الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المغازي
Kitab: Ghazwat ke bayan mein
باب غزوة موتة من أرض الشأم:
Bab: Ghazwah-e-Mu’tah ka bayan jo sar-zameen-e-Sham mein sanah 8 Hijri mein hua tha.
Show diacritics
Hadith Number: 4267
حدثني عمران بن ميسرة، حدثنا محمد بن فضيل، عن حصين، عن عامر، عن النعمان بن بشير رضي الله عنهما، قال:" اغمي على عبد الله بن رواحة، فجعلت اخته عمرة تبكي وا جبلاه وا كذا وا كذا تعدد عليه، فقال حين افاق: ما قلت شيئا إلا قيل لي آنت كذلك"،
Mujh se Imran Bin Maisara ne bayan kiya ‘ kaha hum se Muhammad Bin Fuzail ne bayan kiya ‘ in se Husain Bin Abdur Rahman ne ‘ in se Amir Shabi ne aur in se Numan Bin Bashir ne ke Abdullah Bin Rawaha Radi Allahu Anhu par (ek martaba kisi marz mein) be-hoshi tari hui to in ki bahen Amrah walida Numan Bin Bashir ye samajh kar ke koi hadisa aa gaya ‘ Abdullah Bin Rawaha Radi Allahu Anhu ke liye pukar kar rone lagin. Haye mere bhai haye ‘ mere aise aur waise. In ke mahasin is tarah ek ek kar ke ganane lagin lekin jab Abdullah Radi Allahu Anhu ko hosh aaya to unhon ne kaha ke tum jab meri kisi khoobi ka bayan karti thin to mujh se poocha jata tha ke kya tum waqeyi aise hi thay
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1268
حدثنا مسدد، حدثنا حماد بن زيد، عن عمرو وايوب , عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهم , قال:" كان رجل واقف مع النبي صلى الله عليه وسلم بعرفة فوقع عن راحلته، قال ايوب: فوقصته، وقال عمرو: فاقصعته فمات فقال: اغسلوه بماء وسدر وكفنوه في ثوبين، ولا تحنطوه ولا تخمروا راسه، فإنه يبعث يوم القيامة"، قال ايوب: يلبي، وقال عمرو: ملبيا.
Hum se Musaddad ne byaan kiya , un se Hammad bin Zayd ne , un se Amr aur Ayub ne , un se Saeed bin Jubayr ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne ke ek shakhs Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath maidan-e-Arafat mein khara hua tha , achanak woh apni sawari se gir para . Ayub ne kaha ountni ne us ki gardan tor daali . Aur Amr ne yoon kaha ke ountni ne us ko girte hi maar daala aur is ka intiqal ho gaya to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke ise paani aur beri ke patton se ghusl do aur do kapron ka kafan do aur khushbu na lagao na sar dhako kyonke Qayamat mein yeh uthaya jaye ga . Ayub ne kaha ke (yani) talbiya kehte huay (uthaya jaye ga) aur Amr ne (apni riwayat mein «mulabbi» ke bajaye) «mulabbiyan» ka lafz naqal kiya . (yani Labbaik kehta hua uthe ga) .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة