الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب أحاديث الأنبياء
Kitab: Anbiya Alaihim-us-Salam ke bayan mein
باب قول الله تعالى: {وإلى ثمود أخاهم صالحا} :
Bab: (Qaum-e-Samood aur Salih Alaihis Salam ka bayan) Allah Paak ka (Surah Al-A’raf mein) farmana“Hum ne Samood ki taraf un ke bhai Salih Alaihis Salam ko bheja”.
Show diacritics
Hadith Number: 3377
حدثنا الحميدي، حدثنا سفيان، حدثنا هشام بن عروة، عن ابيه، عن عبد الله بن زمعة، قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم"وذكر الذي عقر الناقة، قال: انتدب لها رجل ذو عز ومنعة في قوة كابي زمعة".
Hum se Humaidi ne bayan kiya kaha hum se Sufyan Bin Uyaina ne bayan kiya kaha hum se Hisham Bin Urwah ne bayan kiya un se un ke walid ne aur un se Abdullah Bin Zama'a ne bayan kiya ke mein ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se suna (khutba ke dauran) Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne qaum ka zikar kiya jinhon ne ontni ko zibah kar diya tha. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke (Allah ki qasam bheji hui) is (ontni) ko zibah karne wala qaum ka ek bahut hi ba-izzat aadmi (Qaidar nami) tha jaise hamare zamane mein Abu Zama'a (Aswad Bin Muttalib) hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4942
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا وهيب، حدثنا هشام، عن ابيه، انه اخبره عبد الله بن زمعة، انه سمع النبي صلى الله عليه وسلم يخطب وذكر الناقة والذي عقر، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إذ انبعث اشقاها سورة الشمس آية 12" انبعث لها رجل عزيز عارم منيع في رهطه مثل ابي زمعة، وذكر النساء، فقال:" يعمد احدكم فيجلد امراته جلد العبد، فلعله يضاجعها من آخر يومه، ثم وعظهم في ضحكهم من الضرطة، وقال: لم يضحك احدكم مما يفعل"، وقال ابو معاوية: حدثنا هشام، عن ابيه، عن عبد الله بن زمعة، قال النبي صلى الله عليه وسلم:" مثل ابي زمعة عم الزبير بن العوام".
Hum se Musa bin Ismail ne byaan kiya , kaha hum se Wuhaib ne byaan kiya , hum se Hisham bin Urwah ne byaan kiya , un se un ke walid ne aur unhein Abdullah bin Zama'h razi Allahu anhu ne khabar di ke unhon ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna , Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne apne ek khutba mein Salih alaihissalam ki oontni ka zikr farmaya aur is shakhs ka bhi zikr farmaya jis ne is ki koonchein kaat daali thien phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne irshad farmaya «izh-in-baasa ashqaaha» yani is oontni ko maar dalne ke liye ek mufsid bad-bakht (Qadar naami) ko apni qaum mein Abu Zama'h ki tarah ghalib aur taqatwar tha utha . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne auraton ke huqooq ka bhi zikr farmaya ke tum mein baaz apni biwi ko ghulam ki tarah kore maarte hain haalan ke isi din ke khatam hone par woh is se hum-bistari bhi karte hain . Phir Aap ne unhein riyah kharij hone par hansne se mana farmaya aur farmaya ke ek kaam jo tum mein har shakhs karta hai isi par tum doosron par kis tarah hanste ho . Abu Muawiyah ne byaan kiya ke hum se Hisham bin Urwah bin Zubayr ne , un se Abdullah bin Zama'h ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne (is hadees mein) yun farmaya Abu Zama'h ki tarah jo Zubayr bin Awwam ka chacha tha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5204
حدثنا محمد بن يوسف، حدثنا سفيان، عن هشام، عن ابيه، عن عبد الله بن زمعة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لا يجلد احدكم امراته جلد العبد ثم يجامعها في آخر اليوم".
Hum se Muhammad bin Yusuf ne byaan kiya , kaha hum se Sufyan Sawri ne byaan kiya , in se Hisham bin Urwah ne , un se un ke walid ne aur un se Abdullah bin Zama'h razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tum mein koi shakhs apni biwi ko ghulamon ki tarah na maare ke phir doosre din is se hum-bistar ho ga .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6042
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، عن هشام، عن ابيه، عن عبد الله بن زمعة، قال:" نهى النبي صلى الله عليه وسلم ان يضحك الرجل مما يخرج من الانفس وقال: بم يضرب احدكم امراته ضرب الفحل او العبد ثم لعله يعانقها"، وقال الثوري، ووهيب، وابو معاوية، عن هشام، جلد العبد.
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne bayan kiya, in se Hisham bin Urwah ne, in se un ke walid ne aur in se Abdullah bin Zamah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne kisi ki reeh kharij hone par hans-ne se mana farmaya aur Aap ne yeh bhi farmaya ke tum mein se kis tarah ek shakhs apni biwi ko zor se maarta hai jaise oont, haalan ke is ki poori umeed hai ke shaam mein usay woh gale lagaye ga. Aur Sawri, Wuhaib aur Abu Muawiyah ne Hisham se bayan kiya ke (janwar ki tarah) ke bajaye lafz ghulam ki tarah ka istemal kiya.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة