الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المغازي
Kitab: Ghazwat ke bayan mein
باب: {إذ همت طائفتان منكم أن تفشلا والله وليهما وعلى الله فليتوكل المؤمنون} :
Bab: Jab tum mein se do jamaaten aisa irada kar baithtiin thin ke himmat haar den halanke Allah dono ka madadgar tha aur imaan-daron ko to Allah par bharosa rakhna chahiye.
Show diacritics
Hadith Number: 4062
حدثنا عبد الله بن ابي الاسود , حدثنا حاتم بن إسماعيل , عن محمد بن يوسف , قال: سمعت السائب بن يزيد , قال:" صحبت عبد الرحمن بن عوف , وطلحة بن عبيد الله , والمقداد , وسعدا رضي الله عنهم , فما سمعت احدا منهم يحدث عن النبي صلى الله عليه وسلم إلا اني سمعت طلحة يحدث عن يوم احد".
Hum se Abdullah Bin Abi Al-Aswad ne bayan kiya, kaha hum se Hatim Bin Ismail ne bayan kiya, un se Muhammad Bin Yusuf ne bayan kiya, un se Saib Bin Yazid ne ke mein, Abdur Rahman Bin Auf, Talha Bin Ubaidullah, Miqdad Bin Aswad aur Saad Bin Abi Waqqas (Radi Allahu Anhum) ki suhbat mein raha hoon lekin mein ne in hazrat mein se kisi ko Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se koi hadees bayan karte nahi suna. Sirf Talha Radi Allahu Anhu se Ghazwa Uhud ke mutaliq hadees suni thi
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2824
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا حاتم، عن محمد بن يوسف، عن السائب بن يزيد، قال: صحبت طلحة بن عبيد الله وسعدا والمقداد بن الاسود وعبد الرحمن بن عوف رضي الله عنهم، فما سمعت احدا منهم يحدث، عن رسول الله صلى الله عليه وسلم إلا اني سمعت طلحة، يحدث عن يوم احد.
Hum se Qutaiba Bin Saeed ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Hatim ne bayan kiya Muhammad Bin Yusuf se, un se Saib Bin Yazid (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke mein Talha Bin Ubaidullah, Saad Bin Abi Waqas, Miqdad Bin Aswad aur Abdur Rahman Bin Auf (Radi Allahu Anhum) ki suhbat mein baitha hoon lekin mein ne kisi ko Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki hadees bayan karte nahi suna. Albatta Talha (Radi Allahu Anhu) se suna ke wo Uhud ki jung ke mutalliq bayan kiya karte thay
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2902
حدثنا احمد بن محمد، اخبرنا عبد الله، اخبرنا الاوزاعي، عن إسحاق بن عبد الله بن ابي طلحة، عن انس بن مالك رضي الله عنه، قال:" كان ابو طلحة يتترس مع النبي صلى الله عليه وسلم بترس واحد، وكان ابو طلحة حسن الرمي، فكان إذا رمى تشرف النبي صلى الله عليه وسلم فينظر إلى موضع نبله".
Hum se Ahmad Bin Muhammad ne bayan kiya, kaha hum ko Abdullah ne khabar di, kaha hum ko Auzai ne khabar di, unhon ne kaha ke un se Ishaq Bin Abdullah Bin Abi Talha ne aur un se Anas Bin Malik (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Abu Talha (Radi Allahu Anhu) apni aur Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki aar ek hi dhaal se kar rahe thay aur Abu Talha (Radi Allahu Anhu) bare acche teer-andaz thay. Jab wo teer marte to Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) sar utha kar dekhte ke teer kahan ja kar gira hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة