الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب مناقب الأنصار
Kitab: Ansar ke manaqib
باب ما لقي النبى صلى الله عليه وسلم وأصحابه من المشركين بمكة:
Bab: Nabi Karim ﷺ aur Sahaba-e-Kiram Radiallahu Anhum ne Makkah mein mushrikeen ke hathon jin mushkilat ka saamna kiya un ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 3855
حدثنا عثمان بن ابي شيبة، حدثنا جرير، عن منصور، حدثني سعيد بن جبير، او قال: حدثني الحكم، عن سعيد بن جبير، قال: امرني عبد الرحمن بن ابزى، قال: سل ابن عباس عن هاتين الآيتين ما امرهما ولا تقتلوا النفس التي حرم الله إلا بالحق سورة الانعام آية 151 ,ومن يقتل مؤمنا متعمدا سورة النساء آية 93 فسالت ابن عباس، فقال:" لما انزلت التي في الفرقان"، قال: مشركو اهل مكة فقد قتلنا النفس التي حرم الله , ودعونا مع الله إلها آخر , وقد اتينا الفواحش، فانزل الله: إلا من تاب وآمن سورة مريم آية 60 الآية , فهذه لاولئك , واما التي في النساء: الرجل إذا عرف الإسلام وشرائعه ثم قتل , فجزاؤه جهنم , فذكرته لمجاهد، فقال:" إلا من ندم".
Hum se Usman Bin Abi Shaibah ne bayan kiya, kaha hum se Jarir ne bayan kiya, un se Mansoor ne, kaha mujh se Saeed Bin Jubair ne bayan kiya ya (Mansoor ne) is tarah bayan kiya ke mujh se Hakam ne bayan kiya, un se Saeed Bin Jubair ne bayan kiya ke mujh se Abdur Rahman Bin Abza Radi Allahu Anhu ne kaha ke Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma se in dono aayaton ke mutaliq poocho ke in mein mutabiqat kis tarah paida ki jaye (ek ayat «Wa la taqtulu-nnafsallati harramallahu» aur doosri ayat «Wa may yaqtul mu'minam muta'ammidan» hai. Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma se mein ne poocha to unhon ne batlaya ke jab Surah-ul-Furqan ki ayat nazil hui to mushrikeen-e-Makkah ne kaha hum ne to in jaanon ka bhi khoon kiya hai jin ke qatl ko Allah Ta'ala ne haram qarar diya tha hum Allah ke siwa doosre maboodon ki ibadat bhi karte rahe hain aur badkariyon ka bhi hum ne irtikab kiya hai. Is par Allah Ta'ala ne ayat nazil farmai «Illa man taba wa aamana» ”wo log is hukm se alag hain jo tauba kar lein aur iman le aayein“ to ye ayat un ke haqq mein nahi hai lekin Surah-an-Nisa ki ayat is shakhs ke bare mein hai jo Islam aur sharaye-e-Islam ke ahkam jaan kar bhi kisi ko qatl kare to is ki saza jahannum hai. Mein ne Abdullah Bin Abbas Radi Allahu Anhuma ke is irshad ka zikr Mujahid se kiya to unhon ne kaha ke wo log is hukm se alag hain jo tauba kar lein
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4590
حدثنا آدم بن ابي إياس، حدثنا شعبة، حدثنا مغيرة بن النعمان، قال: سمعت سعيد بن جبير، قال:" آية اختلف فيها اهل الكوفة، فرحلت فيها إلى ابن عباس فسالته عنها، فقال: نزلت هذه الآية ومن يقتل مؤمنا متعمدا فجزاؤه جهنم سورة النساء آية 93 هي آخر ما نزل وما نسخها شيء".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne byaan kiya , kaha hum ko Mugheerah bin Numan ne khabar di , unhon ne kaha ke main ne Saeed bin Jubayr se suna , unhon ne byaan kiya ke ulema e Kufa ka is aayat ke baare mein ikhtilaf ho gaya tha . Chunanche main Ibn Abbas razi Allahu anhuma ki khidmat mein is ke liye safar kar ke gaya aur un se is ke mutalliq poocha . Unhon ne farmaya ke yeh aayat «wa man yaqtul mominan mutammidan fajazauhu jahannamu» ”aur jo koi Musalman ko jaan boojh kar qatl kare is ki saza dozakh hai .“ Nazil hui aur is baab ki yeh sab se aakhri aayat hai isay kisi aayat ne mansookh nahi kiya hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4762
حدثنا إبراهيم بن موسى، اخبرنا هشام بن يوسف، ان ابن جريج اخبرهم، قال: اخبرني القاسم بن ابي بزة:" انه سال سعيد بن جبير، هل لمن قتل مؤمنا متعمدا من توبة؟ فقرات عليه ولا يقتلون النفس التي حرم الله إلا بالحق سورة الفرقان آية 68، فقال سعيد: قراتها علىابن عباس كما قراتها علي، فقال: هذه مكية نسختها آية مدنية التي في سورة النساء".
Hum se Ibrahim bin Musa ne byaan kiya , kaha hum ko Hisham bin Yusuf ne khabar di , unhein Ibn Jurayj ne khabar di , kaha ke mujhe Qasim bin Abi Bazzah ne khabar di , unhon ne Saeed bin Jubayr se poocha ke agar koi shakhs kisi Musalman ko jaan boojh kar qatl kar de to kya is ki is gunah se tauba qabool ho sakti hai ? Unhon ne kaha ke nahi . (Ibn Abi Bazzah ne byaan kiya ke) main ne is par yeh aayat parhi «wa la yaqtuloonan-nafsallati harramallahu illa bil-haqqi» ke ”aur jis jaan ko Allah ne haram qarar diya hai usay qatl na karte , magar haan haq ke saath .“ Saeed bin Jubayr ne kaha ke main ne bhi yeh aayat Ibn Abbas razi Allahu anhuma ke samne parhi thi to unhon ne kaha tha ke Makki aayat aur Madni aayat jo is silsile mein Surah Nisa mein hai is se is ka hukm mansookh ho gaya hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4764
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا منصور، عن سعيد بن جبير، قال:" سالت ابن عباس رضي الله عنهما، عن قوله تعالى: فجزاؤه جهنم سورة النساء آية 93، قال: لا توبة له، وعن قوله جل ذكره: لا يدعون مع الله إلها آخر سورة الفرقان آية 68، قال: كانت هذه في الجاهلية".
Hum se Adam ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne byaan kiya , kaha hum se Mansoor ne byaan kiya , un se Saeed bin Jubayr ne byaan kiya ke main ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se «fajazauhu jahannamu» ke mutalliq sawal kiya to unhon ne farmaya ke is ki tauba qabool nahi ho gi aur Allah Ta'ala ke irshad «la yad-u-na ma'allahi ilahan aakhara» ke mutalliq poocha to Aap ne farmaya ke yeh in logon ke mutalliq hai jinon ne zamana e jahiliyat mein qatl kiya ho .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4765
حدثنا سعد بن حفص، حدثنا شيبان، عن منصور، عن سعيد بن جبير، قال: قال ابن ابزى، سل ابن عباس، عن قوله تعالى:"ومن يقتل مؤمنا متعمدا فجزاؤه جهنم خالدا فيها سورة النساء آية 93، وقوله: ولا يقتلون النفس التي حرم الله إلا بالحق سورة الفرقان آية 68 حتى بلغ إلا من تاب سورة الفرقان آية 68 - 69، فسالته، فقال: لما نزلت، قال اهل مكة: فقد عدلنا بالله، وقد قتلنا النفس التي حرم الله إلا بالحق، واتينا الفواحش، فانزل الله: إلا من تاب وآمن وعمل عملا صالحا إلى قوله غفورا رحيما سورة الفرقان آية 70".
Hum se Saad bin Hafs ne byaan kiya , kaha hum se Shayban ne byaan kiya , un se Mansoor ne , un se Saeed bin Jubayr ne byaan kiya ke un se Abdur Rahman bin Abza ne byaan kiya ke Ibn Abbas razi Allahu anhuma se aayat «wa man yaqtul mominan mutammidan fajazauhu jahannamu» ”aur jo koi kisi momin ko jaan kar qatl kare is ki saza jahannum hai .“ Aur Surah al-Furqan ki aayat «la yaqtuloonan-nafsallati harramallahu illa bil-haqqi» ”aur jis insan ki jaan maarne ko Allah ne haram qarar diya hai usay qatl nahi karte magar haan haq ke saath“ «illa man taaba» tak , main ne is aayat ke mutalliq poocha to unhon ne kaha ke jab yeh aayat nazil hui to Ahl e Makkah ne kaha ke phir to hum ne Allah ke saath shareek bhi thehraya hai aur nahaq aise qatl bhi kiye hain jinhein Allah ne haram qarar diya tha aur hum ne bad-kaariyon ka bhi irtikab kiya hai . Is par Allah Ta'ala ne yeh aayat nazil ki «illa man taaba wa aamana wa amila amalan saalihan» ke ”magar haan jo tauba kare aur iman laye aur naik kaam karta rahe , Allah bahut bakhshne wala bara hi meherban hai“ tak .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4766
حدثنا عبدان، اخبرنا ابي، عن شعبة، عن منصور، عن سعيد بن جبير، قال:" امرني عبد الرحمن بن ابزى، ان اسال ابن عباس عن هاتين الآيتين: ومن يقتل مؤمنا متعمدا سورة النساء آية 93، فسالته، فقال: لم ينسخها شيء وعن والذين لا يدعون مع الله إلها آخر سورة الفرقان آية 68، قال: نزلت في اهل الشرك".
Hum se Abdan ne byaan kiya , kaha mujh ko mere walid ne khabar di , unhein Shubah ne , unhein Mansoor ne , un se Saeed bin Jubayr ne byaan kiya ke mujhe Abdur Rahman bin Abza ne hukm diya ke main Ibn Abbas razi Allahu anhuma se do aayaton ke baare mein poochon yani «wa man yaqtul mominan mutammidan» ”aur jis ne kisi momin ko jaan boojh kar qatl kiya“ al-kh . Main ne un se poocha to unhon ne farmaya ke yeh aayat kisi cheez se bhi mansookh nahi hui hai . (aur doosri aayat jis ke) baare mein mujhe unhon ne poochne ka hukm diya woh yeh thi «wallazhina la yad-u-na ma'allahi ilahan aakhara» ”aur jo log kisi mabood ko Allah ke saath nahi pukaarte“ Aap ne is ke mutalliq farmaya ke yeh mushrikeen ke baare mein nazil hui thi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة