الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب بدء الخلق
Kitab: Is bayan mein ke makhlooq ki paidaish kyonkar shuru hui
باب ما جاء فى قول الله تعالى: {وهو الذى يبدأ الخلق ثم يعيده} :
Bab: Aur Allah Paak ne farmaya“Allah hi hai jis ne makhlooq ko pehli dafa paida kiya, aur wahi phir dobara (maut ke baad) zinda kare ga aur ye (dobara zinda karna) to us par aur bhi aasaan hai”.
Show diacritics
Hadith Number: 3192
وروى عيسى، عن رقبة عن قيس بن مسلم عن طارق بن شهاب، قال: سمعت عمر رضي الله عنه، يقول: قام فينا النبي صلى الله عليه وسلم مقاما فاخبرنا عن بدء الخلق حتى دخل اهل الجنة منازلهم، واهل النار منازلهم، حفظ ذلك من حفظه، ونسيه من نسيه".
Aur Isa ne Raqaba se riwayat kiya, unhon ne Qais Bin Muslim se, unhon ne Tariq Bin Shihab se, unhon ne bayan kiya ke mein ne Umar Bin Khattab (Radi Allahu Anhu) se suna, Aap ne kaha ke ek martaba Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne mimbar par khade ho kar humein waaz farmaya aur ibtida-e-khalq ke bare mein humein khabar di. Yahan tak ke jab Jannat wale apni manzilon mein dakhil ho jayenge aur Jahannum wale apne thikanon ko pahunch jayenge (wahan tak sari tafseel ko Aap ne bayan farmaya) jise is hadees ko yaad rakhna tha us ne yaad rakha aur jise bhoolna tha wo bhool gaya
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7418
حدثنا عبدان، قال: اخبرنا ابو حمزة، عن الاعمش، عن جامع بن شداد، عن صفوان بن محرز، عن عمران بن حصين، قال:" إني عند النبي صلى الله عليه وسلم إذ جاءه قوم من بني تميم، فقال: اقبلوا البشرى يا بني تميم، قالوا: بشرتنا، فاعطنا، فدخل ناس من اهل اليمن، فقال: اقبلوا البشرى يا اهل اليمن إذ لم يقبلها بنو تميم، قالوا: قبلنا جئناك لنتفقه في الدين ولنسالك عن اول هذا الامر ما كان، قال كان الله ولم يكن شيء قبله وكان عرشه على الماء، ثم خلق السموات والارض، وكتب في الذكر كل شيء ثم اتاني رجل، فقال: يا عمران، ادرك ناقتك فقد ذهبت، فانطلقت اطلبها، فإذا السراب ينقطع دونها، وايم الله لوددت انها قد ذهبت ولم اقم".
Hum se Abdan ne bayan kiya, in se Abu Hamza ne, in se Aamash ne, in se Jame bin Shaddad ne, in se Safwan bin Muhriz ne aur in se Imran bin Husain razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke main Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke paas tha ke Aap ke paas Banu Tameem ke kuch log aaye Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya: Ae Banu Tameem! bisharat qabool karo. Unhon ne is par kaha ke Aap ne hamain bisharat de di, ab hamain bakhshish bhi dijiye. Phir Aap ke paas Yaman ke kuch log pahunche to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Ae Ahl e Yaman! Banu Tameem ne bisharat nahi qabool ki tum usay qabool karo. Unhon ne kaha ke hum ne qabool kar li. Hum Aap ke paas is liye hazir huay hain taake deen ki samajh haasil karein aur taake Aap se is duniya ki ibteda ke mutalliq poochhein ke kis tarah thi? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah tha aur koi cheez nahi thi aur Allah ka arsh pani par tha. Phir us ne aasman o zameen paida kiye aur Lauh e Mahfooz mein har cheez likh di (Imran bayan karte hain ke) mujhe ek shakhs ne aa kar khabar di ke Imran apni oontni ki khabar lo woh bhaag gayi hai. Chunanche main is ki talash mein nikla. Main ne dekha ke mere aur is ke darmiyan reit ka chateel maidan haail hai aur Allah ki qasam meri tamanna thi ke woh chali hi gayi hoti aur main Aap salla Allahu alaihi wasallam ki majlis mein se na utha hota.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة