الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْجِهَادِ وَالسِّيَرِ
The Book of Jihad (Fighting For Allah’S Cause)
بَابُ وُجُوبِ النَّفِيرِ وَمَا يَجِبُ مِنَ الْجِهَادِ وَالنِّيَّةِ:
Chapter. The obligation of going out for Jilhad when there is a general call to arms, and what sort of Jihad and intentions are compulsory.
Hadith Number: Q2825
وقول الله عز وجل انفروا خفافا وثقالا وجاهدوا باموالكم وانفسكم في سبيل الله ذلكم خير لكم إن كنتم تعلمون سورة التوبة آية 41 لو كان عرضا قريبا وسفرا قاصدا لاتبعوك ولكن بعدت عليهم الشقة وسيحلفون بالله سورة التوبة آية 42 الآية، وقوله يايها الذين آمنوا ما لكم إذا قيل لكم انفروا في سبيل الله اثاقلتم إلى الارض ارضيتم بالحياة الدنيا من الآخرة إلى قوله على كل شيء قدير سورة التوبة آية 38 - 39 يذكر عن ابن عباس انفروا ثبات سرايا متفرقين يقال احد الثبات ثبة.
Aur Allah Ta'ala ka irshad (Surah At-Taubah mein) "Ke nikal paro halke ho ya bhari aur apne maal se aur apni jaan se Allah ki raah mein jihad karo, ye behtar hai tumhare haq mein agar tum jano, agar kuch maal aasani se mil jaane wala hota aur safar bhi mamooli hota to ye log (munafiqeen), ae Payamber! Zaroor Aap ke sath ho lete lekin un ko to (Tabook) ka safar hi door daraz maloom hua aur ye log ab Allah ki qasam khayein ge." Ke agar hum taqat rakhte to tumhare sath zaroor nikalte wo apne aap ko halak kar rahe hain aur Allah janta hai beshak wo zaroor jhoote hain. Al-Aayat aur Allah ka irshad "Ae iman walo! Tumhein kya ho gaya hai jab ke tum se kaha jata hai niklo Allah ki raah mein jihad ke liye to tum zameen par dher ho jate ho, kya tum duniya ki zindagi par aakhirat ki zindagi ke muqabla mein raazi ho gaye ho? So duniya ki zindagi ka saman to aakhirat ki zindagi ke samne bahut hi thora hai." Allah ke irshad "Aur Allah har cheez par qadir hai." Tak. Abdullah Bin Abbas (Radi Allahu Anhuma) se (pehli aayat ki tafseer mein) manqool hai ke juda juda tukriyan bana kar jihad ke liye niklo, kaha jata hai ke «sbat» (jama) «sb h» hai
.
.
Hadith Number: 2825
حدثنا عمرو بن علي، حدثنا يحيى بن سعيد، حدثنا سفيان، قال: حدثني منصور، عن مجاهد، عن طاوس، عن ابن عباس رضي الله عنهما، ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" يوم الفتح لا هجرة بعد الفتح، ولكن جهاد ونية وإذا استنفرتم فانفروا".
Hum se Amr Bin Ali Fallas ne bayan kiya, hum se Yahya Qattan ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan Sauri ne bayan kiya, kaha ke mujh se Mansur ne bayan kiya Mujahid se, unhon ne Taous se aur unhon ne Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) se ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne fatah Makkah ke din farmaya tha Makkah fatah hone ke baad (ab Makkah se Madinah ke liye) hijrat baqi nahi hai, lekin khuloos-e-niyat ke sath jihad ab bhi baqi hai is liye tumhein jihad ke liye bulaya jaye to nikal khare ho
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة