الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الوضوء
Kitab: Wuzu ke bayan mein
باب السواك:
Bab: Miswak karne ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 245
حدثنا عثمان، قال: حدثنا جرير، عن منصور، عن ابي وائل، عن حذيفة، قال:" كان النبي صلى الله عليه وسلم إذا قام من الليل يشوص فاه بالسواك".
Hum se Uthman bin Abi Shaibah ne bayan kiya, kaha hum se Jareer ne Mansoor ke waaste se, woh Abu Waail se, woh Huzaifah se riwayat karte hain ke Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam jab raat ko uthte to apne munh ko miswaak se saaf karte.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 889
حدثنا محمد بن كثير، قال: اخبرنا سفيان، عن منصور، وحصين، عن ابي وائل، عن حذيفة، قال:" كان النبي صلى الله عليه وسلم إذا قام من الليل يشوص فاه".
Hum se Muhammad bin Kathir ne byaan kiya , ke hamein Sufyan Thauri ne Mansoor bin Mamar aur Husayn bin Abdur Rahman se khabar di , unhein Abu Wail ne , unhein Hudhayfah bin Yaman razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam jab raat ko uthte to munh ko miswaak se khoob saaf karte .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1136
حدثنا حفص بن عمر , قال: حدثنا خالد بن عبد الله، عن حصين، عن ابي وائل، عن حذيفة رضي الله عنه،" ان النبي صلى الله عليه وسلم كان إذا قام للتهجد من الليل يشوص فاه بالسواك".
Hum se Hafs bin Umar ne byaan kiya , kaha ke hum se Khalid bin Abdullah ne byaan kiya , un se Husayn bin Abdur Rahman ne un se Abu Wail ne aur un se Hudhayfah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam jab raat ko tahajjud ke liye kharay hote to pehle apna munh miswak se khoob saaf karte .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة