الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الوصايا
Kitab: Wasiyaton ke masail ka bayan
باب وما للوصي أن يعمل فى مال اليتيم، وما يأكل منه بقدر عمالته:
Bab: Wasi ke liye yateem ke maal mein tijarat aur mehnat karna durust hai aur phir mehnat ke mutabiq is mein se kha lena durust hai.
Hadith Number: 2765
حدثنا عبيد بن إسماعيل، حدثنا ابو اسامة، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها ومن كان غنيا فليستعفف ومن كان فقيرا فلياكل بالمعروف سورة النساء آية 6، قالت: انزلت في والي اليتيم ان يصيب من ماله، إذا كان محتاجا بقدر ماله بالمعروف".
Hum se Ubaid Bin Ismail ne bayan kiya ' kaha hum se Abu Usamah ne bayan kiya Hisham se ' un se un ke walid ne aur un se Aisha (Radi Allahu Anha) ne (Quran Majeed ki is ayat) «Wa Man Kana Ghaniyyan Falyasta'fif Wa Man Kana Faqiran Fal-ya'kul Bil-Ma'rufi» "Aur jo shakhs maldar ho wo apne ko yateem ke maal se bilkul roke rakkhe ' albatta jo shakhs nadar ho to wo dastoor ke mutabiq kha sakta hai" ke baare mein farmaya ke yateemon ke waliyon ke baare mein nazil hui ke yateem ke maal mein se agar wali nadar ho to dastoor ke mutabiq us ke maal mein se le sakta hai
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2212
حدثني إسحاق، حدثنا ابن نمير، اخبرنا هشام. ح وحدثني محمد بن سلام، قال: سمعت عثمان بن فرقد، قال: سمعت هشام بن عروة يحدث، عن ابيه، انه سمع عائشة رضي الله عنها، تقول:" ومن كان غنيا فليستعفف ومن كان فقيرا فلياكل بالمعروف سورة النساء آية 6، انزلت في والي اليتيم الذي يقيم عليه، ويصلح في ماله، إن كان فقيرا اكل منه بالمعروف".
Mujh se Ishaq ne bayan kiya, kaha hum se Ibn Numair ne bayan kiya, kaha ke humein Hisham ne khabar di (doosri sanad) aur mujh se Muhammad ne bayan kiya kaha ke mein ne Usman Bin Farqad se suna, unhon ne kaha ke mein ne Hisham Bin Urwah se suna, wo apne baap se bayan karte thay ke unhon ne Aisha (Radi Allahu Anha) se suna, wo farmatein theen ke (Quran ki ayat) «Wa-man kana ghaniyyan falyas-ta'fif wa-man kana faqeeran falya'kul bil-ma'roof» jo shakhs maldar ho wo (apni zir-e-parwarish yateem ka mal hazam karne se) apne ko bachaye. Aur jo faqeer ho wo naik niyate ke sath is mein se kha le.“ Ye ayat yateemon ke un sarparaston ke mutaliq nazil hui thi jo un ki aur un ke mal ki nigrani aur dekh bhaal karte hon ke agar wo faqeer hain to (is khidmat ke awaz) naik niyate ke sath is mein se kha sakte hain
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة