الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المغازي
Kitab: Ghazwat ke bayan mein
باب قتل أبى جهل:
Bab: (Badr ke din) Abu Jahl ka qatl hona.
Show diacritics
Hadith Number: 3981
حدثني عثمان، حدثنا عبدة، عن هشام، عن ابيه، عن ابن عمر رضي الله عنهما، قال: وقف النبي صلى الله عليه وسلم على قليب بدر، فقال:" هل وجدتم ما وعد ربكم حقا"، ثم قال:" إنهم الآن يسمعون ما اقول" , فذكر لعائشة، فقالت: إنما قال النبي صلى الله عليه وسلم:" إنهم الآن ليعلمون ان الذي كنت اقول لهم هو الحق" , ثم قرات إنك لا تسمع الموتى سورة النمل آية 80 حتى قرات الآية.
Mujh se Usman ne bayan kiya ‘ hum se Abdah ne bayan kiya ‘ un se Hisham ne ‘ un se un ke walid ne aur un se Ibn Umar Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Badr ke kunwein par kharay ho kar farmaya ”kya jo kuch tumhare Rabb ne tumhare liye waada kar rakkha tha ‘ ise tum ne saccha pa liya?“ Phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ”jo kuch mein keh raha hoon ye ab bhi ise sun rahe hain.“ Is hadees ka zikr jab Aisha Radi Allahu Anha se kiya gaya to unhon ne kaha ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne ye farmaya tha ke unhon ne ab jaan liya ho ga ke jo kuch mein ne un se kaha tha wo haqq tha. Is ke baad unhon ne ayat «Innaka la tusmi'ul mauta» ”Beshak aap in murdon ko nahi suna sakte.“ poori parhi
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1370
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا يعقوب بن إبراهيم، حدثني ابي , عن صالح، حدثني نافع، ان ابن عمر رضي الله عنهما اخبره , قال:" اطلع النبي صلى الله عليه وسلم على اهل القليب , فقال: وجدتم ما وعد ربكم حقا، فقيل له: تدعو امواتا، فقال: ما انتم باسمع منهم ولكن لا يجيبون".
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne byaan kiya ‘ kaha hum se Yaqub bin Ibrahim ne ‘ un se un ke baap ne ‘ un se Salih ne ‘ un se Nafi ne ke Ibn Umar razi Allahu anhuma ne unhein khabar di ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam kunwein walon (jis mein Badr ke mushrik maqtooleen ko daal diya gaya tha) ke qareeb aaye aur farmaya tumhare maalik ne jo tum se sacha waada kiya tha ise tum logon ne pa liya . Logon ne arz kiya ke Aap salla Allahu alaihi wasallam mardon ko khitab karte hain ? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tum kuch un se zyada sunne wale nahin ho albatta woh jawab nahin de sakte .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1371
حدثنا عبد الله بن محمد، حدثنا سفيان، عن هشام بن عروة، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها , قالت: إنما قال النبي صلى الله عليه وسلم:" إنهم ليعلمون الآن ان ما كنت اقول حق، وقد قال الله تعالى: إنك لا تسمع الموتى سورة النمل آية 80".
Hum se Abdullah bin Muhammad ne byaan kiya ‘ kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne ‘ un se Hisham bin Urwah ne ‘ un se un ke waalid ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne farmaya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne Badr ke kafiroon ko yeh farmaya tha ke main jo un se kaha karta tha ab un ko maloom hua ho ga ke woh sach hai . Aur Allah ne Surah ar-Room mein farmaya «innaka la tusmi-ul-mauta» ae Paighambar! tu mardon ko nahin suna sakta .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة