الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب أحاديث الأنبياء
Kitab: Anbiya Alaihim-us-Salam ke bayan mein
باب قول الله تعالى: {لقد كان فى يوسف وإخوته آيات للسائلين} :
Bab: (Yusuf Alaihis Salam ka bayan) Allah Taala ne farmaya ke“Beshak Yusuf aur un ke bhaiyon ke waqiaat mein poochhne walon ke liye qudrat ki bohot si nishaniyan hain”.
Show diacritics
Hadith Number: 3389
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، قال: اخبرني عروة، انه سال عائشة رضي الله عنها زوج النبي صلى الله عليه وسلم: ارايت قوله حتى إذا استياس الرسل وظنوا انهم قد كذبوا او كذبوا، قالت: بل كذبهم قومهم، فقلت: والله لقد استيقنوا ان قومهم كذبوهم وما هو بالظن، فقالت: يا عرية لقد استيقنوا بذلك، قلت: فلعلها او كذبوا، قالت: معاذ الله لم تكن الرسل تظن ذلك بربها واما هذه الآية، قالت: هم اتباع الرسل الذين آمنوا بربهم وصدقوهم وطال عليهم البلاء واستاخر عنهم النصر حتى إذا استياست ممن كذبهم من قومهم وظنوا ان اتباعهم كذبوهم جاءهم نصر الله، قال ابو عبد الله استياسوا سورة يوسف آية 80 افتعلوا من يئست منه سورة يوسف آية 80من يوسف ولا تياسوا من روح الله سورة يوسف آية 87 معناه الرجاء.
Hum se Yahya Bin Bukair ne bayan kiya kaha hum se Laith ne bayan kiya un se Aqeel ne un se Ibn Shihab ne kaha ke mujhe Urwah ne khabar di ke unhon ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki zauja mutahira Aisha (Radi Allahu Anha) se ayat ke mutalliq pucha 'hattu iza-stai-asa-r-rusulu wa-zhannū annahum qad kuz-zibū' (tashdeed ke sath "kuz-zibū") hai ya "kuzibū" (baghair tashdeed ke) yaani yahan tak ke jab anbiya na-umeed ho gaye aur unhein khayal guzarne laga ke unhein jhutlaya diya gaya to Allah ki madad pahunchi to unhon ne kaha ke (ye tashdeed ke sath hai aur matlab ye hai ke) un ki qaum ne unhein jhutlaya tha. Mein ne arz kiya ke phir maane kaise baneinge paighambaron ko yaqeen tha hi ke un ki qaum unhein jhutla rahi hai. Phir Quran mein lafz "zhannun" guman aur khayal ke maane mein istemal kyun kiya gaya? Aisha (Radi Allahu Anha) ne kaha: Ae chhote se Urwah! Beshak un ko to yaqeen tha. Mein ne kaha to shayad is ayat mein baghair tashdeed ke "kuzibū" ho ga yaani paighambar ye samjhe ke Allah ne jo in ki madad ka waada kiya tha wo ghalat tha. Aisha (Radi Allahu Anha) ne farmaya: Ma-azallah! Anbiya apne Rabb ke sath bhala aisa guman kar sakte hain. Aisha (Radi Allahu Anha) ne kaha murad ye hai ke paighambaron ke tabedar log jo apne maalik par iman laye thay aur paighambaron ki tasdeeq ki thi un par jab muddat tak Allah ki aazmaish rahi aur madad aane mein darr hui aur paighambar log apni qaum ke jhutlane walon se na-umeed ho gaye (samjhe ke ab wo iman nahi layein ge) aur unhon ne ye guman kiya ke jo log in ke tabedar bane hain wo bhi in ko jhoota samajhne lageinge is waqt Allah ki madad aan pahunchi. Abu Abdullah (Imam Bukhari Rahimahullah) ne kaha ke "astai-asū", "afta-alū" ke wazan par hai jo "ya-istu minhu" se nikla hai. "ay min Yūsufa" (Surah Yusuf ki ayat ka ek jumla hai yaani Zulaikha Yusuf Alaihis Salam se na-umeed ho gayi.) "la tai-asū min rau-hillahi" (Surah Yusuf: 87) yaani Allah se umeed rakho na-umeed na ho
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4525
فقال: قالت عائشة: معاذ الله , والله ما وعد الله رسوله من شيء قط، إلا علم انه كائن قبل ان يموت، ولكن لم يزل البلاء بالرسل حتى خافوا ان يكون من معهم يكذبونهم، فكانت تقرؤها وظنوا انهم قد كذبوا سورة يوسف آية 110 مثقلة".
Unhon ne byaan kiya ke Aisha razi Allahu anha to kehti thien Allah ki panah! Paighambar , to jo waada Allah ne un se kiya hai us ko samajhte hain ke woh marne se pehle zaroor poora ho ga . Baat yeh ke hai paighambaron ki aazmaish barabar hoti rahi hai . (madad aane mein itni der hui) ke paighambar dar gaye . Aaisa na ho un ki ummat ke log un ko jhoota samajh lein to Aisha razi Allahu anha is aayat (Surah Yusuf) ko yun parhti thien «wa zhannu annahum qad kuzzhibu» (zhal ki tashdeed ke saath) .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4695
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، حدثنا إبراهيم بن سعد، عن صالح، عن ابن شهاب، قال: اخبرني عروة بن الزبير، عن عائشة رضي الله عنها، قالت له وهو يسالها عن قول الله تعالى: حتى إذا استياس الرسل سورة يوسف آية 110، قال: قلت: اكذبوا ام كذبوا؟ قالت عائشة: كذبوا، قلت: فقد استيقنوا ان قومهم كذبوهم، فما هو بالظن؟ قالت: اجل، لعمري لقد استيقنوا بذلك، فقلت لها: وظنوا انهم قد كذبوا، قالت: معاذ الله، لم تكن الرسل تظن ذلك بربها، قلت: فما هذه الآية؟ قالت: هم اتباع الرسل الذين آمنوا بربهم وصدقوهم، فطال عليهم البلاء، واستاخر عنهم النصر، حتى إذا استياس الرسل ممن كذبهم من قومهم، وظنت الرسل ان اتباعهم قد كذبوهم، جاءهم نصر الله عند ذلك.
Hum se Abdul Aziz bin Abdullah Oways ne byaan kiya , kaha hum se Ibrahim bin Saad ne byaan kiya , un se Salih bin Kaysan ne , un se Ibn Shihab ne byaan kiya , unhein Urwah bin Zubayr ne khabar di aur un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya Urwah ne un se aayat «hatta izhas-tay'asar rusulu» ke mutalliq poocha tha . Urwah ne byaan kiya ke main ne poocha tha (aayat mein) «kuzhibu» (takhfeef ke saath) ya «kuzzhibu» (tashdeed ke saath) is par Aisha razi Allahu anha ne kaha ke «kuzzhibu» (tashdeed ke saath) is par main ne un se kaha ke anbiya to yaqeen ke saath jaante thay ke un ki qaum unhein jhutla rahi hai . Phir «zhannu» se kya murad hai , unhon ne kaha apni zindagi ki qasam beshak paighambaron ko is ka yaqeen tha . Main ne kaha «kuzhibu» takhfeef e zhal ke saath parhein to kya qabahat hai . Unhon ne kaha ma'azhallah! Kahin paighambar apne Parvardigar ki nisbat aisa guman kar sakte hain . Main ne kaha achha is aayat ka matlab kya hai ? Unhon ne kaha matlab yeh hai ke paighambaron ko jin logon ne mana un ki tasdeeq ki jab un par ek muddat e daraz tak aafat aur museebat aati rahi aur Allah ki madad aane mein der hui aur paighambar un ke iman laane se na-umeed ho gaye jinon ne un ko jhutlaya tha aur yeh guman karne lage ke jo log iman laye hain ab woh bhi hamain jhoota samajhne lagein ge , is waqt Allah ki madad aan pahunchi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4694
حدثنا سعيد بن تليد، حدثنا عبد الرحمن بن القاسم، عن بكر بن مضر، عن عمرو بن الحارث، عن يونس بن يزيد، عن ابن شهاب،عن سعيد بن المسيب، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" يرحم الله لوطا، لقد كان ياوي إلى ركن شديد، ولو لبثت في السجن ما لبث يوسف، لاجبت الداعي، ونحن احق من إبراهيم، إذ قال له: اولم تؤمن قال بلى ولكن ليطمئن قلبي سورة البقرة آية 260.
Hum se Saeed bin Tulayd ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Abdur Rahman bin Qasim ne byaan kiya , un se Bakr bin Mudar ne , un se Amr bin al-Harith ne , un se Yunus bin Yazid ne , un se Ibn Shihab ne , un se Saeed bin Musayyab aur Abu Salamah bin Abdur Rahman ne byaan kiya aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah Loot alaihissalam par apni rahmat nazil farmaye ke unhon ne ek zabardast sahare ki panah lene ke liye kaha tha aur agar main qaid-khane mein itne dinon tak reh chuka hota jitne din Yusuf alaihissalam rahe thay to bulane wale ki baat radd na karta aur hamain to Ibrahim alaihissalam ke bah-nisbat shakk hona zyada sazawaar hai . Jab Allah Paak ne un se farmaya «awalam tumim qaala bala wa laakin liyat-ma'inna qalbi» ke kya tujh ko yaqeen nahi ? Unhon ne kaha kyun nahi yaqeen to hai par main chahta hoon ke aur itminan ho jaye .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة