الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْجِهَادِ وَالسِّيَرِ
The Book of Jihad (Fighting For Allah’S Cause)
بَابُ الشَّجَاعَةِ فِي الْحَرْبِ وَالْجُبْنِ:
Chapter. Bravery and cowardice in the battle.
Show diacritics
Hadith Number: 2820
حدثنا احمد بن عبد الملك بن واقد، حدثنا حماد بن زيد، عن ثابت، عن انس رضي الله عنه، قال: كان النبي صلى الله عليه وسلم احسن الناس، واشجع الناس، واجود الناس، ولقد فزع اهل المدينة، فكان النبي صلى الله عليه وسلم" سبقهم على فرس، وقال: وجدناه بحرا".
Hum se Ahmad Bin Abdul Malik Bin Waqid ne bayan kiya, kaha hum se Hammad Bin Zaid ne bayan kiya Sabit Banani se aur un se Anas Bin Malik (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) sab se ziyada haseen (khoobsurat) sab se ziyada bahadur aur sab se ziyada fayyaz thay, Madinah Tayyibah ke tamam log (ek raat) khauf-zada thay (awaz sunayi di thi aur sab log is ki taraf barh rahe thay) lekin Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) is waqt ek ghore par sawar sab se aage thay (jab wapas hue to) farmaya is ghore ko (dorne mein) hum ne samundar paya
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 2821
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني عمر بن محمد بن جبير بن مطعم، ان محمد بن جبير، قال: اخبرني جبير بن مطعم، انه بينما هو يسير مع رسول الله صلى الله عليه وسلم ومعه الناس مقفله من حنين، فعلقه الناس يسالونه حتى اضطروه إلى سمرة فخطفت رداءه، فوقف النبي صلى الله عليه وسلم، فقال:" اعطوني ردائي لو كان لي عدد هذه العضاه نعما لقسمته بينكم، ثم لا تجدوني بخيلا، ولا كذوبا، ولا جبانا".
Hum se Abul Yaman ne bayan kiya, kaha hum ko Shuaib ne khabar di, un se Zuhri ne bayan kiya, unhein Umar Bin Jubair Bin Mut-im ne khabar di, unhein Muhammad Bin Jubair ne khabar di kaha ke mujhe Jubair Bin Mut-im (Radi Allahu Anhu) ne khabar di ke wo Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath chal rahe thay, Aap ke sath aur bahut se sahaba bhi thay. Wadi Hunain se wapas tashreef la rahe thay ke kuch (badu) log Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) se lipt gaye. Bil-akhir Aap ko majbooran ek babool ke darakht ke paas jana para. Wahan Aap ki chadar mubarak babool ke kante mein ulajh gayi to in logon ne use le liya (taake jab Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) unhein kuch inayat farmaiyein to chadar wapas karein) Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) wahan khare ho gaye aur farmaya meri chadar mujhe de do, agar mere paas darakht ke kanton jitne bhi oont bakriyan hotein to mein tum mein taqseem kar deta, mujhe tum bakheel nahi pao ge aur na jhoota aur na buzdil pao ge
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain