الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب أحاديث الأنبياء
Kitab: Anbiya Alaihim-us-Salam ke bayan mein
باب قول الله تعالى: {ووهبنا لداود سليمان نعم العبد إنه أواب} :
Bab: Allah Taala ke is qaul ka bayan“Aur hum ne Dawood ko Sulayman (beta) ata farmaya, woh bohot achha banda tha, beshak woh bohot rujoo karne wala tha”.
Hadith Number: 3425
حدثني عمر بن حفص، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، حدثنا إبراهيم التيمي، عن ابيه، عن ابي ذر رضي الله عنه، قال: قلت: يا رسول الله، اي مسجد وضع اول، قال:" المسجد الحرام، قلت: ثم اي، قال: ثم المسجد الاقصى، قلت: كم كان بينهما، قال: اربعون ثم، قال: حيثما ادركتك الصلاة فصل والارض لك مسجد".
Mujh se Umar Bin Hafs ne bayan kiya kaha hum se mere walid ne bayan kiya kaha hum se Amash ne bayan kiya kaha hum se Ibrahim Taimi ne bayan kiya un se un ke walid ne aur un se Abu Zar (Radi Allahu Anhu) bayan kiya ke mein ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se poocha: Ya Rasul Allah! Sab se pehle kaun si masjid banayi gayi thi? Farmaya ke Masjid-ul-Haram! Mein ne sawal kiya is ke baad kaun si? Farmaya ke Masjid-ul-Aqsa. Mein ne sawal kiya aur in dono ki tameer ka darmiyani fasla kitna tha? Farmaya ke chalis saal. Phir Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke jis jagah bhi namaz ka waqt ho jaye furan namaz parh lo. Tumhare liye tamam ruy-e-zameen masjid hai
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 336
حدثنا زكرياء بن يحيى، قال: حدثنا عبد الله بن نمير، قال: حدثنا هشام بن عروة، عن ابيه، عن عائشة،" انها استعارت مناسماء قلادة فهلكت، فبعث رسول الله صلى الله عليه وسلم رجلا، فوجدها، فادركتهم الصلاة وليس معهم ماء فصلوا، فشكوا ذلك إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم، فانزل الله آية التيمم"، فقال اسيد بن حضير لعائشة: جزاك الله خيرا، فوالله ما نزل بك امر تكرهينه إلا جعل الله ذلك لك وللمسلمين فيه خيرا.
Hum se Zakariya bin Yahya ne bayan kiya, kaha hum se Abdullah bin Numair ne, kaha hum se Hisham bin Urwah ne, woh apne walid se, woh Aisha Razi Allah Anha se ke unhon ne Asma Razi Allah Anha se haar maang kar pehen liya tha, woh gum ho gaya. Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne ek aadmi ko is ki talash ke liye bheja, jise woh mil gaya. Phir namaz ka waqt aa pahuncha aur logon ke pas (jo haar ki talash mein gaye thay) pani nahi tha. Logon ne namaz padh li aur Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam se is ke mutaliq shikayat ki. Pas Allah Tabarak wa Ta’ala ne tayammum ki ayat utari jise sun kar Usaid bin Huzair ne Aisha Razi Allah Anha se kaha Aap ko Allah behtareen badla de. Wallah jab bhi Aap ke sath koi aisi baat pesh aayi jis se Aap ko takleef hui to Allah Ta’ala ne Aap ke liye aur tamam musalmanon ke liye is mein khair paida farma di. 104670
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3366
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا عبد الواحد، حدثنا الاعمش، حدثنا إبراهيم التيمي، عن ابيه، قال: سمعت ابا ذر رضي الله عنه، قال: قلت: يا رسول الله، اي مسجد وضع في الارض اول؟ قال:" المسجد الحرام، قال: قلت: ثم اي، قال: المسجد الاقصى، قلت: كم كان بينهما، قال: اربعون سنة ثم اينما ادركتك الصلاة بعد فصله فإن الفضل فيه".
Hum se Musa Bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Abd-ul-Wahid ne bayan kiya, kaha hum se Aamash ne bayan kiya, kaha hum se Ibrahim Taimi ne, un se in ke walid Yazid Bin Shareek ne bayan kiya ke mein ne Abu Zarr (Radi Allahu Anhu) se suna, unhon ne bayan kiya ke mein ne arz kiya: Ya Rasul Allah! Sab se pehle roye zameen par kaun si masjid bani hai? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke Masjid-ul-Haram. Unhon ne bayan kiya ke phir mein ne arz kiya aur aur is ke baad? Farmaya ke Masjid-ul-Aqsa (Bait-ul-Muqaddas) mein ne arz kiya, in dono ki tameer ke darmiyan kitna fasla raha hai? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke chalis saal. Phir farmaya ab jahan bhi tujh ko namaz ka waqt ho jaye wahan namaz parh le. Badi fazeelat namaz parhna hai
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة