الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
کتاب المظالم والغصب
Kitab: Zulm aur maal ghasab karne ke bayan mein
باب نصر المظلوم:
Bab: Mazloom ki madad karna wajib hai.
Hadith Number: 2446
حدثنا محمد بن العلاء، حدثنا ابو اسامة، عن بريد، عن ابي بردة، عن ابي موسى رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" المؤمن للمؤمن كالبنيان يشد بعضه بعضا، وشبك بين اصابعه".
Hum se Muhammad Bin Alaa ne bayan kiya, kaha ke hum se Abu Usama ne bayan kiya, un se Buraid ne, un se Abu Burdah ne aur un se Abu Musa (Radi Allahu Anhu) ne, unhon ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se ke Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke ek momin doosre momin ke sath ek imarat ke hukum mein hai ke ek ko doosre se quwat pahunchti hai. Aur Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne apne ek hath ki ungliyon ko doosre hath ki ungliyon ke andar kiya
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 481
حدثنا خلاد بن يحيى، قال: حدثنا سفيان، عن ابي بردة بن عبد الله بن ابي بردة عن جده، عن ابي موسى، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إن المؤمن للمؤمن كالبنيان يشد بعضه بعضا، وشبك اصابعه".
Hum se Khalad bin Yahya ne bayan kiya , kaha hum se Sufyan Thauri ne Abi Burda bin Abdullah bin Abi Burda se , unhon ne apne dada Abu Burda se , unhon ne Abu Moosa Ashari raziyallahu anhu se . Unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam se ke aap salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ek momin doosre momin ke liye imarat ki tarah hai ke is ka ek hissa doosre hissay ko quwwat pehnchata hai . Aur aap salla Allahu alaihi wa sallam ne ek hath ki ungliyon ko doosre hath ki ungliyon mein dakhil kiya .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6027
وكان النبي صلى الله عليه وسلم جالسا إذ جاء رجل يسال او طالب حاجة اقبل علينا بوجهه، فقال:" اشفعوا فلتؤجروا، وليقض الله على لسان نبيه ما شاء".
Aur aisa hua ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam is waqt baithe huay thay ke ek sahab ne aa kar sawal kiya ya koi zaroorat poori karaani chahi. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam hamari taraf mutawajjo huay aur farmaya ke tum khamosh kyun baithe rehte ho balkay is ki sifarish karo taake tumhein bhi ajar mile aur Allah jo chahe ga apne Nabi ki zaban par jaari kare ga (tum apna sawab kyun khowo).
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة