الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب أحاديث الأنبياء
Kitab: Anbiya Alaihim-us-Salam ke bayan mein
باب:
Bab: …
Show diacritics
Hadith Number: 3468
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن ابن شهاب، عن حميد بن عبد الرحمن، انه سمع معاوية بن ابي سفيان عام حج على المنبر فتناول قصة من شعر وكانت في يدي حرسي، فقال: يا اهل المدينة اين علماؤكم سمعت النبي صلى الله عليه وسلم" ينهى عن مثل هذه، ويقول: إنما هلكت بنو إسرائيل حين اتخذها نساؤهم".
Hum se Abdullah Bin Maslamah ne bayan kiya, kaha hum se Imam Malik ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne, un se Humaid Bin Abdur Rahman ne aur unhon ne Muawiyah Bin Abi Sufyan (Radi Allahu Anhuma) se suna ek saal jab wo Hajj ke liye gaye hue thay to minbar-e-Nabwi par kharay ho kar unhon ne peshani ke balon ka ek kuccha liya jo un ke chokidar ke hath mein tha aur farmaya: Ae Madinah walon! Tumhare ulama kidhar gaye mein ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se suna hai. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne is tarah (baal jorne ki) mamanat farmayi thi aur farmaya tha ke Bani Israel par barbadi is waqt aayi jab (shariat ke khilaf) un ki auraton ne is tarah baal sanwarne shuru kar diye thay
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3488
حدثنا آدم حدثنا شعبة حدثنا عمرو بن مرة سمعت سعيد بن المسيب قال قدم معاوية بن ابي سفيان المدينة آخر قدمة قدمها، فخطبنا فاخرج كبة من شعر فقال ما كنت ارى ان احدا يفعل هذا غير اليهود، وإن النبي صلى الله عليه وسلم سماه الزور- يعني الوصال في الشعر. تابعه غندر عن شعبة.
Hum se Adam Bin Abi Iyas ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya un se Amr Bin Murrah ne kaha ke mein ne Saeed Bin Musayyib se suna aap ne bayan kiya ke Muawiyah Bin Abi Sufyan (Radi Allahu Anhu) ne Madinah ke apne aakhri safar mein humein khitab farmaya aur (khutba ke douran) aap ne balon ka ek guccha nikala aur farmaya, mein samajhta hoon ke Yahoodiyon ke siwa aur koi is tarah na karta hoga aur Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne is tarah baal sanwarne ka naam «al-zooru» (fareb-o-jhoot) rakkha hai. Aap ki murad «wisalun fish shari» se thi. Yani balon mein jor lagane se thi (jaise aksar auratein masnooyi balon mein jor kiya karti hain) Adam ke sath is hadees ko Ghundar ne bhi Shuba se riwayat kiya hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5932
حدثنا إسماعيل، قال: حدثني مالك، عن ابن شهاب، عن حميد بن عبد الرحمن بن عوف، انه سمع معاوية بن ابي سفيان عام حج وهو على المنبر وهو يقول،" وتناول قصة من شعر كانت بيد حرسي: اين علماؤكم؟ سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم ينهى عن مثل هذه، ويقول: إنما هلكت بنو إسرائيل حين اتخذ هذه نساؤهم".
Hum se Ismail bin Abi Shaybah ne bayan kiya, kaha ke mujh se Imam Malik ne bayan kiya, in se Ibn Shihab ne, in se Humayd bin Abd-ur-Rahman bin Auf aur unhon ne Muawiyah bin Abi Sufyan razi Allahu anhuma se Hajj ke saal mein suna woh Madinah Munawwarah mein mimbar par yeh farma rahe thay unhon ne baalon ki ek choti jo in ke chokidar ke hath mein thi le kar kaha kahan hain tumhare ulama main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna hai Aap is tarah baal banane se mana farma rahe thay aur farma rahe thay ke Bani Israeel is waqt tabah ho gaye jab in ki auraton ne is tarah apne baal sanwarne shuru kar diye.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5933
وقال ابن ابي شيبة، حدثنا يونس بن محمد، حدثنا فليح، عن زيد بن اسلم، عن عطاء بن يسار، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" لعن الله الواصلة والمستوصلة والواشمة والمستوشمة".
Aur Ibn Abi Shaybah ne bayan kiya, in se Yunus bin Muhammad ne bayan kiya, in se Falih ne bayan kiya, in se Zayd bin Aslam ne, in se Ata bin Yasar ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”sar ke qudrati baalon mein masnooi baal lagaane waliyon par aur lagwane waliyon par aur godne waliyon par aur gudwane waliyon par Allah ne lanat bheji hai.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5938
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا عمرو بن مرة، سمعت سعيد بن المسيب، قال: قدم معاوية المدينة آخر قدمة قدمها فخطبنا، فاخرج كبة من شعر قال:" ما كنت ارى احدا يفعل هذا غير اليهود، إن النبي صلى الله عليه وسلم سماه الزور"، يعني الواصلة في الشعر.
Hum se Adam bin Abi Iyas ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne bayan kiya, kaha hum se Amr bin Murrah ne bayan kiya ke main ne Saeed bin al-Musayyab se suna, unhon ne bayan kiya ke Muawiyah razi Allahu anhu aakhri martaba Madinah Munawwarah tashreef laaye aur hamain khutba diya. Aap ne baalon ka ek guchha nikaal ke kaha ke yeh Yahudiyon ke siwa aur koi nahi karta tha. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne usay «zoorun» yani fareebi farmaya yani jo baalon mein jorr lagaye to aisa aadmi mard ho ya aurat woh makkar hai jo apne makr o fareeb par is taur par parda daalta hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة