الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المغازي
Kitab: Ghazwat ke bayan mein
باب غزوة خيبر:
Bab: Ghazwah-e-Khaybar ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 4239
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا عمرو بن يحيى بن سعيد، قال: اخبرني جدي ان ابان بن سعيد اقبل إلى النبي صلى الله عليه وسلم، فسلم عليه، فقال ابو هريرة:" يا رسول الله، هذا قاتل ابن قوقل"، وقال ابان لابي هريرة:" واعجبا لك وبر تدادا من قدوم ضان ينعى علي امرا اكرمه الله بيدي ومنعه ان يهينني بيده".
Hum se Musa Bin Ismail ne bayan kiya ‘ kaha hum se Amr Bin Yahya Bin Saeed ne bayan kiya ‘ kaha ke mujhe mere dada ne khabar di aur unhein Aban Bin Saeed Radi Allahu Anhu ne ke wo Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein hazir hue aur salam kiya. Abu Huraira Radi Allahu Anhu bole ke Ya Rasul Allah! Ye to Ibn Qauqal ka qatil hai aur Aban Radi Allahu Anhu ne Abu Huraira Radi Allahu Anhu se kaha hairat hai is «wabr» par jo Qadum-ul-Zan se abhi utra hai aur mujh par ayib lagata hai ek aise shakhs par ke jis ke hath se Allah Ta'ala ne unhein (Ibn Qauqal Radi Allahu Anhu ko) izzat di aur aisa na hone diya ke in ke hath se mujhe zaleel karta
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2827
حدثنا الحميدي، حدثنا سفيان، حدثنا الزهري، قال: اخبرني عنبسة بن سعيد عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال:" اتيت رسول الله صلى الله عليه وسلم وهو بخيبر بعد ما افتتحوها، فقلت: يا رسول الله، اسهم لي، فقال: بعض بني سعيد بن العاص لا تسهم له يا رسول الله، فقال ابو هريرة: هذا قاتل ابن قوقل، فقال ابن سعيد بن العاص: واعجبا لوبر تدلى علينا من قدوم ضان ينعى علي قتل رجل مسلم اكرمه الله على يدي، ولم يهني على يديه، قال: فلا ادري اسهم له ام لم يسهم له"، قال سفيان: وحدثنيه السعيدي، عن جده، عن ابي هريرة، قال ابو عبد الله:السعيدي هو عمرو بن يحيى بن سعيد بن عمرو بن سعيد بن العاص.
Hum se Humaidi ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan Bin Uyainah ne bayan kiya kaha hum se Zuhri ne bayan kiya, kaha ke mujhe Anbasah Bin Saeed ne khabar di aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan farmaya ke mein jab Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein hazir hua to Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Khaibar mein thehre hue thay aur Khaibar fatah ho chuka tha, mein ne arz kiya ya Rasul Allah! Mera bhi (maal-e-ghanimat mein) hissa lagaiye. Saeed Bin Al-Aas ke ek larke (Aban Bin Saeed Radi Allahu Anhu) ne kaha ya Rasul Allah! In ka hissa na lagaiye. Is par Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) bole ke ye shakhs to Ibn Qautal (Numan Bin Malik Radi Allahu Anhu) ka qatil hai. Aban Bin Saeed (Radi Allahu Anhu) ne kaha kitni ajeeb baat hai ke ye janwar (yani Abu Hurairah abhi to pahar ki choti se bakriyan charate charate yahan aa gaya hai aur ek musalman ke qatl ka mujh par ilzam lagata hai. Is ko ye khabar nahi ke jise Allah Ta'ala ne mere hathon se (shahadat) izzat di aur mujhe is ke hathon se zaleel hone se bacha liya (agar is waqt mein mara jata) to dozakhi hota, Anbasah ne bayan kiya ke ab mujhe ye nahi maloom ke Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne un ka bhi hissa lagaya ya nahi. Sufyan ne bayan kiya, kaha ke mujh se Saeedi ne apne dada ke waste se bayan kiya aur unhon ne Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) se. Abu Abdullah (Imam Bukhari Rahimahullah) ne kaha ke Saeedi se murad Amr Bin Yahya Bin Saeed Bin Amr Bin Saeed Bin Aas hain
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة