الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المغازي
Kitab: Ghazwat ke bayan mein
باب غزوة خيبر:
Bab: Ghazwah-e-Khaybar ka bayan.
Hadith Number: 4223
حدثني إسحاق، حدثنا عبد الصمد، حدثنا شعبة، حدثنا عدي بن ثابت، سمعت البراء، وابن ابي اوفى رضي الله عنهم، يحدثان عن النبي صلى الله عليه وسلم , انه قال يوم خيبر وقد نصبوا القدور:" اكفئوا القدور".
Mujh se Ishaq ne bayan kiya ‘ kaha hum se Abd-us-Samad ne bayan kiya ‘ kaha hum se Shuba ne bayan kiya ‘ in se Adi Bin Sabit ne bayan kiya ‘ unhon ne Bara Bin Azib aur Abdullah Bin Abi Aufa Radi Allahu Anhum se suna. Ye hazrat Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se bayan karte thay ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Ghazwa Khaibar ke mauqe par farmaya tha ke handiyon ka gosht phenk do ‘ is waqt handiyan chulhe par rakhi ja chuki thin
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3253
ولقاب قوس احدكم في الجنة خير مما طلعت عليه الشمس او تغرب".
Aur kisi shakhs ke liye ek kaman ke barabar Jannat mein jagah is poori dunya se behtar hai jis par sooraj tulu aur ghuroob hota hai
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4221
حدثنا حجاج بن منهال، حدثنا شعبة، قال: اخبرني عدي بن ثابت، عن البراء، وعبد الله بن ابي اوفى رضي الله عنهم:" انهم كانوا مع النبي صلى الله عليه وسلم فاصابوا حمرا، فطبخوها، فنادى منادي النبي صلى الله عليه وسلم: اكفئوا القدور".
Hum se Hajjaj Bin Minhal ne bayan kiya ‘ kaha hum se Shuba ne bayan kiya ‘ kaha mujh ko Adi Bin Sabit ne khabar di aur unhein Bara aur Abdullah Bin Abi Aufa Radi Allahu Anhuma ne ke wo log Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke sath thay ‘ phir unhein gadhe mile to unhon ne un ka gosht pakaya lekin Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke munadi ne elaan kiya ke handiyan undail do
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة