الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب بدء الخلق
Kitab: Is bayan mein ke makhlooq ki paidaish kyonkar shuru hui
باب صفة النار وأنها مخلوقة:
Bab: Dozakh ka bayan aur ye bayan ke dozakh ban chuki hai, woh maujood hai.
Show diacritics
Hadith Number: 3260
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: حدثني ابو سلمة بن عبد الرحمن، انه سمع ابا هريرة رضي الله عنه، يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" اشتكت النار إلى ربها، فقالت: رب اكل بعضي بعضا فاذن لها بنفسين نفس في الشتاء ونفس في الصيف، فاشد ما تجدون من الحر واشد ما تجدون من الزمهرير".
Hum se Abu-ul-Yaman ne bayan kiya ke hum ko Shuaib ne khabar di, un se Zuhri ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujh se Abu Salama Bin Abdur Rahman ne bayan kiya aur unhon ne Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) se suna, aap bayan karte thay ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Jahannum ne apne Rabb ke huzoor mein shikayat ki aur kaha ke mere Rabb! Mere hi baaz hisse ne baaz ko kha liya hai. Allah Ta'ala ne ise do sanson ki ijazat di, ek saans jade mein aur ek garmi mein. Tum intihayi garmi aur intihayi sardi jo in mausamon mein dekhte ho, is ka yahi sabab hai."
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 537
واشتكت النار إلى ربها، فقالت: يا رب اكل بعضي بعضا، فاذن لها بنفسين نفس في الشتاء ونفس في الصيف، فهو اشد ما تجدون من الحر، واشد ما تجدون من الزمهرير".
Dozakh ne apne Rab se shikayat ki ke aye mere Rab! aag ki shadeed ki wajah se mere baaz hissay ne baaz hissay ko kha liya hai is par Allah Taala ne isay do saans lene ki ijazat di , ek saans jare mein aur ek saans garmi mein . Ab intihai sakht garmi aur sakht sardi jo tum log mehsoos karte ho woh isi se paida hoti hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة