الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب مناقب الأنصار
Kitab: Ansar ke manaqib
باب إسلام سعيد بن زيد رضي الله عنه:
Bab: Sa’eed bin Zaid bin Amr bin Nufayl Radiallahu Anhu ka Islam qabool karna.
Show diacritics
Hadith Number: 3862
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا سفيان، عن إسماعيل، عن قيس، قال: سمعت سعيد بن زيد بن عمرو بن نفيل في مسجد الكوفة، يقول:" والله لقد رايتني وإن عمر لموثقي على الإسلام قبل ان يسلم عمر ولو ان احدا ارفض للذي صنعتم بعثمان لكان".
Hum se Qutaibah Bin Saeed ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan ne bayan kiya, un se Ismail ne, un se Qais ne bayan kiya ke mein ne Kufa ki masjid mein Saeed Bin Zaid Bin Amr Bin Nufail Radi Allahu Anhu se suna, wo keh rahe thay ke ek waqt tha jab Umar Radi Allahu Anhu ne Islam lane se pehle mujhe is wajah se bandh rakkha tha ke mein ne Islam kyun qabool kiya lekin tum logon ne Usman Radi Allahu Anhu ke sath jo kuch kiya hai is ki wajah se agar Uhud pahar bhi apni jagah se sarak jaye to ise aisa karna hi chahiye
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3867
حدثني محمد بن المثنى، حدثنا يحيى، حدثنا إسماعيل، حدثنا قيس، قال: سمعت سعيد بن زيد، يقول للقوم:" لو رايتني موثقي عمر على الإسلام انا واخته وما اسلم ولو ان احدا انقض لما صنعتم بعثمان لكان محقوقا ان ينقض".
Mujh se Muhammad Bin Musanna ne bayan kiya, kaha hum se Yahya ne bayan kiya, kaha hum se Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Qais ne, kaha ke mein ne Saeed Bin Zaid Radi Allahu Anhu se suna unhon ne musalmanon ko mukhatib kar ke kaha ek waqt tha ke Umar Radi Allahu Anhu jab Islam mein dakhil nahi hue thay to mujhe aur apni behen ko is liye bandh rakkha tha ke hum Islam kyun laye aur aaj tum ne jo kuch Usman Radi Allahu Anhu ke sath bartao kiya hai agar is par Uhud pahar bhi apni jagah se sarak jaye to ise aisa hi karna chahiye
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6942
حدثنا سعيد بن سليمان، حدثنا عباد، عن إسماعيل، سمعت قيسا، سمعت سعيد بن زيد، يقول:" لقد رايتني وإن عمر موثقي على الإسلام، ولو انقض احد مما فعلتم بعثمان، كان محقوقا ان ينقض".
`Hum se Said bin Sulaiman ne bayan kiya, kaha hum se Abbad ne, un se Ismail ne, unhon ne Qais se suna, unhon ne Said bin Zaid Radi Allahu Anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke mein ne apne aap ko is haal mein paya ke Islam lane ki wajah se (Makkah Muazzama mein) Umar Radi Allahu Anhu ne mujhe baandh diya tha aur ab jo kuch tum ne Usman Radi Allahu Anhu ke saath kiya hai is par agar Uhud pahad tukde tukde ho jaye to ise aisa hi hona chahiye.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة