الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المناقب
Kitab: Fazeelaton ke bayan mein
باب علامات النبوة فى الإسلام:
Bab: Nabi Karim ﷺ ke mu’jizaat yani nubuwwat ki nishaniyon ka bayan.
Hadith Number: 3634
حدثني عبد الرحمن بن شيبة، حدثنا عبد الرحمن بن المغيرة، عن ابيه، عن موسى بن عقبة، عن سالم بن عبد الله، عن عبد اللهرضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" رايت الناس مجتمعين في صعيد فقام ابو بكر فنزع ذنوبا او ذنوبين وفي بعض نزعه ضعف والله يغفر له ثم اخذها عمر فاستحالت بيده غربا فلم ار عبقريا في الناس يفري فريه حتى ضرب الناس بعطن، وقال همام: سمعت ابا هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم فنزع ابو بكر ذنوبا او ذنوبين.
Mujh se Abdur Rahman bin Abi Shaibah ne bayan kiya, kaha hum se Abdur Rahman bin Mugheerah ne bayan kiya, un se un ke walid ne, un se Musa bin Uqbah ne, un se Salim bin Abdullah ne aur un se Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma ne ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mein ne (khwab mein) dekha ke log ek maidan mein jama ho rahe hain. In mein se Abu Bakr Radi Allahu Anhu uthe aur ek kunwein se unhon ne ek ya do dol pani bhar kar nikala, pani nikalne mein in mein kuch kamzori maloom hoti thi aur Allah un ko bakhshe. Phir woh dol Umar Radi Allahu Anhu ne sambhala. In ke hath mein jate hi woh ek bada dol ho gaya mein ne logon mein in jaisa shah-zor pehalwan aur bahadur insan in ki tarah kaam karne wala nahi dekha (unhon ne itne dol khinche) ke log apne onton ko bhi pila pila kar in ke thikanon mein le gaye. Aur Hammam ne bayan kiya ke mein ne Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se suna woh Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ke wasite se bayan kar rahe thay ke Abu Bakr Radi Allahu Anhu ne do dol khinche.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3676
حدثني احمد بن سعيد ابو عبد الله، حدثنا وهب بن جرير، حدثنا صخر، عن نافع، ان عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" بينما انا على بئر انزع منها جاءني ابو بكر وعمر فاخذ ابو بكر الدلو فنزع ذنوبا او ذنوبين وفي نزعه ضعف والله يغفر له، ثم اخذها ابن الخطاب من يد ابي بكر فاستحالت في يده غربا , فلم ار عبقريا من الناس يفري فريه , فنزع حتى ضرب الناس بعطن"، قال وهب: العطن مبرك الإبل، يقول: حتى رويت الإبل فاناخت.
Mujh se Abu Abdullah Ahmad bin Sa'id ne bayan kiya, kaha hum se Wahb bin Jarir ne bayan kiya, kaha hum se Sakhr ne bayan kiya, in se Nafi ne aur in se Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya ke mein ek kunwein par (khwab mein) khara is se pani khinch raha tha ke mere pas Abu Bakr aur Umar bhi pahunch gaye. Phir Abu Bakr ne dol le liya aur ek ya do dol khinche, in ke khinchne mein du'f tha aur Allah Ta'ala in ki maghfirat karega. Phir Abu Bakr ke hath se dol Umar ne le liya aur in ke hath mein pahunchte hi woh ek bahut bade dol ki shakl mein ho gaya. Mein ne koi himmat wala aur bahadur insan nahi dekha jo itni husn-e-tadbeer aur mazboot quwwat ke sath kaam karne ka aadi ho, chunanche unhon ne itna pani khincha ke log ne onton ke pani pilane ki jaghein bhar lein, Wahb ne bayan kiya ke "al-atan" onton ke baithne ki jagah ko kehte hain, Arab log bolte hain, ont seerab hue ke (wahin) baith gaye.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3682
حدثنا محمد بن عبد الله بن نمير، حدثنا محمد بن بشر، حدثنا عبيد الله، قال: حدثني ابو بكر بن سالم، عن سالم، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" اريت في المنام اني انزع بدلو بكرة على قليب , فجاء ابو بكر فنزع ذنوبا او ذنوبين نزعا ضعيفا والله يغفر له، ثم جاء عمر بن الخطاب فاستحالت غربا فلم ار عبقريا يفري فريه حتى روي الناس وضربوا بعطن. قال ابن جبير: العبقري عتاق الزرابي، وقال يحيى: الزرابي الطنافس لها خمل رقيق مبثوثة كثيرة.
Hum se Muhammad bin Abdullah bin Numair ne bayan kiya, kaha hum se Muhammad bin Bishr ne bayan kiya, kaha hum se Ubaidullah ne bayan kiya, kaha ke mujh se Abu Bakr bin Salim ne bayan kiya, in se Salim ne aur in se Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma ne ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya ke mein ne khwab mein dekha ke mein ek kunwein se ek accha bada dol khinch raha hun, jis par "lakri ka charkh" laga hua hai, phir Abu Bakr aaye aur unhon ne bhi ek ya do dol khinche magar kamzori ke sath aur Allah in ki maghfirat kare. Phir Umar aaye aur in ke hath mein woh dol ek bahut bade dol ki surat ikhtiyar kar gaya. Mein ne in jaisa mazboot aur ba-azmat shakhs nahi dekha jo itni mazbooti ke sath kaam kar sakta ho. Unhon ne itna khincha ke log seerab ho gaye aur apne onton ko pila kar in ke thikanon par le gaye. Ibn Jubair ne kaha ke "abqari" ka mani umdah aur "zarabi" aur "abqari" sardar ko bhi kehte hain (hadeeth mein "abqari" se yahi murad hai) Yahya bin Ziyad Farra ne kaha, "zarabi" in bichonon ko kehte hain jin ke hashiye bareek, phaile hue bahut kasrat se hote hain.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4980
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا معتمر، قال: سمعت ابي، عن ابي عثمان، قال:" انبئت ان جبريل اتى النبي صلى الله عليه وسلم وعنده ام سلمة فجعل يتحدث، فقال النبي صلى الله عليه وسلم لام سلمة: من هذا؟ او كما قال: قالت: هذا دحية، فلما قام، قالت: والله ما حسبته إلا إياه حتى سمعت خطبة النبي صلى الله عليه وسلم يخبر خبر جبريل"، او كما قال: قال ابي: قلت لابي عثمان: ممن سمعت هذا؟ قال: من اسامة بن زيد.
Hum se Musa bin Ismail ne byaan kiya , kaha hum se Mutamir bin Sulayman ne , kaha ke main ne apne walid se suna , un se Abu Usman Mahdi ne byaan kiya ke mujhe maloom hua hai ke Jibraeel alaihissalam Nabi salla Allahu alaihi wasallam ke paas aaye aur Aap salla Allahu alaihi wasallam se baat karne lage . Is waqt Umm al-Momineen Umm Salamah razi Allahu anha Aap ke paas maujood thien Nabi salla Allahu alaihi wasallam ne in se poocha ke jaanti ho yeh kaun hain ? Ya isi tarah ke alfaz Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaye . Umm al-Momineen ne kaha ke Dihya al-Kalbi hain . Jab Aap salla Allahu alaihi wasallam kharay huay Umm Salamah razi Allahu anha ne byaan kiya: Allah ki qasam! Is waqt (tak) bhi main unhein Dihya al-Kalbi samajhti rahi . Aakhir jab main ne Nabi salla Allahu alaihi wasallam ka khutba suna jis mein Aap salla Allahu alaihi wasallam ne Jibraeel alaihissalam ke aane ki khabar sunayi tab mujhe haal maloom hua ya isi tarah ke alfaz byaan kiye . Mutamir ne byaan kiya ke mere walid (Sulayman) ne kaha , main ne Abu Usman Mahdi se kaha ke Aap ne yeh hadees kis se suni thi ? Unhon ne bataya ke Usamah bin Zayd razi Allahu anhuma se .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7019
حدثنا يعقوب بن إبراهيم بن كثير، حدثنا شعيب بن حرب، حدثنا صخر بن جويرية، حدثنا نافع، ان ابن عمر رضي الله عنهما حدثه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" بينا انا على بئر انزع منها، إذ جاء ابو بكر، وعمر، فاخذ ابو بكر الدلو، فنزع ذنوبا او ذنوبين وفي نزعه ضعف، فغفر الله له، ثم اخذها عمر بن الخطاب من يد ابي بكر، فاستحالت في يده غربا، فلم ار عبقريا من الناس يفري فريه حتى ضرب الناس بعطن".
`Hum se Yaqub bin Ibrahim bin Kaseer ne bayan kiya, kaha hum se Shuaib bin Harb ne bayan kiya, kaha hum se Sakhr bin Juwairiya ne bayan kiya, kaha hum se Nafi' ne bayan kiya aur un se Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”(Khwab mein) mein ek kunwein se pani kheench raha tha ke Abu Bakr aur Umar bhi aa gaye. Ab Abu Bakr ne dowl le liya aur ek ya do dowl pani kheencha. Un ke kheenchne mein kamzori thi. Allah Ta'ala un ki magfirat kare Aameen. Is ke baad Umar bin Khattab ne ise Abu Bakr ke haath se le liya aur wo dowl un ke haath mein bada dowl ban gaya. Mein ne Umar jaisa pani kheenchne mein kisi ko mahir nahi dekha. Unhon ne khoob pani nikala yahan tak ke logon ne oonton ke liye pani se hauz bhar liye.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7020
حدثنا احمد بن يونس، حدثنا زهير، حدثنا موسى بن عقبة، عن سالم، عن ابيه، عن رؤيا النبي صلى الله عليه وسلم في ابي بكر،وعمر، قال:" رايت الناس اجتمعوا، فقام ابو بكر فنزع ذنوبا او ذنوبين وفي نزعه ضعف، والله يغفر له، ثم قام ابن الخطاب، فاستحالت غربا، فما رايت من الناس من يفري فريه حتى ضرب الناس بعطن".
`Hum se Ahmad bin Yunus ne bayan kiya, kaha hum se Zuhair ne bayan kiya, kaha hum se Musa ne bayan kiya, un se Salim ne, un se un ke walid ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne Abu Bakr o Umar Radi Allahu Anhuma ke khwab ke silsile mein farmaya ke mein ne logon ko dekha ke jama ho gaye hain phir Abu Bakr khade hue aur ek ya do dowl pani kheencha aur un ke kheenchne mein kamزوری thi, Allah un ki magfirat kare. Phir Umar bin Khattab khade hue aur wo bada dowl ban gaya. Mein ne logon mein se kisi ko itni maharat ke saath pani nikalte nahi dekha yahan tak ke logon ne hauz bhar liye.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة