الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب بدء الخلق
Kitab: Is bayan mein ke makhlooq ki paidaish kyonkar shuru hui
باب خير مال المسلم غنم يتبع بها شعف الجبال:
Bab: Musalman ka behtareen maal bakriyan hain jin ko charane ke liye paharon ki chotiyon par phirta rahe.
Show diacritics
Hadith Number: 3312
حدثنا مالك بن إسماعيل، حدثنا جرير بن حازم، عن نافع، عن ابن عمر، انه كان يقتل الحيات.
Hum se Maalik Bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Jareer Bin Hazim ne bayan kiya aur un se Nafi ne ke Ibn Umar (Radi Allahu Anhuma) sanpon ko maar dala karte thay
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3297
حدثنا عبد الله بن محمد، حدثنا هشام بن يوسف، حدثنا معمر، عن الزهري، عن سالم، عن ابن عمر رضي الله عنهما، انه سمع النبي صلى الله عليه وسلم يخطب على المنبر، يقول:" اقتلوا الحيات واقتلوا ذا الطفيتين والابتر فإنهما يطمسان البصر ويستسقطان الحبل.
Hum se Abdullah Bin Muhammad ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Hisham Bin Yusuf ne bayan kiya, un se Ma'mar ne bayan kiya, un se Zuhri ne bayan kiya, un se Salim ne bayan kiya aur un se Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne ke unhon ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se suna. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) mimbar par khutba dete hue farma rahe thay ke sanpon ko maar dala karo (khususan) un ko jin ke saron par do nuqte hote hain aur dum bareeda saanp ko bhi, kyunke dono aankh ki roshni tak khatam kar dete hain aur hamal tak gira dete hain
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة