الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب أحاديث الأنبياء
Kitab: Anbiya Alaihim-us-Salam ke bayan mein
باب: {واذكر فى الكتاب مريم إذ انتبذت من أهلها} :
Bab: Allah Taala ne (Surah Maryam mein) farmaya“(Is) kitab mein Maryam ka zikr kar jab woh apne ghar walon se alag ho kar ek poorab rukh makaan mein chali gayee”.
Hadith Number: 3439
حدثنا إبراهيم بن المنذر، حدثنا ابو ضمرة، حدثنا موسى، عن نافع، قال عبد الله" ذكر النبي صلى الله عليه وسلم يوما بين ظهري الناس المسيح الدجال، فقال: إن الله ليس باعور الا إن المسيح الدجال اعور العين اليمنى كان عينه عنبة طافية.
Hum se Ibrahim Bin Al-Munzir ne bayan kiya unhon ne kaha hum se Abu Zamrah ne bayan kiya unhon ne kaha hum se Musa ne bayan kiya un se Nafay ne bayan kiya ke Abdullah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne ek din logon ke samne Dajjal ka zikr kiya aur farmaya ke is mein koi shuba nahi ke Allah Ta'ala kana nahi hai lekin Dajjal dahni aankh se kana hoga is ki aankh uthe hue angoor ki tarah hogi
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3057
وقال سالم: قال: ابن عمر، ثم قام النبي صلى الله عليه وسلم في الناس فاثنى على الله بما هو اهله ثم ذكر الدجال، فقال:" إني انذركموه وما من نبي إلا قد انذره قومه لقد انذره نوح قومه، ولكن ساقول لكم فيه قولا لم يقله نبي لقومه تعلمون انه اعور وان الله ليس باعور".
Salim ne bayan kiya, un se Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Sahaba ko khitab farmaya, Aap ne Allah Ta'ala ki sana bayan ki, jo us ki shan ke layak thi. Phir Dajjal ka zikr farmaya, aur farmaya ke mein bhi tumhein is ke (fitnon se) darata hoon, koi Nabi aisa nahi guzra jis ne apni qaum ko is ke fitnon se na daraya ho, Nuh (Alaihis Salam) ne bhi apni qaum ko is se daraya tha lekin mein is ke bare mein tum se ek aisi baat kahoon ga jo kisi Nabi ne apni qaum se nahi kahi, aur wo baat ye hai ke Dajjal kana hoga aur Allah Ta'ala is se paak hai
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة