الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب مناقب الأنصار
Kitab: Ansar ke manaqib
باب موت النجاشي:
Bab: Najashi (Habshah ke badshah) ki wafat ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 3881
وعن صالح , عن ابن شهاب، قال: حدثني سعيد بن المسيب، ان ابا هريرة رضي الله عنه اخبرهم، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم صف بهم في المصلى , فصلى عليه وكبر اربعا".
Aur Salih se riwayat hai ke Ibn Shihab ne bayan kiya, un se Saeed Bin Musayyib ne bayan kiya aur unhein Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne khabar di ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne (namaz-e-janazah ke liye) eidgah mein Sahaba Radi Allahu Anhum ko saff basta khara kiya aur is ki namaz-e-janazah parhi Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne char martaba takbeer kahi thi
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1245
حدثنا إسماعيل , قال: حدثني مالك، عن ابن شهاب، عن سعيد بن المسيب، عن ابي هريرة رضي الله عنه،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم نعى النجاشي في اليوم الذي مات فيه خرج إلى المصلى فصف بهم وكبر اربعا".
Hum se Ismail ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Malik ne byaan kiya , un se Ibn Shihab ne , un se Saeed bin Musayyib ne , un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne Najashi ki wafat ki khabar isi din di jis din us ki wafat hui thi . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam namaaz parhne ki jagah gaye . Aur logon ke saath saff baandh kar (janaza ki namaaz mein) chaar takbirain kahein .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة