الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المناقب
Kitab: Fazeelaton ke bayan mein
باب صفة النبى صلى الله عليه وسلم:
Bab: Nabi Karim ﷺ ke haliya aur akhlaq-e-fadila ka bayan.
Hadith Number: 3562
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن شعبة، عن قتادة، عن عبد الله بن ابي عتبة، عن ابي سعيد الخدري رضي الله عنه، قال: كان النبي صلى الله عليه وسلم" اشد حياء من العذراء في خدرها.
Hum se Musaddad ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Yahya ne bayan kiya, un se Shu'bah ne, un se Qatadah ne, un se Abdullah ibn Abi Utbah ne aur un se Abu Sa'id Khudri Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam parda nasheen kunwari larkiyon se bhi zyada sharmile thay.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6102
حدثنا عبدان، اخبرنا عبد الله، اخبرنا شعبة، عن قتادة، سمعت عبد الله هو ابن ابي عتبة مولى انس، عن ابي سعيد الخدري، قال: كان النبي صلى الله عليه وسلم:" اشد حياء من العذراء في خدرها، فإذا راى شيئا يكرهه عرفناه في وجهه".
Hum se Abdan ne bayan kiya, kaha hum se Abdullah bin Mubarak ne, kaha hum ko Shubah ne khabar di, unhein Qatadah ne, kaha main ne Abdullah bin Utbah se suna, jo Anas razi Allahu anhu ke ghulam hain ke Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam kunwari larkiyon se bhi zyada sharmile thay, jab Aap koi aaisi cheez dekhte jo Aap ko nagowar hoti to hum Aap ke chehre mubarak se samajh jaate thay.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6119
حدثنا علي بن الجعد، اخبرنا شعبة، عن قتادة، عن مولى انس , قال ابو عبد الله: اسمه عبد الله بن ابي عتبة، سمعت ابا سعيد، يقول:" كان النبي صلى الله عليه وسلم اشد حياء من العذراء في خدرها".
Hum se Ali bin al-Jad ne bayan kiya, kaha hum ko Shubah ne khabar di, unhein Qatadah ne, unhein Anas razi Allahu anhu ke ghulam Qatadah ne, Abu Abdullah Imam Bukhari rahmahullah ne kaha ke in ka naam Abdullah bin Abi Utbah hai, main ne Abu Saeed se suna, unhon ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam parda mein rehne wali kunwari larki se bhi zyada haya wale thay.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة