الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الجهاد والسير
Kitab: Jihad ka bayan
باب الغدوة والروحة فى سبيل الله، وقاب قوس أحدكم من الجنة:
Bab: Allah ke raste mein subah o shaam chalne ki aur jannat mein ek kamaan barabar jagah ki fazilat.
Hadith Number: 2793
حدثنا إبراهيم بن المنذر، حدثنا محمد بن فليح، قال: حدثني ابي، عن هلال بن علي، عن عبد الرحمن بن ابي عمرة، عن ابي هريرةرضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لقاب قوس في الجنة خير مما تطلع عليه الشمس وتغرب، وقال: لغدوة او روحة في سبيل الله خير مما تطلع عليه الشمس وتغرب".
Hum se Ibrahim Bin Al-Munzir ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Muhammad Bin Fulaih ne bayan kiya, unhon ne kaha mujh se mere walid ne bayan kiya Hilal Bin Ali se, un se Abdur Rahman Bin Abi Namrah ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Jannat mein ek (kaman) hath jagah duniya ki in tamam cheezon se behtar hai jin par sooraj tulu aur ghuroob hota hai." Aur Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Allah ke raste mein ek subah ya ek shaam chalna in sab cheezon se behtar hai jin par sooraj tulu aur ghuroob hota hai."
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3250
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، عن ابي حازم، عن سهل بن سعد الساعدي، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:"موضع سوط في الجنة خير من الدنيا وما فيها".
Hum se Ali Bin Abdullah ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Sufyan ne bayan kiya, un se Abu Hazim ne aur un se Sahl Bin Saad Sa'idi (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Jannat mein ek kode ki jagah dunya se aur jo kuch dunya mein hai, sab se behtar hai."
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3253
ولقاب قوس احدكم في الجنة خير مما طلعت عليه الشمس او تغرب".
Aur kisi shakhs ke liye ek kaman ke barabar Jannat mein jagah is poori dunya se behtar hai jis par sooraj tulu aur ghuroob hota hai
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6415
حدثنا عبد الله بن مسلمة، حدثنا عبد العزيز بن ابي حازم، عن ابيه، عن سهل، قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" موضع سوط في الجنة خير من الدنيا وما فيها، ولغدوة في سبيل الله، او روحة خير من الدنيا وما فيها".
Hum se Abdullah bin Maslamah ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Abd-ul-Aziz bin Abu Salamah ne bayan kiya , in se un ke walid ne aur in se Sahl razi Allahu anhu ne bayan kiya ke main ne Aap ko yeh farmate huay suna ke jannat mein ek koray jitni jagah duniya aur is mein jo kuch hai sab se behtar hai aur Allah ke raste mein subah ko ya shaam ko thora sa chalna bhi «ad-dunyaa wa maa feehaa» se behtar hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة