الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب أحاديث الأنبياء
Kitab: Anbiya Alaihim-us-Salam ke bayan mein
باب قول الله تعالى: {وواعدنا موسى ثلاثين ليلة وأتممناها بعشر فتم ميقات ربه أربعين ليلة وقال موسى لأخيه هارون اخلفني فى قومي وأصلح ولا تتبع سبيل المفسدين ولما جاء موسى لميقاتنا وكلمه ربه قال رب أرني أنظر إليك قال لن تراني} إلى قوله: {وأنا أول المؤمنين} :
Bab: Allah Taala ka farman“Aur hum ne Musa se tees raat ka wada kiya phir us mein das raaton ka aur izafa kar diya aur is tarah un ke Rab ki meyaad chalis raaten poori kar di. Aur Musa ne apne bhai Haroon se kaha ke meri ghair-maujoodgi mein meri qaum mein mere khalifa reh aur un ke sath narm rawayya rakhna aur mufsidoon ke raste par mat chalna. Phir jab Musa hamare thehraye hue waqt par (ek chilla ke) baad aaye aur un ke Rab ne un se guftugu ki to unhon ne arz kiya: Mere Parwardigar! Mujhe apna deedar kara ke mein Tujh ko dekh loon. Allah Taala ne farmaya“Tum mujhe hargiz na dekh sako ge”Allah Taala ke irshad «wa ana awwalul mu’mineen» tak.
Hadith Number: 3399
حدثني عبد الله بن محمد الجعفي، حدثنا عبد الرزاق اخبرنا معمر، عن همام، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" لولا بنو إسرائيل لم يخنز اللحم، ولولا حواء لم تخن انثى زوجها الدهر".
Mujh se Abdullah Bin Muhammad Jafi ne bayan kiya kaha hum se Abdur Razzaq ne bayan kiya kaha hum ko Maamar ne khabar di unhein Hammam ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Agar Bani Israel na hote (Salwa ka gosht jama kar ke na rakhte) to gosht kabhi na sarta. Aur agar Hawwa na hotein (yani Adam (Alaihis Salam) se dagha na kartien) to koi aurat apne shohar ki khiyanat kabhi na karti."
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3330
حدثنا بشر بن محمد، اخبرنا عبد الله، اخبرنا معمر، عن همام، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم نحوه يعني:" لولا بنو إسرائيل لم يخنز اللحم، ولولا حواء لم تخن انثى زوجها".
Hum se Bishr Bin Muhammad ne bayan kiya, kaha hum ko Abdullah ne khabar di, kaha hum ko Ma'mar ne khabar di, unhein Hammam ne aur unhein Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne, unhon ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se riwayat kiya (Abdur Razzaq ki) riwayat ki tarah ke agar qaum-e-Bani Israil na hoti to gosht na sada karta aur agar Hawwa na hoteen to aurat apne shohar se dagha na karti
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة