الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المغازي
Kitab: Ghazwat ke bayan mein
باب قتل أبى جهل:
Bab: (Badr ke din) Abu Jahl ka qatl hona.
Hadith Number: 3966
حدثنا قبيصة، حدثنا سفيان، عن ابي هاشم، عن ابي مجلز، عن قيس بن عباد، عن ابي ذر رضي الله عنه، قال:" نزلت هذان خصمان اختصموا في ربهم سورة الحج آية 19 في ستة من قريش , علي , وحمزة , وعبيدة بن الحارث , وشيبة بن ربيعة , وعتبة بن ربيعة , والوليد بن عتبة".
Hum se Qabeesah ne bayan kiya, ke hum se Sufyan Suri ne bayan kiya, un se Abu Hashim ne, un se Abu Mijlaz ne, un se Qais Bin Ubad aur un se Abu Zar Radi Allahu Anhu ne bayan kiya aayat-e-karima «Hazaani khasmani-khtasamu fi Rabbihim» ”Ye do fareeq hain jinhon ne Allah ke bare mein muqabla kiya“ Quraish ke chay shakhson ke bare mein nazil hui thi (teen musalmanon ki taraf ke yani Ali, Hamza aur Ubaidah Bin Haris Radi Allahu Anhum aur (teen kuffar ki taraf ke yani) Shaibah Bin Rabeeah, Utbah Bin Rabeeah aur Walid Bin Utbah
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3968
حدثنا يحيى بن جعفر، اخبرنا وكيع، عن سفيان، عن ابي هاشم، عن ابي مجلز، عن قيس بن عباد، سمعت ابا ذر رضي الله عنه:" يقسم لنزلت هؤلاء الآيات في هؤلاء الرهط الستة يوم بدر" نحوه.
Hum se Yahya Bin Jafar ne bayan kiya, hum ko Wakee ne khabar di, unhein Sufyan ne, unhein Abu Hashim ne, unhein Abu Mijlaz ne, unhein Qais Bin Ubad aur unhon ne Abu Zar Radi Allahu Anhu se suna, wo qasmiya bayan karte thay ke ye ayat ( «Hazaani khasmani-khtasamu fi Rabbihim») unhein chay aadmiyon ke bare mein, Badr ki larai ke mauqa par nazil hui thi. Pehli hadees ki tarah rawi ne ise bhi bayan kiya
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3969
حدثنا يعقوب بن إبراهيم الدورقي، حدثنا هشيم، اخبرنا ابو هاشم، عن ابي مجلز، عن قيس بن عباد، قال: سمعت ابا ذر يقسم قسما إن هذه الآية هذان خصمان اختصموا في ربهم سورة الحج آية 19 نزلت في الذين برزوا يوم بدر , حمزة , وعلي , وعبيدة بن الحارث , وعتبة , وشيبة ابني ربيعة , والوليد بن عتبة.
Hum se Yaqub Bin Ibrahim ne bayan kiya, hum se Hushaim ne bayan kiya, hum ko Abu Hashim ne khabar di, unhein Abu Mijlaz ne, unhein Qais ne, unhon ne kaha ke mein ne Abu Zar Radi Allahu Anhu se suna, wo qasmiya kehte thay ke ye ayat «Hazaani khasmani-khtasamu fi Rabbihim» un ke bare mein utri jo Badr ki larai mein muqable ke liye nikle thay yani Hamza, Ali aur Ubaidah Bin Haris Radi Allahu Anhum (musalmanon ki taraf se) aur Utbah, Shaibah, Rabeeah ke bete aur Walid Bin Utbah (kafiron ki taraf se)
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4743
حدثنا حجاج بن منهال، حدثنا هشيم، اخبرنا ابو هاشم، عن ابي مجلز، عن قيس بن عباد، عن ابي ذر رضي الله عنه: انه كان يقسم قسما إن هذه الآية: هذان خصمان اختصموا في ربهم سورة الحج آية 19، نزلت في حمزة وصاحبيه، وعتبة وصاحبيه يوم برزوا في يوم بدر". رواه سفيان، عن ابي هاشم، وقال عثمان، عن جرير، عن منصور، عن ابي هاشم، عن ابي مجلز، قوله.
Hum se Hajjaj bin Minhal ne byaan kiya , kaha hum se Mutamir bin Sulayman ne byaan kiya , kaha ke main ne apne walid Sulayman se suna , unhon ne Abu Mijlaz se sun kar kaha ke yeh khud un (Abu Mijlaz) ka qaul hai , un se Qays bin Abbad ne aur un se Ali bin Abi Talib razi Allahu anhu ne byaan kiya ke main pehla shakhs hoon ga . Jo Rahman ke huzoor mein Qayamat ke din apna dawa pesh karne ke liye chahar zaanu baithoon ga . Qays ne kaha ke Aap hi logon ke baare mein yeh aayat nazil hui thi «hazhaani khasmaani-khtasamoo fee rabbihim» ke yeh do fareeq hain jinon ne apne Parvardigar ke baare mein jhagra kiya“ byaan kiya ke yahi woh log hain jinon ne Badr ki larai mein dawat e muqabla di thi . Yani (Musalmanon ki taraf se) Ali , Hamzah aur Ubaydah razi Allahu anhum ne aur (kuffar ki taraf se) Shaybah bin Rabiah , Utbah bin Rabiah aur Waleed bin Utbah ne .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة