الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب أحاديث الأنبياء
Kitab: Anbiya Alaihim-us-Salam ke bayan mein
باب:
Bab: …
Show diacritics
Hadith Number: 3366
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا عبد الواحد، حدثنا الاعمش، حدثنا إبراهيم التيمي، عن ابيه، قال: سمعت ابا ذر رضي الله عنه، قال: قلت: يا رسول الله، اي مسجد وضع في الارض اول؟ قال:" المسجد الحرام، قال: قلت: ثم اي، قال: المسجد الاقصى، قلت: كم كان بينهما، قال: اربعون سنة ثم اينما ادركتك الصلاة بعد فصله فإن الفضل فيه".
Hum se Musa Bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Abd-ul-Wahid ne bayan kiya, kaha hum se Aamash ne bayan kiya, kaha hum se Ibrahim Taimi ne, un se in ke walid Yazid Bin Shareek ne bayan kiya ke mein ne Abu Zarr (Radi Allahu Anhu) se suna, unhon ne bayan kiya ke mein ne arz kiya: Ya Rasul Allah! Sab se pehle roye zameen par kaun si masjid bani hai? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke Masjid-ul-Haram. Unhon ne bayan kiya ke phir mein ne arz kiya aur aur is ke baad? Farmaya ke Masjid-ul-Aqsa (Bait-ul-Muqaddas) mein ne arz kiya, in dono ki tameer ke darmiyan kitna fasla raha hai? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke chalis saal. Phir farmaya ab jahan bhi tujh ko namaz ka waqt ho jaye wahan namaz parh le. Badi fazeelat namaz parhna hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3425
حدثني عمر بن حفص، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، حدثنا إبراهيم التيمي، عن ابيه، عن ابي ذر رضي الله عنه، قال: قلت: يا رسول الله، اي مسجد وضع اول، قال:" المسجد الحرام، قلت: ثم اي، قال: ثم المسجد الاقصى، قلت: كم كان بينهما، قال: اربعون ثم، قال: حيثما ادركتك الصلاة فصل والارض لك مسجد".
Mujh se Umar Bin Hafs ne bayan kiya kaha hum se mere walid ne bayan kiya kaha hum se Amash ne bayan kiya kaha hum se Ibrahim Taimi ne bayan kiya un se un ke walid ne aur un se Abu Zar (Radi Allahu Anhu) bayan kiya ke mein ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se poocha: Ya Rasul Allah! Sab se pehle kaun si masjid banayi gayi thi? Farmaya ke Masjid-ul-Haram! Mein ne sawal kiya is ke baad kaun si? Farmaya ke Masjid-ul-Aqsa. Mein ne sawal kiya aur in dono ki tameer ka darmiyani fasla kitna tha? Farmaya ke chalis saal. Phir Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke jis jagah bhi namaz ka waqt ho jaye furan namaz parh lo. Tumhare liye tamam ruy-e-zameen masjid hai


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة