الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب مَوَاقِيتِ الصَّلَاةِ
The Book of The Times of As-Salat (The Prayers) and Its Superiority
بَابُ الإِبْرَادِ بِالظُّهْرِ فِي شِدَّةِ الْحَرِّ:
Chapter. In severe heat, offer Zuhr prayers when it becomes (a bit) cooler.
Hadith Number: 533
حدثنا ايوب بن سليمان، قال: حدثنا ابو بكر، عن سليمان، قال صالح بن كيسان: حدثنا الاعرج عبد الرحمن وغيره، عن ابي هريرة، ونافع مولى عبد الله بن عمر، عن عبد الله بن عمر، انهما حدثاه عن رسول الله صلى الله عليه وسلم، انه قال:" إذا اشتد الحر فابردوا عن الصلاة، فإن شدة الحر من فيح جهنم".
Hum se Ayyub bin Sulaiman Madani ne bayan kiya , kaha hum se Abu Bakr Abdul Hameed bin Abi Uwais ne Sulaiman bin Bilal ke wastay se ke Saleh bin Kaisan ne kaha ke hum se Araj Abdur Rahman waghera ne hadees bayan ki . Woh Abu Hurairah raziyallahu anhu se riwayat karte thay aur Abdullah bin Umar raziyallahu anhuma ke maula Nafi Abdullah bin Umar raziyallahu anhuma se is hadees ki riwayat karte thay ke un dono sahaba raziyallahu anhuma ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam se riwayat ki ke aap salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya jab garmi taiz ho jaye to namaz ko thande waqt mein parho , kyunke garmi ki taizi jahannam ki aag ki bhaap se hoti hai .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 534

Hadith Number: 535
حدثنا بن بشار، قال: حدثنا غندر، قال: حدثنا شعبة، عن المهاجر ابي الحسن، سمع زيد بن وهب، عن ابي ذر، قال:" اذن مؤذن النبي صلى الله عليه وسلم الظهر، فقال: ابرد ابرد، او قال: انتظر انتظر، وقال: شدة الحر من فيح جهنم، فإذا اشتد الحر فابردوا عن الصلاة"حتى راينا فيء التلول.
Hum se Muhammad bin Bashar ne bayan kiya , kaha hum se Ghundar Muhammad bin Jafar ne bayan kiya , un se Shoba bin Hajjaj ne Muhajir Abul Hasan ki riwayat se bayan kiya , unhon ne Zaid bin Wahb Hamdani se suna . Unhon ne Abu Dharr raziyallahu anhu se ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ke moazzin Bilal ne zuhr ki azan di to aap salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ke thanda kar , thanda kar , ya yeh farmaya ke intizar kar , intizar kar , aur farmaya ke garmi ki taizi jahannam ki aag ki bhaap se hai . Is liye jab garmi sakht ho jaye to namaz thande waqt mein parha karo , phir zuhr ki azan is waqt kahi gayi jab hum ne telon ke saaye dekh liye .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 536
حدثنا علي بن عبد الله، قال: حدثنا سفيان، قال: حفظناه من الزهري، عن سعيد بن المسيب، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إذا اشتد الحر فابردوا بالصلاة، فإن شدة الحر من فيح جهنم.
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne bayan kiya , kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne bayan kiya , kaha is hadees ko hum ne Zuhri se sun kar yaad kiya , woh Saeed bin Musayyab ke wastay se bayan karte hain , woh Abu Hurairah raziyallahu anhu se , woh Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam se ke jab garmi taiz ho jaye to namaz ko thande waqt mein parha karo , kyunke garmi ki taizi dozakh ki aag ki bhaap ki wajah se hoti hai .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 537
واشتكت النار إلى ربها، فقالت: يا رب اكل بعضي بعضا، فاذن لها بنفسين نفس في الشتاء ونفس في الصيف، فهو اشد ما تجدون من الحر، واشد ما تجدون من الزمهرير".
Dozakh ne apne Rab se shikayat ki ke aye mere Rab! aag ki shadeed ki wajah se mere baaz hissay ne baaz hissay ko kha liya hai is par Allah Taala ne isay do saans lene ki ijazat di , ek saans jare mein aur ek saans garmi mein . Ab intihai sakht garmi aur sakht sardi jo tum log mehsoos karte ho woh isi se paida hoti hai .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 538
حدثنا عمر بن حفص، قال: حدثنا ابي، قال: حدثنا الاعمش، حدثنا ابو صالح، عن ابي سعيد، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" ابردوا بالظهر فإن شدة الحر من فيح جهنم"، تابعه سفيان، ويحيى، وابو عوانة، عن الاعمش.
Hum se Umar bin Hafs bin Ghiyath ne bayan kiya kaha mujh se mere walid ne bayan kiya , kaha hum se Amash ne bayan kiya , kaha ke hum se Abu Saleh Dhakwan ne Abu Saeed Khudri raziyallahu anhu ke wastay se bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ke garmi ke mausam mein zuhr ko thande waqt mein parha karo , kyunke garmi ki shadeed jahannam ki bhaap se paida hoti hai . Is hadees ki mutabiat Sufyan Thauri , Yahya aur Abu Awana ne Amash ke wastay se ki hai .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة