الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْجِهَادِ وَالسِّيَرِ
The Book of Jihad (Fighting For Allah’S Cause)
بَابُ الْكَافِرِ يَقْتُلُ الْمُسْلِمَ ثُمَّ يُسْلِمُ فَيُسَدِّدُ بَعْدُ وَيُقْتَلُ:
Chapter. (What about) a disbeliever who kills a Muslim and later on embraces Islam and starts doing good deeds and gets killed (in Allah’s Cause)?
Show diacritics
Hadith Number: 2826
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة رضي الله عنه ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" يضحك الله إلى رجلين يقتل احدهما الآخر يدخلان الجنة، يقاتل هذا في سبيل الله فيقتل، ثم يتوب الله على القاتل فيستشهد".
Hum se Abdullah Bin Yusuf Tanisi ne bayan kiya, kaha hum ko Imam Malik ne khabar di Abu-uz-Zinad se, unhon ne Aaraj se aur unhon ne Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) se ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya " (Qayamat ke din) Allah Ta'ala aise do aadmiyon par hans de ga ke un mein se ek ne doosre ko qatl kiya tha aur phir bhi donon jannat mein dakhil ho gaye. Pehla wo jis ne Allah ke raste mein jihad kiya wo shaheed ho gaya, is ke baad Allah Ta'ala ne qatil ko tauba ki taufiq di aur wo bhi Allah ki raah mein shaheed hua. Is tarah donon qatil o maqtool bil-akhir jannat mein dakhil ho gaye."
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 2827
حدثنا الحميدي، حدثنا سفيان، حدثنا الزهري، قال: اخبرني عنبسة بن سعيد عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال:" اتيت رسول الله صلى الله عليه وسلم وهو بخيبر بعد ما افتتحوها، فقلت: يا رسول الله، اسهم لي، فقال: بعض بني سعيد بن العاص لا تسهم له يا رسول الله، فقال ابو هريرة: هذا قاتل ابن قوقل، فقال ابن سعيد بن العاص: واعجبا لوبر تدلى علينا من قدوم ضان ينعى علي قتل رجل مسلم اكرمه الله على يدي، ولم يهني على يديه، قال: فلا ادري اسهم له ام لم يسهم له"، قال سفيان: وحدثنيه السعيدي، عن جده، عن ابي هريرة، قال ابو عبد الله:السعيدي هو عمرو بن يحيى بن سعيد بن عمرو بن سعيد بن العاص.
Hum se Humaidi ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan Bin Uyainah ne bayan kiya kaha hum se Zuhri ne bayan kiya, kaha ke mujhe Anbasah Bin Saeed ne khabar di aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan farmaya ke mein jab Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein hazir hua to Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Khaibar mein thehre hue thay aur Khaibar fatah ho chuka tha, mein ne arz kiya ya Rasul Allah! Mera bhi (maal-e-ghanimat mein) hissa lagaiye. Saeed Bin Al-Aas ke ek larke (Aban Bin Saeed Radi Allahu Anhu) ne kaha ya Rasul Allah! In ka hissa na lagaiye. Is par Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) bole ke ye shakhs to Ibn Qautal (Numan Bin Malik Radi Allahu Anhu) ka qatil hai. Aban Bin Saeed (Radi Allahu Anhu) ne kaha kitni ajeeb baat hai ke ye janwar (yani Abu Hurairah abhi to pahar ki choti se bakriyan charate charate yahan aa gaya hai aur ek musalman ke qatl ka mujh par ilzam lagata hai. Is ko ye khabar nahi ke jise Allah Ta'ala ne mere hathon se (shahadat) izzat di aur mujhe is ke hathon se zaleel hone se bacha liya (agar is waqt mein mara jata) to dozakhi hota, Anbasah ne bayan kiya ke ab mujhe ye nahi maloom ke Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne un ka bhi hissa lagaya ya nahi. Sufyan ne bayan kiya, kaha ke mujh se Saeedi ne apne dada ke waste se bayan kiya aur unhon ne Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) se. Abu Abdullah (Imam Bukhari Rahimahullah) ne kaha ke Saeedi se murad Amr Bin Yahya Bin Saeed Bin Amr Bin Saeed Bin Aas hain
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain