الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب أحاديث الأنبياء
Kitab: Anbiya Alaihim-us-Salam ke bayan mein
باب قول الله تعالى: {وآتينا داود زبورا} :
Bab: Allah Taala ka irshad“Aur di hum ne Dawood ko Zaboor”.
Show diacritics
Hadith Number: 3417
حدثنا عبد الله بن محمد، حدثنا عبد الرزاق، اخبرنا معمر، عن همام، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" خفف على داود عليه السلام القرآن فكان يامر بدوابه فتسرج فيقرا القرآن قبل ان تسرج دوابه ولا ياكل إلا من عمل يده"، رواه موسى بن عقبة، عن صفوان، عن عطاء بن يسار، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Abdullah Bin Muhammad ne bayan kiya kaha hum se Abdur Razzaq ne bayan kiya unhein Maamar ne khabar di unhein Hammam ne aur unhein Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Dawood (Alaihis Salam) ke liye Quran (yani Zaboor) ki qiraat bahut aasan kar di gayi thi. Chunancha wo apni sawari par zain kasne ka hukam dete aur zain kasi jane se pehle hi poori Zaboor parh lete thay aur aap sirf apne hathon ki kamayi khate thay." Is ki riwayat Musa Bin Uqbah ne ki un se Safwan ne un se Ata Bin Yasar ne un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se riwayat kiya hai


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2073
حدثنا يحيى بن موسى، حدثنا عبد الرزاق، اخبرنا معمر، عن همام بن منبه، حدثنا ابو هريرة، عن رسول الله صلى الله عليه وسلم:" ان داود النبي عليه السلام، كان لا ياكل إلا من عمل يده".
Hum se Yahya Bin Musa ne bayan kiya, kaha ke hum se Abdul Razzaq ne bayan kiya, kaha ke humein Mamar ne khabar di, unhein Hammam Bin Munabbih ne, un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya, aur un se Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne ke Daud (Alaihis Salam) sirf apne hath ki kamayi se khaya karte thay
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4713
حدثني إسحاق بن نصر، حدثنا عبد الرزاق، عن معمر، عن همام، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" خفف على داود القراءة، فكان يامر بدابته لتسرج، فكان يقرا قبل ان يفرغ" يعني القرآن.
Mujh se Ishaq bin Nasr ne byaan kiya , kaha hum se Abdur Razzaq ne byaan kiya aur un se Mamar ne , un se Hammam bin Munabbih ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Dawood alaihissalam par Zaboor ki tilawat aasan kar di gayi thi . Aap ghore par zeen kasne ka hukm dete aur is se pehle ke zeen kasi ja chuke , tilawat se farigh ho jate thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة