الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب فرض الخمس
Kitab: Khumus ke farz hone ka bayan
باب ومن الدليل على أن الخمس للإمام وأنه يعطي بعض قرابته دون بعض ما قسم النبى صلى الله عليه وسلم لبني المطلب وبني هاشم من خمس خيبر:
Bab: Is ki daleel ke khums mein imam ko ikhtiyar hai woh ise apne baaz (mustahiqq) rishtedaron ko bhi de sakta hai aur jis ko chahe na de, daleel ye hai ke Nabi Karim ﷺ ne Khaybar ke khums mein se Bani Hashim aur Bani Abdul Muttalib ko diya.
Hadith Number: 3140
حدثنا عبد الله بن يوسف، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، عن ابن المسيب، عن جبير بن مطعم، قال: مشيت انا وعثمان بن عفان إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقلنا: يا رسول الله، اعطيت بني المطلب وتركتنا ونحن وهم منك بمنزلة واحدة، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إنما بنو المطلب وبنو هاشم شيء واحد، قال الليث: حدثني يونس وزاد، قال جبير: ولم يقسم النبي صلى الله عليه وسلم لبني عبد شمس ولا لبني نوفل، وقال ابن إسحاق: عبد شمس وهاشم والمطلب إخوة لام وامهم عاتكة بنت مرة وكان نوفل اخاهم لابيهم".
Hum se Abdullah Bin Yusuf ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Laith ne bayan kiya, un se Aqeel ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne bayan kiya, un se Ibn Musayyab ne bayan kiya aur un se Jubair Bin Mut'im (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke mein aur Usman Bin Affan (Radi Allahu Anhu) Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein hazir hue aur arz kiya, Ya Rasul Allah! Aap ne Banu Muttalib ko to inayait farmaya lekin hum ko chhod diya, halanke hum ko Aap se wahi rishta hai jo Banu Muttalib ko Aap se hai. Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke Banu Muttalib aur Banu Hashim ek hi hai. Laith ne bayan kiya ke mujh se Yunus ne bayan kiya aur (is riwayat mein) ye ziyadati ki ke Jubair (Radi Allahu Anhu) ne kaha Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Banu Abd-e-Shams aur Banu Naufal ko nahi diya tha, aur Ibn Ishaq (Sahib-e-Maghazi) ne kaha hai ke Abd-e-Shams, Hashim aur Muttalib ek maan se thay aur un ki maan ka naam Aatika Bin Murra tha aur Naufal baap ki taraf se un ke bhai thay (un ki maan doosri theen)
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3502
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، عن ابن المسيب، عن جبير بن مطعم، قال: مشيت انا وعثمان بن عفان، فقال: يا رسول الله، اعطيت بني المطلب وتركتنا وإنما نحن وهم منك بمنزلة واحدة، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" إنما بنو هاشم وبنو المطلب شيء واحد"
Hum se Yahya Bin Bukair ne bayan kiya, kaha hum se Laith Bin Saad ne bayan kiya, un se Aqeel ne, un se Ibn Shihab ne, un se Ibn Musayyib ne aur un se Jubair Bin Mut-im ne bayan kiya ke mein aur Usman Bin Affan (Radi Allahu Anhuma) dono mil kar Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke pas gaye aur hum ne arz kiya: Ya Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam)! Banu Muttalib ko to aap ne ata farmaya aur humein (Bani Umayyah ko) nazar andaz kar diya halanke aap ke liye hum aur wo ek hi darje ke hain. Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya " (Ye sahih hai) magar Banu Hashim aur Banu Muttalib ek hi hain
."
."
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3503
وقال: الليث، حدثني ابو الاسود محمد، عن عروة بن الزبير، قال: ذهب عبد الله بن الزبير مع اناس من بني زهرة إلى عائشة وكانت ارق شيء عليهم لقرابتهم من رسول الله صلى الله عليه وسلم.
Aur Laith ne bayan kiya ke mujh se Abu Al-Aswad Muhammad ne bayan kiya aur un se Urwah Bin Zubair ne bayan kiya ke Abdullah Bin Zubair (Radi Allahu Anhuma) Bani Zuhrah ke chand logon ke sath Aisha (Radi Allahu Anha) ke pas gaye. Aisha (Radi Allahu Anha) Bani Zuhrah ke sath bahut acchi tarah pesh aati thien kyunke in logon ki Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se qarabut thi
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4229
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن يونس، عن ابن شهاب، عن سعيد بن المسيب، ان جبير بن مطعم، اخبره، قال: مشيت انا وعثمان بن عفان إلى النبي صلى الله عليه وسلم , فقلنا: اعطيت بني المطلب من خمس خيبر، وتركتنا ونحن بمنزلة واحدة منك، فقال:" إنما بنو هاشم وبنو المطلب شيء واحد"، قال جبير: ولم يقسم النبي صلى الله عليه وسلم لبني عبد شمس، وبني نوفل شيئا".
Hum se Yahya Bin Bukair ne bayan kiya ‘ unhon ne kaha hum se Laith Bin Saad ne bayan kiya ‘ in se Yunus ne ‘ in se Ibn Shihab ne ‘ in se Saeed Bin Musayyab ne aur unhein Jubair Bin Mut'im Radi Allahu Anhu ne khabar di ke mein aur Usman Bin Affan Radi Allahu Anhu Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein hazir hue. Hum ne arz kiya ke Aap ne Banu Muttalib ko to Khaibar ke khums mein se inayait farmaya hai aur humein nazar andaz kar diya hai halanke Aap se qarabat mein hum aur wo baraber thay. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya yaqeenan Banu Hashim aur Banu Muttalib ek hain. Jubair Bin Mut'im Radi Allahu ne bayan kiya ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Banu Abd Shams aur Banu Naufal ko (khums mein se) kuch nahi diya tha
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة