الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب مناقب الأنصار
Kitab: Ansar ke manaqib
باب هجرة النبى صلى الله عليه وسلم وأصحابه إلى المدينة:
Bab: Nabi Karim ﷺ aur Aap ke Sahaba-e-Kiram ka Madinah ki taraf hijrat karna.
Hadith Number: 3899
حدثني إسحاق بن يزيد الدمشقي، حدثنا يحيى بن حمزة، قال: حدثني ابو عمرو الاوزاعي، عن عبدة بن ابي لبابة، عن مجاهد بن جبر المكي، ان عبد الله بن عمر رضي الله عنهما , كان يقول:" لا هجرة بعد الفتح".
Mujh se Ishaq Bin Yezid Dimashqi ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Yahya Bin Hamza ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujh se Abu Amr Awzai ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Abdah Bin Abi Lubabah ne bayan kiya, un se Mujahid Bin Jabr Makki ne bayan kiya ke Abdullah Bin Umar Radi Allahu Anhuma kaha karte thay ke fatah-e-Makkah ke baad (Makkah se Madinah ki taraf) hijrat baqi nahi rahi
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4309
حدثني محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن ابي بشر، عن مجاهد، قلت لابن عمر رضي الله عنهما:" إني اريد ان اهاجر إلى الشام، قال:" لا هجرة، ولكن جهاد، فانطلق، فاعرض نفسك، فإن وجدت شيئا وإلا رجعت".
Mujh se Muhammad bin Bashar ne byaan kiya , kaha hum se Ghundar ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne byaan kiya , un se Abu Bishr ne aur un se Mujahid ne ke main ne Ibn Umar razi Allahu anhuma se arz kiya ke mera irada hai ke main mulk e Sham ko hijrat kar jaon , farmaya: ab hijrat baqi nahi rahi , jihad hi baqi reh gaya hai . Is liye jao aur khud ko pesh karo . Agar tum ne kuch pa liya to behtar warna wapas aa jana .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4310
وقال النضر: اخبرنا شعبة، اخبرنا ابو بشر، سمعت مجاهدا، قلت لابن عمر: فقال: لا هجرة اليوم او بعد رسول الله صلى الله عليه وسلم، مثله.
Nadr ne byaan kiya ke hamain Shubah ne khabar di , unhein Abu Bishr ne khabar di , unhon ne Mujahid se suna ke jab main ne Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se arz kiya to unhon ne kaha ke ab hijrat baqi nahi rahi ya (farmaya ke) Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke baad phir hijrat kahan rahi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4311
حدثني إسحاق بن يزيد، حدثنا يحيى بن حمزة، قال: حدثني ابو عمرو الاوزاعي، عن عبدة بن ابي لبابة، عن مجاهد بن جبر المكي، ان عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، كان يقول:" لا هجرة بعد الفتح".
Mujh se Ishaq bin Yazid ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Yahya bin Hamzah ne byaan kiya , unhon ne kaha ke mujh se Abu Amr Awzai ne byaan kiya , un se Abdah bin Abi Lubabah ne , un se Mujahid bin Jabr Makki ne ke Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma kaha karte thay ke Fatah Makkah ke baad hijrat baqi nahi rahi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة