الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الإيمان
Kitab: Iman ke bayan mein
باب: {وإن طائفتان من المؤمنين اقتتلوا فأصلحوا بينهما} فسماهم المؤمنين:
Bab:“Aur agar imaan walon ke do giroh aapas mein lar paren to un dono ke darmiyan sulh kara do”un ka naam momin rakha hai.
Show diacritics
Hadith Number: 31
حدثنا سليمان بن حرب، قال: حدثنا شعبة، عن واصل الاحدب، عن المعرور، قال: لقيت ابا ذر بالربذة وعليه حلة وعلى غلامه حلة، فسالته عن ذلك، فقال: إني ساببت رجلا فعيرته بامه، فقال لي النبي صلى الله عليه وسلم: يا ابا ذر،" اعيرته بامه، إنك امرؤ فيك جاهلية إخوانكم خولكم جعلهم الله تحت ايديكم، فمن كان اخوه تحت يده فليطعمه مما ياكل وليلبسه مما يلبس، ولا تكلفوهم ما يغلبهم، فإن كلفتموهم فاعينوهم".
Hum se Sulaiman bin Harb ne bayan kiya, kaha hum se Sho’bah ne bayan kiya, unhon ne ise Waasil Ahdab se, unhon ne Ma’roor se, kaha main Abu Zar se Rabazah mein mila woh ek joda pahne huwe the aur un ka ghulam bhi joda pahne huwe tha. Main ne us ka sabab daryaaft kiya to kehne lage ke main ne ek shakhs yani ghulam ko bura-bhala kaha tha aur us ki maa ki ghairat dilaayi (yani gaali di) to Rasoolulllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne yeh ma’loom kar ke mujh se farmaaya aye Abu Zar! Tu ne use maa ke naam se ghairat dilaayi, beshak tujh mein abhi kuch zamaana-e-jaahiliyyat ka asar baaqi hai. (Yaad rakho) matahat log tumhaare bhai hain. Allah ne (apni kisi maslihat ki bina par) unhein tumhaare qabze mein de rakha hai to jis ke matahat us ka koi bhai ho to us ko bhi wahi khilaye jo aap khaata hai aur wahi kapda use pahnaaye jo aap pahanta hai aur un ko itne kaam ki takleef na do ke un ke liye mushkil ho jaaye aur agar koi sakht kaam daalo to tum khud bhi un ki madad karo.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2545
حدثنا آدم بن ابي إياس، حدثنا شعبة، حدثنا واصل الاحدب، قال: سمعت المعرور بن سويد، قال: رايت ابا ذر الغفاري رضي الله عنه وعليه حلة وعلى غلامه حلة، فسالناه عن ذلك، فقال: إني ساببت رجلا فشكاني إلى النبي صلى الله عليه وسلم، فقال لي النبي صلى الله عليه وسلم: اعيرته بامه، ثم قال:" إن إخوانكم خولكم، جعلهم الله تحت ايديكم، فمن كان اخوه تحت يده فليطعمه مما ياكل وليلبسه مما يلبس، ولا تكلفوهم ما يغلبهم، فإن كلفتموهم ما يغلبهم فاعينوهم".
Hum se Adam Bin Abi Iyas ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, hum se Wasil Bin Hayyan ne jo kubre thay, bayan kiya, kaha ke mein ne Ma'roor Bin Suwaid se suna, unhon ne kaha ke mein ne Abu Zar Ghifari (Radi Allahu Anhu) ko dekha ke un ke badan par bhi ek jora tha aur un ke ghalam ke badan par bhi isi qisam ka ek jora tha. Hum ne is ka sabab poocha to unhon ne batlaya ke ek dafa meri ek sahab (yani Bilal Radi Allahu Anhu se) se kuch gali galoch ho gayi thi. Unhon ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se meri shikayat ki, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne mujh se poocha ke kya tum ne unhein un ki maan ki taraf se aar dilayi hai? Phir Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, tumhare ghalam bhi tumhare bhai hain agarche Allah Ta'ala ne unhein tumhari matahti mein de rakkha hai. Is liye jis ka bhi koi bhai is ke qabze mein ho ise wahi khilaye jo wo khud khata hai aur wahi pehnaye jo wo khud pehnta hai aur un par un ki taqat se zyada bojh na dale. Lekin agar un ki taqat se zyada bojh dalo to phir un ki khud madad bhi kar diya karo
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6050
حدثني عمر بن حفص، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، عن المعرور هو ابن سويد، عن ابي ذر، قال: رايت عليه بردا وعلى غلامه بردا، فقلت: لو اخذت هذا فلبسته كانت حلة واعطيته ثوبا آخر، فقال: كان بيني وبين رجل كلام وكانت امه اعجمية، فنلت منها فذكرني إلى النبي صلى الله عليه وسلم فقال لي:" اساببت فلانا؟" قلت: نعم، قال:" افنلت من امه؟" قلت: نعم، قال:" إنك امرؤ فيك جاهلية" قلت على حين ساعتي: هذه من كبر السن، قال:" نعم، هم إخوانكم جعلهم الله تحت ايديكم، فمن جعل الله اخاه تحت يده فليطعمه مما ياكل وليلبسه مما يلبس، ولا يكلفه من العمل ما يغلبه، فإن كلفه ما يغلبه فليعنه عليه".
Mujh se Umar bin Hafs bin Ghiyas ne bayan kiya , kaha mujh se mere walid ne bayan kiya , kaha hum se Aamash ne bayan kiya , in se Maroor ne aur in se Abu Zarr razi Allahu anhu ne , Maroor ne bayan kiya ke main ne Abu Zarr razi Allahu anhu ke jism par ek chadar dekhi aur in ke ghulam ke jism par bhi ek waisi hi chadar thi , main ne arz kiya: agar apne ghulam ki chadar le lein aur usay bhi pehan lein to ek rang ka jora ho jaye ghulam ko doosra kapra de dein . Abu Zarr razi Allahu anhu ne is par kaha ke mujh mein aur ek sahab (Bilal razi Allahu anhu) mein takrar ho gayi thi to in ki maan Ajmi thien , main ne is baare mein in ko tana de diya unhon ne ja kar yeh baat Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se keh di . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne mujh se daryaft farmaya kya tum ne is se jhagra kiya hai ? Main ne arz kiya ji haan . Daryaft kiya tum ne usay is ki maan ki wajah se tana diya hai ? Main ne arz kiya ji haan . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tumhare andar abhi jahiliyat ki boo baqi hai . Main ne arz kiya: ya Rasool Allah! Is burhape mein bhi ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke haan yaad rakho yeh (ghulam bhi) tumhare bhai hain , Allah Ta'ala ne unhein tumhari matahti mein diya hai , pas Allah Ta'ala jis ki matahti mein bhi is ke bhai ko rakkhe usay chahiye ke jo woh khaye usay bhi khilaye aur jo woh pehne usay bhi pehnaye aur usay aisa kaam karne ke liye na kahe , jo is ke bas mein na ho agar usay koi aisa kaam karne ke liye kehna hi pare to is kaam mein is ki madad kare .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6875
حدثنا عبد الرحمن بن المبارك، حدثنا حماد بن زيد، حدثنا ايوب، ويونس، عن الحسن، عن الاحنف بن قيس، قال: ذهبت لانصر هذا الرجل، فلقيني ابو بكرة، فقال: اين تريد؟ قلت: انصر هذا الرجل، قال: ارجع، فإني سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" إذا التقى المسلمان بسيفيهما، فالقاتل والمقتول في النار، قلت: يا رسول الله، هذا القاتل فما بال المقتول، قال: إنه كان حريصا على قتل صاحبه".
Hum se Abd-ul-Rahman bin al-Mubarak ne bayan kiya, kaha hum se Hammad bin Zayd ne, kaha hamase Ayub aur Yunus ne, in se Imam Hasan Basri ne, in se Ahnaf bin Qays ne ke main in sahab (Ali bin Abi Talib razi Allahu anhu) ki Jang e Jamal mein madad ke liye tayyar tha ke Abu Bakrah razi Allahu anhu se meri mulaqat hui. Unhon ne poochha, kahan ka irada hai? Main ne kaha ke in sahab ki madad ke liye jaana chahta hoon. Unhon ne farmaya ke wapas chale jao main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna hai Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam farmate thay ke jab do Musalman talwar khainch kar ek doosre se bharr jayein to qatil aur maqtul donon dozakh mein jaate hain. Main ne arz kiya: ya Rasool Allah! Ek to qatil thu lekin maqtul ko saza kyun mile gi? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke woh bhi apne qatil ke qatl par aamada thu.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7083
حدثنا عبد الله بن عبد الوهاب، حدثنا حماد، عن رجل لم يسمه، عن الحسن، قال: خرجت بسلاحي ليالي الفتنة فاستقبلني ابو بكرة،فقال:" اين تريد، قلت: اريد نصرة ابن عم رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: إذا تواجه المسلمان بسيفيهما فكلاهما من اهل النار، قيل: فهذا القاتل فما بال المقتول؟، قال: إنه اراد قتل صاحبه"، قال حماد بن زيد: فذكرت هذا الحديث لايوب،ويونس بن عبيد، وانا اريد ان يحدثاني به، فقالا: إنما روي هذا الحديث الحسن، عن الاحنف بن قيس، عن ابي بكرة، حدثنا سليمان، حدثنا حماد بهذا، وقال مؤمل، حدثنا حماد بن زيد، حدثنا ايوب، ويونس، وهشام، ومعلى بن زياد، عن الحسن، عن الاحنف، عن ابي بكرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، ورواه معمر، عن ايوب، ورواه بكار بن عبد العزيز، عن ابيه، عن ابي بكرة، وقال غندر: حدثنا شعبة، عن منصور، عن ربعي بن حراش، عن ابي بكرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، ولم يرفعه سفيان، عن منصور.
`Hum se Abdullah bin Abdul Wahhab ne bayan kiya, kaha hum se Hammad bin Zaid ne bayan kiya, un se ek shakhs ne jis ka naam nahi bataya, un se Imam Hasan Basri ne bayan kiya ke mein ek martaba baahmi fasadaat ke dinon mein apne hathiyar laga kar nikla to Abu Bakra Radi Allahu Anhu se raste mein mulaqat ho gayi. Unhon ne poocha kahan jaane ka irada hai? Mein ne kaha ke mein Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ke chacha ke larke ki (jang-e-jamal o siffeen mein) madad karni chahta hoon, unhon ne kaha laut jao. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya hai ke jab do musalman apni talwaron ko le kar aamne saamne muqabla par aa jayein to donon dozakhi hain. Poocha gaya yeh to qatil tha, maqtool ne kya kiya (ke wo bhi naari ho gaya)? Farmaya ke wo bhi apne muqabil ko qatl karne ka irada kiye hue tha. Hammad bin Zaid ne kaha ke phir mein ne yeh hadees Ayub aur Yunus bin Ubaid se zikr ki, mera maqsad tha ke yeh donon bhi mujh se yeh hadees bayan karein, in donon ne kaha ke is hadees ki riwayat Hasan Basri ne Ahnaf bin Qais se aur unhon ne Abu Bakr Radi Allahu Anhu se ki. Hum se Sulaiman bin Harb ne bayan kiya kaha hum se Hammad bin Zaid ne yahi hadees bayan ki aur Mu'ammal bin Hisham ne kaha ke hum se Hammad bin Zaid ne bayan kiya, kaha hum se Ayub, Yunus, Hisham aur Mu'alla bin Ziyad ne Imam Hasan Basri se bayan kiya, un se Ahnaf bin Qais aur in se Abu Bakra Radi Allahu Anhu ne aur un se Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne aur is ki riwayat Ma'mar ne bhi Ayub se ki hai aur is ki riwayat Bakkar bin Abdul Aziz ne apne baap se ki aur un se Abu Bakra Radi Allahu Anhu ne aur Ghandar ne bayan kiya, kaha hum se Shu'ba ne bayan kiya, un se Mansoor ne, un se Rib'ee bin Harash ne, un se Abu Bakra Radi Allahu Anhu ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se. Aur Sufyan Sauri ne bhi is hadees ko Mansoor bin Mu'tamir se riwayat kiya, phir yeh riwayat marfoo'a nahi hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة