الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الجهاد والسير
Kitab: Jihad ka bayan
باب الدعاء على المشركين بالهزيمة والزلزلة:
Bab: Mushrikeen ke liye shikast aur zilzale ki bad-dua karna.
Show diacritics
Hadith Number: 2931
حدثنا إبراهيم بن موسى، اخبرنا عيسى، حدثنا هشام، عن محمد، عن عبيدة، عن علي رضي الله عنه، قال: لما كان يوم الاحزاب، قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" ملا الله بيوتهم وقبورهم نارا شغلونا عن الصلاة الوسطى حتى غابت الشمس".
Hum se Ibrahim Bin Musa ne bayan kiya, kaha hum ko Isa ne khabar di, kaha hum se Hisham ne bayan kiya, un se Muhammad ne, un se Ubaida ne aur un se Ali (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Ghazwah-e-Ahzab (khandaq) ke mauqe par Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne (mushrikeen ko) ye bad-dua di ke ae Allah! In ke gharon aur qabron ko aag se bhar de. Unhon ne hum ko Salat-ul-Wusta (Asr ki namaz) nahi parhne di (ye aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne is waqt farmaya) jab sooraj ghuroob ho chuka tha aur Asr ki namaz qaza ho gayi thi
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4111
حدثنا إسحاق , حدثنا روح , حدثنا هشام , عن محمد , عن عبيدة , عن علي رضي الله عنه , عن النبي صلى الله عليه وسلم , انه قال يوم الخندق:" ملا الله عليهم بيوتهم وقبورهم نارا كما شغلونا عن صلاة الوسطى حتى غابت الشمس".
Hum se Ishaq Bin Mansoor ne bayan kiya ‘ kaha hum se Rauh Bin Ubadah ne bayan kiya ‘ un se Hisham Bin Hassan ne bayan kiya ‘ un se Muhammad Bin Sirin ne ‘ un se Ubaida Salmani ne aur un se Ali Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Ghazwa Khandaq ke mauqe par farmaya ke jis tarah in kuffar ne humein Salawatul Wusta (namaz-e-asar) nahi parhne di aur sooraj ghuroob ho gaya ‘ Allah Ta'ala bhi in ki qabron aur gharon ko aag se bhar de
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4533
حدثنا عبد الله بن محمد , حدثنا يزيد , اخبرنا هشام , عن محمد , عن عبيدة , عن علي رضي الله عنه , قال: النبي صلى الله عليه وسلم. ح وحدثني عبد الرحمن , حدثنا يحيى بن سعيد , قال: حدثنا هشام , قال: حدثنا محمد , عن عبيدة , عن علي رضي الله عنه , ان النبي صلى الله عليه وسلم قال:" يوم الخندق حبسونا عن صلاة الوسطى حتى غابت الشمس ملا الله قبورهم وبيوتهم او اجوافهم شك يحيى نارا".
Hum se Abdullah bin Muhammad Musandi ne byaan kiya , kaha hum se Yazid bin Haroon ne byaan kiya , un se Hisham bin Hassan ne byaan kiya , un se Muhammad bin Sireen ne , un se Ubaydah ne aur un se Ali razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya . (doosri sanad) Imam Bukhari ne kaha ke mujh se Abdur Rahman bin Bashir bin Hakam ne byaan kiya , kaha hum se Yahya bin Saeed Qattan ne byaan kiya , un se Hisham bin Hassan ne , kaha ke mujh se Muhammad bin Sireen ne byaan kiya , un se Ubaydah bin Amr ne aur un se Ali razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Ghazwa Khandaq ke mauqa par farmaya tha , in kuffar ne hamain darmiyani namaz nahi parhne di , yahan tak ke sooraj ghuroob ho gaya , Allah un ki qabron aur gharon ko ya un ke peeton ko aag se bhar de . Qabron aur gharon ya peeton ke lafzon mein shak Yahya bin Saeed rawi ki taraf se hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6396
حدثنا محمد بن المثنى، حدثنا الانصاري، حدثنا هشام بن حسان، حدثنا محمد بن سيرين، حدثنا عبيدة، حدثنا علي بن ابي طالب رضي الله عنه، قال: كنا مع النبي صلى الله عليه وسلم يوم الخندق، فقال:" ملا الله قبورهم وبيوتهم نارا كما شغلونا عن صلاة الوسطى، حتى غابت الشمس"، وهي صلاة العصر.
Hum se Muhammad bin Musanna ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ansari ne bayan kiya, in se Hisham bin Hassan ne bayan kiya, kaha hamase Muhammad bin Sireen ne bayan kiya, in se Ubaidah ne bayan kiya, kaha hamase Ali bin Abi Talib razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Ghazwa e Khandaq ke mauqa par hum Rasool Allahsalla Allahu alaihi wasallam ke saath thay. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Allah in ki qabron aur in ke gharon ko aag se bhar de. Unhon ne hamain «salaat-ul-wustaa» (Asr ki namaz) nahi parhne di jab tak ke sooraj ghuroob ho gaya aur yeh Asr ki namaz ku.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة