الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب أحاديث الأنبياء
Kitab: Anbiya Alaihim-us-Salam ke bayan mein
باب قول الله تعالى: {ووهبنا لداود سليمان نعم العبد إنه أواب} :
Bab: Allah Taala ke is qaul ka bayan“Aur hum ne Dawood ko Sulayman (beta) ata farmaya, woh bohot achha banda tha, beshak woh bohot rujoo karne wala tha”.
Show diacritics
Hadith Number: 3427
وقال: كانت امراتان معهما ابناهما جاء الذئب فذهب بابن إحداهما، فقالت: صاحبتها إنما ذهب بابنك، وقالت: الاخرى إنما ذهب بابنك فتحاكمتا إلى داود فقضى به للكبرى فخرجتا على سليمان بن داود فاخبرتاه، فقال: ائتوني بالسكين اشقه بينهما، فقالت: الصغرى لا تفعل يرحمك الله هو ابنها فقضى به للصغرى، قال ابو هريرة: والله إن سمعت بالسكين إلا يومئذ وما كنا نقول إلا المدية.
Aur Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke do auratein thien aur dono ke sath dono ke bacche thay. Itne mein ek bheriya aaya aur ek aurat ke bacche ko utha le gaya. In dono mein se ek aurat ne kaha bheriya tumhare bete ko le gaya hai aur doosri ne kaha ke tumhare bete ko le gaya hai. Dono Dawood (Alaihis Salam) ke yahan apna muqaddama le gayeen. Aap ne bari aurat ke haq mein faisla kar diya. Is ke baad wo dono Sulaiman Bin Dawood (Alaihis Salam) ke yahan aayeen aur unhein is jhagray ki khabar di. Unhon ne farmaya ke accha churi lao. Is bacche ke do tukray kar ke dono ke darmiyan baant doon. Chhoti aurat ne ye sun kar kaha: Allah aap par raham farmaye aisa na kijiye mein ne maan liya ke isi bari ka larka hai. Is par Sulaiman (Alaihis Salam) ne is chhoti ke haq mein faisla kiya. Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne kaha ke mein ne «sikkeen» ka lafz isi din suna warna hum hamesha (churi ke liye) «mudyatan» ka lafz bola karte thay


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6483
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، حدثنا ابو الزناد، عن عبد الرحمن، انه حدثه، انه سمع ابا هريرة رضي الله عنه، انه سمع رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" إنما مثلي ومثل الناس، كمثل رجل استوقد نارا فلما اضاءت ما حوله، جعل الفراش وهذه الدواب التي تقع في النار يقعن فيها، فجعل ينزعهن ويغلبنه فيقتحمن فيها، فانا آخذ بحجزكم عن النار وهم يقتحمون فيها".
Hum se Abu al-Yaman ne bayan kiya , kaha hum ko Shuayb ne khabar di , kaha hamase Abu al-Zinad ne bayan kiya , in se Abd-ul-Rahman ne bayan kiya , unhon ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se suna aur unhon ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke meri aur logon ki misal ek aise shakhs ki hai jis ne aag jalayi , jab is ke charon taraf roshni ho gayi to parwanay aur yeh keere makoray jo aag par girte hain is mein girne lage aur aag jalaane wala unhein is mein se nikaalne laga lekin woh is ke qaaboo mein nahi aaye aur aag mein girte rahe . Isi tarah main tumhari kamar ko pakar kar aag se tumhein nikaalta hoon aur tum ho ke isi mein girte jaate ho .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6769
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، قال: حدثنا ابو الزناد، عن عبد الرحمن، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" كانت امراتان معهما ابناهما جاء الذئب فذهب بابن إحداهما، فقالت لصاحبتها: إنما ذهب بابنك، وقالت الاخرى إنما ذهب بابنك، فتحاكمتا إلى داود عليه السلام، فقضى به للكبرى، فخرجتا على سليمان بن داود عليهما السلام فاخبرتاه، فقال: ائتوني بالسكين اشقه بينهما، فقالت الصغرى: لا تفعل يرحمك الله هو ابنها، فقضى به للصغرى" قال ابو هريرة: والله إن سمعت بالسكين قط إلا يومئذ وما كنا نقول إلا المدية.
Hum se Abu al-Yaman ne bayan kiya , kaha hum ko Shuayb ne khabar di , kaha hamase Abu al-Zinad ne bayan kiya , in se Abd-ul-Rahman ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”do auratein thien aur in ke saath in ke do bache bhi thay , phir bheriya aaya aur ek bache ko utha kar le gaya is ne apni saathi aurat se kaha ke bheriya tere bache ko le gaya hai , doosri aurat ne kaha ke woh to tera bacha le gaya hai . Woh donon auratein اپنا muqaddama Dawood alaihissalam ke paas laayien to Aap ne faisla bari ke haq mein kar diya . Woh donon nikal kar Sulayman bin Dawood alaihima-s-salaam ke paas gayiein aur unhein waqia ki ittila di . Sulayman alaihissalam ne kaha ke chhuri lao main larke ke do tukre kar ke donon ko ek ek doon ga . Is par chhoti aurat bol uthi ke aisa na kijiye Aap par Allah raham kare , yeh bari hi ka larka hai lekin Aap alaihissalam ne faisla chhoti aurat ke haq mein kiya . Abu Hurairah razi Allahu anhu ne kaha ke wallah! Main ne «sik-keenun» chhuri ka lafz sab se pehli martaba (Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki zaban se) is din suna thu aur hum is ke liye (apne qabila mein) «mud-yah» ka lafz bolte thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة