الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الحيض
Kitab: Haiz ke ahkam o masail
باب من اتخذ ثياب الحيض سوى ثياب الطهر:
Bab: Is bare mein ke jis ne (apni aurat ke liye) haiz ke liye paaki mein pehne jane wale kapron ke ilawa kapre banaye.
Show diacritics
Hadith Number: 323
حدثنا معاذ بن فضالة، قال: حدثنا هشام، عن يحيى، عن ابي سلمة، عن زينب بنت ابي سلمة، عن ام سلمة، قالت:" بينا انا مع النبي صلى الله عليه وسلم مضطجعة في خميلة حضت، فانسللت فاخذت ثياب حيضتي، فقال: انفست؟ فقلت: نعم، فدعاني فاضطجعت معه في الخميلة".
Hum se Mu’aaz bin Fazalah ne bayan kiya, kaha hum se Hishaam Dastuwaayi ne Yahya bin Abi Katheer se, woh Abu Salamah se, woh Zainab bint-e-Abi Salamah se, woh Umm-e-Salamah se, unhon ne batlaaya ke main Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke saath ek chaadar mein leti hue thi ke mujhe haiz aa gaya, main chupke se chali gayi aur haiz ke kapde badal liye, Aap ne poocha kya tujh ko haiz aa gaya hai. Main ne kaha, ji haan! Phir mujhe Aap ne bula liya aur main Aap ke saath chaadar mein lait gayi.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 298
حدثنا المكي بن إبراهيم، قال: حدثنا هشام، عن يحيى بن ابي كثير، عن ابي سلمة، ان زينب بنت ام سلمة حدثته، ان ام سلمة حدثتها، قالت:" بينا انا مع النبي صلى الله عليه وسلم مضطجعة في خميصة، إذ حضت فانسللت فاخذت ثياب حيضتي، قال: انفست؟ قلت: نعم، فدعاني فاضطجعت معه في الخميلة".
Hum se Makki bin Ibrahim ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Hishaam ne Yahya bin Katheer ke waaste se bayan kiya, unhon ne Abu Salamah se ke Zainab bint-e-Umm-e-Salamah ne un se bayan kiya aur un se Umm-e-Salamah Radhiallahu Anha ne ke main Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke saath ek chaadar mein leti hue thi, itne mein mujhe haiz aa gaya. Is liye main aahista se bahar nikal aayi aur apne haiz ke kapde pahan liye. Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne poocha kya tumhein nifaas aa gaya hai? Main ne arz kiya haan. Phir mujhe Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne bula liya, aur main chaadar mein Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke saath lait gayi.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 302
حدثنا إسماعيل بن خليل، قال: اخبرنا علي بن مسهر، قال: اخبرنا ابو إسحاق هو الشيباني، عن عبد الرحمن بن الاسود، عن ابيه، عن عائشة، قالت:" كانت إحدانا إذا كانت حائضا فاراد رسول الله صلى الله عليه وسلم ان يباشرها امرها ان تتزر في فور حيضتها، ثم يباشرها، قالت: وايكم يملك إربه كما كان النبي صلى الله عليه وسلم يملك إربه"، تابعه خالد، وجرير، عن الشيباني.
Hum se Ismail bin Khaleel ne bayan kiya, kaha hum se Ali bin Mus’hir ne, hum se Abu Ishaaq Sulaiman bin Firoz Shaibani ne Abdur Rehman bin Aswad ke waaste se, woh apne waalid Aswad bin Yazeed se, woh Aisha Radhiallahu Anha se ke aap ne farmaaya hum azwaaj mein se koi jab haaiza hoti, us haalat mein Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam agar mubaasharat ka iradah karte to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam izaar baandhne ka hukm de dete bawjood haiz ki ziyaadti ke. Phir badan se badan milaate, aap ne kaha tum mein aisa kaun hai jo Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki tarah apni shehwat par qaabu rakhta ho. Is Hadees ki Mutaba’at Khalid aur Jareer ne Shaibani ki riwayat se ki hai. (Yahan bhi mubaasharat se saath letna baithna muraad hai).


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 303
حدثنا ابو النعمان، قال: حدثنا عبد الواحد، قال: حدثنا الشيباني، قال: حدثنا عبد الله بن شداد، قال: سمعت ميمونة،" كان رسول الله صلى الله عليه وسلم إذا اراد ان يباشر امراة من نسائه امرها فاتزرت وهي حائض"، ورواه سفيان، عن الشيباني.
Hum se Abu No’maan Muhammed bin Fazl ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abdul Wahid bin Ziyaad ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abu Ishaaq Shaibani ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abdullah bin Shaddad ne bayan kiya, unhon ne kaha main ne Maimunah se suna, unhon ne kaha ke jab Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam apni biwiyon mein se kisi se mubaasharat karna chaahte aur woh haaiza hoti, to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke hukm se, woh pehle izaar baandh leti. Aur Sufyan ne Shaibani se is ko riwayat kiya hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 322
حدثنا سعد بن حفص، قال: حدثنا شيبان، عن يحيى، عن ابي سلمة، عن زينب بنت ابي سلمة حدثته، ان ام سلمة، قالت:" حضت وانا مع النبي صلى الله عليه وسلم في الخميلة، فانسللت فخرجت منها فاخذت ثياب حيضتي فلبستها، فقال لي رسول الله صلى الله عليه وسلم: انفست؟ قلت: نعم، فدعاني فادخلني معه في الخميلة، قالت: وحدثتني ان النبي صلى الله عليه وسلم كان يقبلها وهو صائم، وكنت اغتسل انا والنبي صلى الله عليه وسلم من إناء واحد من الجنابة".
Hum se Sa’d bin Hafs ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Shaibaan Nahwi ne bayan kiya, unhon ne Yahya bin Abi Katheer se, unhon ne Abu Salamah se, unhon ne Zainab bint-e-Abi Salamah se, unhon ne bayan kiya ke Umm-e-Salamah Radhiallahu Anha ne farmaaya ke main Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke saath chaadar mein leti hue thi ke mujhe haiz aa gaya, is liye main chupke se nikal aayi aur apne haiz ke kapde pahen liye. Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya, kya tumhein haiz aa gaya hai? main ne kaha ji haan. Phir mujhe Aap ne bula liya aur apne saath chaadar mein daakhil kar liya. Zainab ne kaha ke mujh se Umm-e-Salamah Radhiallahu Anha ne bayan kiya ke Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam roze se hote aur usi haalat mein un ka bosa lete. Aur main ne aur Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne ek hi bartan mein janabat ka ghusl kiya.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 398
حدثنا إسحاق بن نصر، قال: حدثنا عبد الرزاق، اخبرنا ابن جريج، عن عطاء، قال: سمعت ابن عباس، قال:" لما دخل النبي صلى الله عليه وسلم البيت دعا في نواحيه كلها، ولم يصل حتى خرج منه، فلما خرج ركع ركعتين في قبل الكعبة، وقال: هذه القبلة".
Hum se Ishaq bin Nasr ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abdur Razzaq bin Hammam ne bayan kiya, unhon ne kaha humein Ibn Juraij ne khabar pahunchayi Ata Ibn Abi Rabah se, unhon ne kaha main ne Ibn Abbas Razi Allah Anhuma se suna ke jab Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Kaaba ke andar tashreef le gaye to is ke charon konon mein Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne dua ki aur namaz nahi padhi. Phir jab bahar tashreef laye to do rakat namaz Kaaba ke samne padhi aur farmaya ke yehi qibla hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2031
وكان يخرج راسه من المسجد وهو معتكف فاغسله وانا حائض.
Aur Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) m'utakif hote aur mein haiza hoti. Is ke bawajood Aap sar-e-mubarak (masjid se) bahar kar dete aur mein usay dhoti thi
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة