الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب بدء الخلق
Kitab: Is bayan mein ke makhlooq ki paidaish kyonkar shuru hui
باب إذا وقع الذباب فى شراب أحدكم فليغمسه، فإن فى إحدى جناحيه داء وفي الأخرى شفاء:
Bab: Is hadees ka bayan jab makkhi paani ya khane mein gir jaye to us ko dubo de kyunke us ke ek par mein bimari hoti hai aur doosre mein shifa hoti hai.
Show diacritics
Hadith Number: 3321
حدثنا الحسن بن الصباح، حدثنا إسحاق الازرق، حدثنا عوف، عن الحسن وابن سيرين، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" غفر لامراة مومسة مرت بكلب على راس ركي يلهث، قال: كاد يقتله العطش فنزعت خفها فاوثقته بخمارها فنزعت له من الماء فغفر لها بذلك".
Hum se Hasan Bin Sabbah ne bayan kiya, kaha hum se Ishaq Azraq ne bayan kiya, kaha hum se Auf ne bayan kiya, un se Hasan aur Ibn Sireen ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Ek fahisha aurat sirf is wajah se bakhshi gayi ke wo ek kutte ke qareeb se guzar rahi thi, jo ek kunwein ke qareeb khada pyasa haanp raha tha. Aisa maloom hota tha ke wo pyas ki shiddat se abhi mar jaye ga. Is aurat ne apna moza nikala aur is mein apna dupatta baandh kar pani nikala aur us kutte ko pila diya, to is ki bakhshish isi (naiki) ki wajah se ho gayi."
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3467
حدثنا سعيد بن تليد، حدثنا ابن وهب، قال: اخبرني جرير بن حازم، عن ايوب، عن محمد بن سيرين، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" بينما كلب يطيف بركية كاد يقتله العطش إذ راته بغي من بغايا بني إسرائيل فنزعت موقها فسقته فغفر لها به".
Hum se Saeed Bin Talid ne bayan kiya, kaha hum se Ibn Wahb ne bayan kiya, kaha ke mujhe Jarir Bin Hazim ne khabar di, unhein Ayub ne aur unhein Muhammad Bin Sireen ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne bayan farmaya "Ek kutta ek kunvein ke charon taraf chakkar kaat raha tha jaise pyas ki shiddat se is ki jaan nikal jane wali ho ke Bani Israel ki ek zaniya aurat ne ise dekh liya. Is aurat ne apna mouza utar kar kutte ko pani pilaya aur is ki maghfirat isi amal ki wajah se ho gayi
."


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة