الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الصلاة
Kitab: Namaz ke ahkam o masail
باب حك المخاط بالحصى من المسجد:
Bab: Masjid mein reent ko kankri se khurach daalna.
Hadith Number: 409
حدثنا موسى بن إسماعيل، قال: اخبرنا إبراهيم بن سعد، اخبرنا ابن شهاب، عن حميد بن عبد الرحمن، ان ابا هريرة، وابا سعيد حدثاه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم راى نخامة في جدار المسجد، فتناول حصاة فحكها، فقال:" إذا تنخم احدكم، فلا يتنخمن قبل وجهه، ولا عن يمينه، وليبصق عن يساره او تحت قدمه اليسرى".
Hum se Moosa bin Ismail ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Ibrahim bin Saad ne bayan kiya , unhon ne kaha humein Ibn Shihab ne Humaid bin Abdur Rahman ke wastay se bayan kiya ke Abu Hurairah aur Abu Saeed Khudri raziyallahu anhuma ne unhen khabar di ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ne masjid ki deewar par balgham dekha , phir Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ne ek kankri li aur usay saaf kar diya . Phir farmaya ke jab tum mein se koi shakhs thookay to usay apne munh ke samne ya dayen taraf nahi thookna chahiye , balkay bayen taraf ya apne paon ke neechay thook lay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 410
حدثنا يحيى بن بكير، قال: حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، عن حميد بن عبد الرحمن، ان ابا هريرة، وابا سعيد اخبراه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم راى نخامة في حائط المسجد، فتناول رسول الله صلى الله عليه وسلم حصاة فحتها، ثم قال:" إذا تنخم احدكم فلا يتنخم قبل وجهه، ولا عن يمينه، وليبصق عن يساره او تحت قدمه اليسرى".
Hum se Yahya bin Bukair ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Layth bin Saad ne bayan kiya , unhon ne Aqeel bin Khalid ke wastay se , unhon ne Ibn Shihab se , unhon ne Humaid bin Abdur Rahman se ke Abu Hurairah aur Abu Saeed Khudri raziyallahu anhuma ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ne ek kankri se usay khurch dala aur farmaya agar tum mein se kisi ko thookna ho to usay apne chehray ke samne ya apne dayen taraf na thooka karo , balkay apne bayen taraf ya apne bayen qadam ke neechay thook saktay ho .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 411

Hadith Number: 414
حدثنا علي، قال: حدثنا سفيان، حدثنا الزهري، عن حميد بن عبد الرحمن، عن ابي سعيد، ان النبي صلى الله عليه وسلم ابصر نخامة في قبلة المسجد فحكها بحصاة، ثم" نهى ان يبزق الرجل بين يديه او عن يمينه، ولكن عن يساره او تحت قدمه اليسرى"، وعن الزهري، سمع حميدا، عن ابي سعيد نحوه.
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne bayan kiya , kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne , kaha hum se Imam Zuhri ne Humaid bin Abdur Rahman se , unhon ne Abu Saeed Khudri se ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne masjid ke qibla ki deewar par balgham dekha to aap salla Allahu alaihi wa sallam ne usay kankri se khurch dala . Phir farmaya ke koi shakhs samne ya dayen taraf na thookay , balkay bayen taraf ya bayen paon ke neechay thook lena chahiye . Doosri riwayat mein Zuhri se yun hai ke unhon ne Humaid bin Abdur Rahman se Abu Saeed Khudri ke wastay se isi tarah yeh hadees suni .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 416
حدثنا إسحاق بن نصر، قال: حدثنا عبد الرزاق، عن معمر، عن همام، سمع ابا هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:"إذا قام احدكم إلى الصلاة فلا يبصق امامه، فإنما يناجي الله ما دام في مصلاه ولا عن يمينه، فإن عن يمينه ملكا، وليبصق عن يساره او تحت قدمه فيدفنها".
Hum se Ishaq bin Nasr ne bayan kiya , unhon ne kaha humein Abdur Razzaq ne Mamar bin Rashid se , unhon ne Hammam bin Munabbih se , unhon ne Abu Hurairah raziyallahu anhu se suna woh Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam se naql karte hain ke aap salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya jab koi shakhs namaz ke liye khara ho to samne na thookay kyunke woh jab tak apni namaz ki jagah mein hota hai to Allah Taala se sargoshi karta rehta hai aur dayen taraf bhi na thookay kyunke us taraf farishta hota hai , haan bayen taraf ya qadam ke neechay thook lay aur usay mitti mein chhupa day .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة