الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المغازي
Kitab: Ghazwat ke bayan mein
باب: {إذ همت طائفتان منكم أن تفشلا والله وليهما وعلى الله فليتوكل المؤمنون} :
Bab: Jab tum mein se do jamaaten aisa irada kar baithtiin thin ke himmat haar den halanke Allah dono ka madadgar tha aur imaan-daron ko to Allah par bharosa rakhna chahiye.
Show diacritics
Hadith Number: 4065
حدثنا عبيد الله بن سعيد حدثنا ابو اسامة عن هشام بن عروة عن ابيه عن عائشة رضي الله عنها قالت لما كان يوم احد هزم المشركون، فصرخ إبليس لعنة الله عليه اي عباد الله اخراكم. فرجعت اولاهم فاجتلدت هي واخراهم فبصر حذيفة فإذا هو بابيه اليمان فقال اي عباد الله ابي ابي. قال قالت فوالله ما احتجزوا حتى قتلوه فقال حذيفة يغفر الله لكم. قال عروة فوالله ما زالت في حذيفة بقية خير حتى لحق بالله. بصرت علمت، من البصيرة في الامر، وابصرت من بصر العين ويقال بصرت وابصرت واحد.
Mujh se Abdullah Bin Saeed ne bayan kiya, kaha hum se Abu Usama ne bayan kiya, un se Hisham Bin Urwah ne, un se in ke walid Urwah ne aur un se Aisha Radi Allahu Anha ne bayan kiya ke shuru-e-jung-e-Uhud mein pehle mushrikeen shikast kha gaye thay lekin Iblees, Allah ki is par lanat ho, dhoka dene ke liye pukarne laga. Ai Ibad-Allah! (Musalmano!) Apne peeche walon se khabardar ho jao. Is par aage jo musalman thay wo laut pare aur apne peeche walon se bhir gaye. Huzaifa Bin Yaman Radi Allahu Anhu ne jo dekha to in ke walid Yaman Radi Allahu Anhu inhein mein hain (jinhein musalman apna dushman mushrik samajh kar maar rahe thay). Wo kehne lage musalmano! Ye to mere walid hain, mere walid. Urwah ne kaha, Aisha Radi Allahu Anha ne kaha, pas Allah ki qasam unhon ne in ko is waqt tak nahi chora jab tak qatl na kar liya. Huzaifa Radi Allahu Anhu ne sirf itna kaha ke Allah musalmanon ki ghalti maaf kare. Urwah ne bayan kiya ke is ke baad Huzaifa Radi Allahu Anhu barabar maghfirat ki dua karte rahe yahan tak ke wo Allah se ja mile. «basurtu» yani mein dil ki aankhon se kaam ko samajhta hoon aur «absartu» aankhon se dekhne ke liye istemal hota hai. Ye bhi kaha gaya hai ke «basurtu» aur «absartu» ke ek hi mani hain. «basurtu» dil ki aankhon se dekhna aur «absartu» zahir ki aankhon se dekhna murad hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3290
حدثنا زكرياء بن يحيى، حدثنا ابو اسامة، قال هشام اخبرنا، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" لما كان يوم احد هزم المشركون فصاح إبليس اي عباد الله اخراكم، فرجعت اولاهم فاجتلدت هي واخراهم فنظر حذيفة فإذا هو بابيه اليمان، فقال: اي عباد الله ابي ابي فوالله ما احتجزوا حتى قتلوه، فقال حذيفة: غفر الله لكم، قال: عروة فما زالت في حذيفة منه بقية خير حتى لحق بالله".
Hum se Zakariya Bin Yahya ne bayan kiya, kaha hum se Abu Usama ne bayan kiya, kaha ke Hisham ne humein apne walid Urwah se khabar di aur un se Aisha (Radi Allahu Anha) ne bayan kiya, kaha ke Uhud ki ladai mein jab mushrikeen ko shikast ho gayi to Iblees ne chilla kar kaha ke Ae Allah ke bando! (yaani Musalmano) apne peechhe walon se bacho, chunanche aage ke Musalman peechhe ki taraf pal pade aur peechhe walon ko (jo Musalman hi thay) unhon ne marna shuru kar diya. Huzaifa (Radi Allahu Anhu) ne dekha to un ke walid Yaman (Radi Allahu Anhu) bhi peechhe thay. Unhon ne bahotaira kaha ke Ae Allah ke bando! Ye mere walid hain, ye mere walid hain. Lekin Allah gawah hai ke logon ne jab tak unhein qatl na kar liya na chhoda. Baad mein Huzaifa (Radi Allahu Anhu) ne sirf itna kaha ke khair. Allah tumhein maaf kare (ke tum ne ghalat fehmi se ek Musalman ko maar dala) Urwah ne bayan kiya ke phir Huzaifa (Radi Allahu Anhu) apne walid ke qatilon ke liye barabar maghfirat ki dua karte rahe. Ta-aanke Allah se ja mile
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة