الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب بدء الخلق
Kitab: Is bayan mein ke makhlooq ki paidaish kyonkar shuru hui
باب صفة إبليس وجنوده:
Bab: Iblees aur us ki fauj ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 3276
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، قال: اخبرني عروة بن الزبير، قال ابو هريرة رضي الله عنه: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" ياتي الشيطان احدكم، فيقول: من خلق كذا من خلق كذا حتى، يقول: من خلق ربك فإذا بلغه فليستعذ بالله ولينته".
Hum se Yahya Bin Bukair ne bayan kiya, kaha hum se Laith Bin Saad ne bayan kiya, un se Aqeel ne, un se Ibn Shihab ne bayan kiya, unhein Urwah ne khabar di aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Tum mein se kisi ke paas shaitan aata hai aur tumhare dil mein pehle to ye sawal paida karta hai ke falan cheez kis ne paida ki, falan cheez kis ne paida ki? Aur aakhir mein baat yahan tak pahunchata hai ke khud tumhare Rabb ko kis ne paida kiya? Jab kisi shakhs ko aisa waswasa dale to Allah se panah mangni chahiye, shaitani khayal ko chhod de."
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7296
حدثنا الحسن بن صباح، حدثنا شبابة، حدثنا ورقاء، عن عبد الله بن عبد الرحمن سمعت انس بن مالك، يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" لن يبرح الناس يتساءلون حتى يقولوا هذا الله خالق كل شيء فمن خلق الله".
Hum se Hasan bin Sabbah ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Shababah ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Warqa ne bayan kiya, in se Abdullah bin Abd-ul-Rahman ne bayan kiya, unhon ne Anas bin Malik razi Allahu anhu se suna ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”insan barabar sawal karta rahe ga, yahan tak ke sawal kare ga ke yeh to Allah hai, har cheez ka paida karne wala lekin Allahku kis ne paida kiya.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة