الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب أحاديث الأنبياء
Kitab: Anbiya Alaihim-us-Salam ke bayan mein
باب ما ذكر عن بني إسرائيل:
Bab: Bani Isra’il ke waqiaat ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 3463
حدثني محمد، قال: حدثني حجاج، حدثنا جرير، عن الحسن، حدثنا جندب بن عبد الله في هذا المسجد وما نسينا منذ حدثنا وما نخشى، ان يكون جندب كذب على رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" كان فيمن كان قبلكم رجل به جرح فجزع فاخذ سكينا فحز بها يده فما رقا الدم حتى مات، قال الله تعالى بادرني عبدي بنفسه حرمت عليه الجنة".
Mujh se Muhammad ne bayan kiya kaha mujh se Hajjaj ne bayan kiya kaha hum se Jarir ne bayan kiya un se Hasan ne kaha hum se Jundub Bin Abdullah ne isi masjid mein bayan kiya (Hasan ne kaha ke) unhon ne jab hum se bayan kiya hum ise bhoole nahi aur na humein is ka andesha hai ke unhon ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki taraf is hadees ki nisbat ghalat ki hogi unhon ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Pichle zamane mein ek shakhs (ke hath mein) zakham ho gaya tha aur ise is se bari takleef thi aakhir is ne churi se apna hath kaat liya is ka natija ye hua ke khoon behne laga aur isi se wo mar gaya phir Allah Ta'ala ne farmaya ke mere bande ne khud mere pas aane mein jaldi ki is liye mein ne bhi jannat ko is par haram kar diya."


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1364
وقال حجاج بن منهال: حدثنا جرير بن حازم، عن الحسن، حدثنا جندب رضي الله عنه في هذا المسجد، فما نسينا وما نخاف ان يكذب جندب، على النبي صلى الله عليه وسلم قال: كان برجل جراح فقتل نفسه، فقال الله بدرني عبدي بنفسه حرمت عليه الجنة.
Aur Hajjaj bin Minhal ne kaha ke hum se Jarir bin Hazim ne byaan kiya ‘ un se Imam Hasan Basri ne kaha ke hum se Jundub bin Abdullah Bajli razi Allahu anhu ne isi (Basray ki) masjid mein hadees byaan ki thi na hum is hadees ko bhoole hain aur na yeh dar hai ke Jundub razi Allahu anhu ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam jhoot bandha ho ga . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke ek shakhs ko zakham laga ‘ us ne (zakham ki takleef ki wajah se) khud ko maar daala . Is par Allah Ta'ala ne farmaya ke mere bande ne jaan nikalne mein mujh par jaldi ki . Is ki saza mein , main is par Jannat haram karta hoon .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة