الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الشركة
Kitab: Sharakat ke masail ke bayan mein
باب القران فى التمر بين الشركاء حتى يستأذن أصحابه:
Bab: Do do khajooren mila kar khana kisi shareek ko jaiz nahi jab tak doosre sath walon se ijazat na le.
Show diacritics
Hadith Number: 2489
حدثنا خلاد بن يحيى، حدثنا سفيان، حدثنا جبلة بن سحيم، قال: سمعت ابن عمر رضي الله عنهما، يقول:" نهى النبي صلى الله عليه وسلم ان يقرن الرجل بين التمرتين جميعا حتى يستاذن اصحابه".
Hum se Khallad Bin Yahya ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Sufyan Sawri ne bayan kiya, kaha hum se Jabala Bin Suhaim ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mein ne Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) se suna. Unhon ne kaha ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne is se mana farmaya tha ke koi shaks apne sathiyon ki ijazat ke baghair (dastar khawan par) do do khajoor ek sath mila kar khaye
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2455
حدثنا حفص بن عمر، حدثنا شعبة، عن جبلة، كنا بالمدينة في بعض اهل العراق فاصابنا سنة، فكان ابن الزبير يرزقنا التمر، فكان ابن عمر رضي الله عنهما يمر بنا، فيقول: إن رسول الله صلى الله عليه وسلم" نهى عن الإقران، إلا ان يستاذن الرجل منكم اخاه".
Hum se Hafs Bin Umar ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, un se Jabalah ne bayan kiya ke hum baaz ahl-e-Iraq ke sath Madinah mein muqeem thay. Wahan humein qahet mein mubtala hona para. Abdullah Bin Zubair (Radi Allahu Anhuma) khane ke liye humare paas khajoor bhijwaya karte thay. Aur Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) jab humari taraf se guzarte to farmate ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne (doosre logon ke sath mil kar khate waqt) do khajoor ko ek sath mila kar khane se mana farmaya hai magar ye ke tum mein se koi shakhs apne bhai se ijazat lay lay
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة