الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الجهاد والسير
Kitab: Jihad ka bayan
باب الشجاعة فى الحرب والجبن:
Bab: Jang ke mauqe par bahaduri aur buzdili ka bayan.
Hadith Number: 2821
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني عمر بن محمد بن جبير بن مطعم، ان محمد بن جبير، قال: اخبرني جبير بن مطعم، انه بينما هو يسير مع رسول الله صلى الله عليه وسلم ومعه الناس مقفله من حنين، فعلقه الناس يسالونه حتى اضطروه إلى سمرة فخطفت رداءه، فوقف النبي صلى الله عليه وسلم، فقال:" اعطوني ردائي لو كان لي عدد هذه العضاه نعما لقسمته بينكم، ثم لا تجدوني بخيلا، ولا كذوبا، ولا جبانا".
Hum se Abul Yaman ne bayan kiya, kaha hum ko Shuaib ne khabar di, un se Zuhri ne bayan kiya, unhein Umar Bin Jubair Bin Mut-im ne khabar di, unhein Muhammad Bin Jubair ne khabar di kaha ke mujhe Jubair Bin Mut-im (Radi Allahu Anhu) ne khabar di ke wo Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath chal rahe thay, Aap ke sath aur bahut se sahaba bhi thay. Wadi Hunain se wapas tashreef la rahe thay ke kuch (badu) log Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) se lipt gaye. Bil-akhir Aap ko majbooran ek babool ke darakht ke paas jana para. Wahan Aap ki chadar mubarak babool ke kante mein ulajh gayi to in logon ne use le liya (taake jab Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) unhein kuch inayat farmaiyein to chadar wapas karein) Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) wahan khare ho gaye aur farmaya meri chadar mujhe de do, agar mere paas darakht ke kanton jitne bhi oont bakriyan hotein to mein tum mein taqseem kar deta, mujhe tum bakheel nahi pao ge aur na jhoota aur na buzdil pao ge
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3148
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله الاويسي، حدثنا إبراهيم بن سعد، عن صالح، عن ابن شهاب، قال: اخبرني عمر بن محمد بن جبير بن مطعم، ان محمد بن جبير، قال: اخبرني جبير بن مطعم انه بينا هو مع رسول الله صلى الله عليه وسلم ومعه الناس مقبلا من حنين علقت رسول الله صلى الله عليه وسلم الاعراب يسالونه حتى اضطروه إلى سمرة فخطفت رداءه فوقف رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال:" اعطوني ردائي فلو كان عدد هذه العضاه نعما لقسمته بينكم، ثم لا تجدوني بخيلا، ولا كذوبا، ولا جبانا".
Hum se Abdul Aziz Bin Abdullah Uwaisi ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ibrahim Bin Saad ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Salih Bin Kaisan ne, un se Ibn Shihab ne bayan kiya ke mujhe Umar Bin Muhammad Bin Jubair Bin Mut'im ne khabar di ke mere baap Muhammad Bin Jubair ne kaha aur unhein Jubair Bin Mut'im (Radi Allahu Anhu) ne khabar di ke hum Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath thay. Aap ke sath aur bhi Sahaba thay. Hunain ke Jihad se wapsi ho rahi thi. Raste mein kuch badu Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) se lapat gaye (loot ka mal) Aap se mangte thay. Wo Aap se aisa lapte ke Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko ek babool ke darakht ki taraf dhakail le gaye. Aap ki chadar is mein atak kar reh gayi. Is waqt Aap thehar gaye. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "(Bhaiyo) meri chadar to de do. Agar mere paas in kante-dar darakhton ki tadaad mein ont hote to wo bhi tum mein taqseem kar deta. Tum mujhe bakheel, jhoota aur buzdil hargiz nahi paoge."
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة