad bin Musarhad ne byaan kiya , kaha hum se Abdul Wahid bin Ziyad ne byaan kiya , kaha hum se Aamash ne byaan kiya , kaha mujh se Saad bin Ubaydah ne byaan kiya , un se Abu Abdur Rahman Aslami ne aur un se Ali razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne ek mukhtasar lashkar rawana kiya aur is ka ameer ek Ansari sahabi (Abdullah bin Huzafah Sahmi razi Allahu anhu) ko banaya aur lashkariyon ko hukm diya ke sab apne ameer ki itaat karein phir ameer kisi wajah se ghussa ho gaye aur apne faujiyon se poocha ke kya tumhein Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne meri itaat karne ka hukm nahi farmaya hai ? Sab ne kaha ke haan farmaya hai . Unhon ne kaha phir tum sab lakriyan jama karo . Unhon ne lakriyan jama kien to ameer ne hukm diya ke is mein aag lagao aur unhon ne aag laga di . Ab unhon ne hukm diya ke sab is mein kood jao . Fauji kood jana hi chahte thay ke unhein mein se baaz ne baaz ko roka aur kaha ke hum to is aag hi ke khauf se Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki taraf aaye hain! In baaton mein waqt guzar gaya aur aag bhi bujh gayi . Is ke baad ameer ka ghussa thanda ho gaya . Jab is ki khabar Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko pahunchi to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke agar yeh log is mein kood jate to phir qayamat tak is mein se na nikalte . Itaat ka hukm sirf naik kaamon ke liye hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7145
حدثنا عمر بن حفص بن غياث، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، حدثنا سعد بن عبيدة، عن ابي عبد الرحمن، عن علي رضي الله عنه، قال:" بعث النبي صلى الله عليه وسلم سرية، وامر عليهم رجلا من الانصار وامرهم ان يطيعوه، فغضب عليهم، وقال: اليس قد امر النبي صلى الله عليه وسلم ان تطيعوني، قالوا: بلى، قال: قد عزمت عليكم لما جمعتم حطبا واوقدتم نارا ثم دخلتم فيها، فجمعوا حطبا فاوقدوا نارا، فلما هموا بالدخول فقام ينظر بعضهم إلى بعض، قال بعضهم: إنما تبعنا النبي صلى الله عليه وسلم فرارا من النار افندخلها، فبينما هم كذلك، إذ خمدت النار وسكن غضبه، فذكر للنبي صلى الله عليه وسلم، فقال: لو دخلوها ما خرجوا منها ابدا، إنما الطاعة في المعروف".
`Hum se Umar bin Hafs bin Ghiyas ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se A'mash ne bayan kiya, un se Saad bin Ubaida ne bayan kiya, un se Abu Abdur Rahman ne bayan kiya aur un se Ali Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne ek dasta bheja aur is par Ansar ke ek shakhs ko ameer banaya aur logon ko hukm diya ke in ki ita'at karein. Phir ameer-e-fauj ke logon par gussa hue aur kaha ke kya Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne tumhein meri ita'at ka hukm nahi diya hai? Logon ne kaha ke zaroor diya hai. Is par unhon ne kaha ke mein tumhein hukm deta hoon ke lakri jama karo aur is se aag jalao aur is mein kood pado. Logon ne lakri jama ki aur aag jalayi, jab koodna chaha to ek doosre ko log dekhne lage aur in mein se baaz ne kaha ke hum ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ki farman-bardari aag se bachne ke liye ki thi, kya phir hum is mein khud hi dakhil ho jayein. Isi dauran mein aag thandi ho gayi aur ameer ka gussa bhi jata raha. Phir Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se is ka zikr kiya gaya to Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke agar yeh log is mein kood padte to phir is mein se na nikal sakte. Ita'at sirf acchi baaton mein hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7257
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن زبيد، عن سعد بن عبيدة، عن ابي عبد الرحمن، عن علي رضي الله عنه، ان النبي صلى الله عليه وسلم" بعث، جيشا وامر عليهم رجلا، فاوقد نارا، وقال: ادخلوها فارادوا ان يدخلوها، وقال آخرون: إنما فررنا منها، فذكروا للنبي صلى الله عليه وسلم، فقال للذين ارادوا ان يدخلوها: لو دخلوها لم يزالوا فيها إلى يوم القيامة، وقال للآخرين: لا طاعة في معصية، إنما الطاعة في المعروف".
`Hum se Muhammad bin Bashar ne bayan kiya, kaha hum se Ghandar ne bayan kiya, kaha hum se Shu'ba ne bayan kiya, un se Zubaid ne, un se Saad bin Ubaida ne, un se Abu Abdur Rahman ne aur un se Ali Radi Allahu Anhu ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne ek lashkar bheja aur is ka ameer ek sahab Abdullah bin Huzafa Sahmi ko banaya, phir (us ne kya kiya ke) aag jalwayi aur (lashkariyon se) kaha ke is mein dakhil ho jao. Jis par baaz logon ne dakhil hona chaha lekin kuch logon ne kaha ke hum aag hi se bhag kar aaye hain. Phir is ka zikr Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se kiya to Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne un se farmaya ke jinhon ne aag mein dakhil hone ka irada kiya tha ke agar tum is mein dakhil ho jate to is mein qayamat tak rehte. Aur doosre logon se kaha ke Allah Ta'ala ki nafarmani mein kisi ki ata'at halal nahi hai ata'at sirf naik kaamon mein hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة