الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المغازي
Kitab: Ghazwat ke bayan mein
باب أين ركز النبى صلى الله عليه وسلم الراية يوم الفتح:
Bab: Fath-e-Makkah ke din Nabi Karim ﷺ ne jhanda kahan gaara tha?
Hadith Number: 4281
حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة، عن معاوية بن قرة، قال: سمعت عبد الله بن مغفل، يقول: رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم يوم فتح مكة على ناقته وهو يقرا سورة الفتح يرجع، وقال:" لولا ان يجتمع الناس حولي لرجعت كما رجع".
Hum se Abu al-Waleed ne byaan kiya ‘ kaha hum se Shubah ne byaan kiya ‘ un se Muawiyah bin Qurrah ne byaan kiya ‘ unhon ne Abdullah bin Mughaffal razi Allahu anhu se suna ‘ unhon ne byaan kiya ke main ne dekha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam Fatah Makkah ke mauqa par apne oont par sawar hain aur khush alhani ke saath Surah al-Fatah ki tilawat farma rahe hain . Muawiyah bin Qurrah razi Allahu anhu ne kaha ke agar is ka khatra na hota ke log mujhe gher lain ge to main bhi isi tarah tilawat kar ke dikhata jaise Abdullah bin Mughaffal razi Allahu anhu ne parh kar sunaya tha .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4835
حدثنا مسلم بن إبراهيم، حدثنا شعبة، حدثنا معاوية بن قرة، عن عبد الله بن مغفل، قال:" قرا النبي صلى الله عليه وسلم يوم فتح مكة سورة الفتح، فرجع فيها"، قال معاوية: لو شئت ان احكي لكم قراءة النبي صلى الله عليه وسلم لفعلت".
Hum se Muslim bin Ibrahim ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne byaan kiya , kaha hum se Muawiyah bin Qurrah ne byaan kiya aur un se Abdullah bin Mugaffal razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne Fatah Makkah ke din Surah al-Fatah khoob khush-alhani se parhi . Muawiyah bin Qurrah ne kaha ke agar main chahoon ke tumhare samne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki is mauqa par tarz e qirat ki naqal karoon to kar sakta hoon .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5034
حدثنا حجاج بن منهال، حدثنا شعبة، قال: اخبرني ابو إياس، قال: سمعت عبد الله بن مغفل، قال:" رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم يوم فتح مكة وهو يقرا على راحلته سورة الفتح".
Hum se Hajjaj bin Minhal ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Shubah ne byaan kiya , kaha ke mujhe Abu Iyas ne khabar di , kaha ke main ne Abdullah bin Mugaffal razi Allahu anhu se suna , unhon ne byaan kiya ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko Fatah Makkah ke din dekha ke Aap sawari par Surah al-Fatah ki tilawat farma rahe thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5047
حدثنا آدم بن ابي إياس، حدثنا شعبة، حدثنا ابو إياس، قال: سمعت عبد الله بن مغفل، قال:" رايت النبي صلى الله عليه وسلم يقرا وهو على ناقته او جمله وهي تسير به وهو يقرا سورة الفتح، او من سورة الفتح قراءة لينة يقرا وهو يرجع".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne byaan kiya , kaha hum se Abu Iyas ne byaan kiya , kaha ke main ne Abdullah bin Mugaffal razi Allahu anhu se suna , unhon ne byaan kiya ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko dekha ke Aap salla Allahu alaihi wasallam apni oontni ya oont par sawar ho kar tilawat kar rahe thay sawari chal rahi thi aur Aap salla Allahu alaihi wasallam Surah al-Fatah parh rahe thay ya (rawi ne yeh byaan kiya ke) Surah al-Fatah mein se parh rahe thay narmi aur aahistagi ke saath qirat kar rahe thay aur aawaz ko halaq mein dohrate thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7540
حدثنا احمد بن ابي سريج، اخبرنا شبابة، حدثنا شعبة، عن معاوية بن قرة، عن عبد الله بن مغفل المزني، قال:" رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم يوم الفتح على ناقة له يقرا سورة الفتح، او من سورة الفتح، قال: فرجع فيها، قال: ثم قرا معاوية يحكي قراءة ابن مغفل، وقال: لولا ان يجتمع الناس عليكم لرجعت كما رجع ابن مغفل يحكي النبي صلى الله عليه وسلم، فقلت لمعاوية: كيف كان ترجيعه؟، قال: آ آ آ ثلاث مرات".
Hum se Ahmad bin Abi Sareeh ne bayan kiya , kaha hamako Shababah ne khabar di , kaha hum se Shubah ne bayan kiya , in se Muawiyah bin Qurrah ne , in se Abdullah bin Mughaf-fal Mazni razi Allahu anhune bayan kiya ke main ne Fatah Makkah ke din Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko dekha ke Aap apni ek oontni par sawar thay aur Surah al-Fatah parh rahe thay ya Surah al-Fatah mein se kuch aayat parh rahe thay . Unhon ne bayan kiya ke phir Aap ne is mein tarjee ki . Shubah ne kaha yeh hadees bayan kar ke Muawiyah ne is tarah aawaz dohara kar qiraat ki jaise Abdullah bin Mughaf-fal kiya karte thay aur Muawiyah ne kaha agar mujhko is ka khayal na hota ke log tumhare paas jama ho kar hujoom karein ge to main isi tarah aawaz dohara kar qiraat karta jis tarah Abdullah bin Mughaf-fal ne Nabi kareem salla Allahu alaihi wasallam ki tarah aawaz dohrane ko naqal kiya thu . Shubah ne kaha main ne Muawiyah se poochha Ibn Mughaf-fal kyun kar aawaz dohrate thay ? Unhon ne kaha aa-aa-aa teen teen baar madd ke saath aawaz dohrate thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7541
وقال ابن عباس: اخبرني ابو سفيان بن حرب، ان هرقل دعا ترجمانه، ثم دعا بكتاب النبي صلى الله عليه وسلم، فقراه: بسم الله الرحمن الرحيم من محمد عبد الله ورسوله إلى هرقل ويا اهل الكتاب تعالوا إلى كلمة سواء بيننا وبينكم الآية.
Aur Ibn Abbas raziAllahu anhuma ne bayan kiya ke mujhe Abu Sufyan bin Harb ne khabar di ke Heraclius ne apne tarjuman ko bulaya . Phir Nabi kareem salla Allahu alaihi wasallam ka khatt mangwaya aur usay parha . Shuru Allah ke naam se jo bahut nihayat raham karne wala bada meherban hai . Allahke bande aur is ke Rasool Muhammad salla Allahu alaihi wasallam ki taraf se Heraclius ki jaanib . Phir yeh aayat likhi ku «yaaa ahl-al-kitaabi ta-aalau ilaa kalimatin sawaaa-im-bainanaa wa bainakum» ke ”Ae Kitab walo! is baat par aa jao jo ham mein tum mein yak-saan maani jaati hai“ aakhir aayat tak .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة