الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب فرض الخمس
Kitab: Khumus ke farz hone ka bayan
باب قول الله تعالى: {فأن لله خمسه} :
Bab: Allah Taala ka irshad (Surah Al-Anfal mein) ke jo kuch tum ghanimat mein hasil karo, beshak us ka paanchwan hissa Allah ke liye hai yani Rasoolullah ﷺ is ki taqseem karenge.
Show diacritics
Hadith Number: 3116
حدثنا حبان بن موسى، اخبرنا عبد الله، عن يونس، عن الزهري، عن حميد بن عبد الرحمن، انه سمع معاوية، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" من يرد الله به خيرا يفقهه في الدين والله المعطي وانا القاسم، ولا تزال هذه الامة ظاهرين على من خالفهم حتى ياتي امر الله وهم ظاهرون".
Hum se Habban Bin Musa ne bayan kiya, kaha hum se Abdullah Bin Mubarak ne, unhein Yunus ne, unhein Zuhri ne, unhein Humaid Bin Abdur Rahman ne, unhon ne Muawiyah (Radi Allahu Anhu) se suna, Aap ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Jis ke sath Allah Ta'ala bhalayi chahta hai ise deen ki samajh de deta hai. Aur dene wala to Allah hi hai mein to sirf taqseem karne wala hoon aur apne dushmanon ke muqable mein ye Ummat (Muslima) hamesha ghalib rahegi. Ta-aanke Allah ka hukm (Qiyamat) aa jaye aur is waqt bhi wo ghalib hi honge."
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 71
حدثنا سعيد بن عفير، قال: حدثنا ابن وهب، عن يونس، عن ابن شهاب، قال: قال حميد بن عبد الرحمن، سمعت معاوية خطيبا، يقول: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" من يرد الله به خيرا يفقهه في الدين، وإنما انا قاسم والله يعطي، ولن تزال هذه الامة قائمة على امر الله لا يضرهم من خالفهم حتى ياتي امر الله".
Hum se Sa’eed bin ’Ufair ne bayan kiya, un se Wahab ne Younus ke waaste se naql kiya, woh Ibn-e-Shihaab se naql karte hain, un se Humaid bin Abdur Rahman ne kaha ke main ne Mu’aawiyah se suna. Woh khutbah mein farmaa rahe the ke main ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ko yeh farmaate huwe suna ke jis shakhs ke saath Allah Ta’ala bhalaayi ka iradah kare use deen ki samajh inaayat farmaa deta hai aur main to mahez taqseem karne waala hun, dene waala to Allah hi hai aur yeh ummat hamesha Allah ke hukm par qaayim rahegi aur jo shakhs un ki mukhalafat karega, unhein nuqsaan nahi pahuncha sakega, yahan tak ke Allah ka hukm (qiyamat) aa jaaye (aur yeh aalam fana ho jaaye).


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7312
حدثنا إسماعيل، حدثنا ابن وهب، عن يونس، عن ابن شهاب، اخبرني حميد، قال: سمعت معاوية بن ابي سفيان يخطب قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" من يرد الله به خيرا يفقهه في الدين، وإنما انا قاسم ويعطي الله ولن يزال امر هذه الامة مستقيما حتى تقوم الساعة، او حتى ياتي امر الله".
Hum se Ismail bin Abi Oways ne bayan kiya, kaha hum se Abdullah bin Wahb ne bayan kiya, in se Yunus ne, in se Ibn Shihab ne unhein Humayd ne khabar di, kaha ke main ne Muawiyah bin Abi Sufyan raziAllahu anhuma se suna, woh khutba de rahe thay, unhon ne kaha ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna hai, Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah jis ke saath khair ka irada karta hai usay deen ki samajh ata farma deta hai aur main to sirf taqseem karne wala hoon aur deta Allah hai aur is ummat ka muamla hamesha durust rahe ga, yahan tak ke Qayamat qaim ho jaye ya (Aap salla Allahu alaihi wasallam ne yun farmaya ke) yahan tak ke Allah ka hukm aa pahunche.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة