الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب أحاديث الأنبياء
Kitab: Anbiya Alaihim-us-Salam ke bayan mein
باب:
Bab: …
Show diacritics
Hadith Number: 3469
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، حدثنا إبراهيم بن سعد، عن ابيه، عن ابي سلمة، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إنه قد كان فيما مضى قبلكم من الامم محدثون وإنه إن كان في امتي هذه منهم فإنه عمر بن الخطاب".
Hum se Abdul Aziz Bin Abdullah ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ibrahim Bin Saad ne bayan kiya, un se un ke walid ne bayan kiya, un se Abu Salamah ne bayan kiya, aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Guzashta ummaton mein muhaddis log hua karte thay aur agar meri ummat mein koi aisa hai to wo Umar Bin Khattab hain
."


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3689
حدثنا يحيى بن قزعة، حدثنا إبراهيم بن سعد، عن ابيه، عن ابي سلمة، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" لقد كان فيما قبلكم من الامم محدثون فإن يك في امتي احد فإنه عمر". زاد زكرياء بن ابي زائدة، عن سعد، عن ابي سلمة، عن ابي هريرة , قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" لقد كان فيمن كان قبلكم من بني إسرائيل رجال يكلمون من غير ان يكونوا انبياء فإن يكن من امتي منهم احد فعمر".
Hum se Yahya bin Qaza'ah ne bayan kiya, kaha hum se Ibrahim bin Sa'd ne bayan kiya, in se un ke walid ne, in se Abu Salamah ne aur in se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya ke tum se pehli ummaton mein muhaddis hua karte thay, aur agar meri ummat mein koi aisa shakhs hai to woh Umar hain. Zakariya bin Zaidah ne apni riwayat mein Sa'd se yeh barhaya hai ke in se Abu Salamah ne bayan kiya aur in se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya ke tum se pehle Bani Israel ki ummaton mein kuch log aise hua karte thay ke nabi nahi hote thay aur is ke bawajood farishte in se kalam kiya karte thay aur agar meri ummat mein koi aisa shakhs ho sakta hai to woh Umar hain. Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma ne parha "min nabiyyin wala muhaddis"


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة