الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المساقاة
Kitab: Musaqat ke bayan mein
باب إثم من منع ابن السبيل من الماء:
Bab: Is shakhs ka gunah jis ne kisi musafir ko paani se rok diya.
Show diacritics
Hadith Number: 2358
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا عبد الواحد بن زياد، عن الاعمش، قال: سمعت ابا صالح، يقول: سمعت ابا هريرة رضي الله عنه، يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" ثلاثة لا ينظر الله إليهم يوم القيامة ولا يزكيهم ولهم عذاب اليم: رجل كان له فضل ماء بالطريق فمنعه من ابن السبيل، ورجل بايع إماما لا يبايعه إلا لدنيا فإن اعطاه منها رضي وإن لم يعطه منها سخط، ورجل اقام سلعته بعد العصر". فقال: والله الذي لا إله غيره، لقد اعطيت بها كذا وكذا، فصدقه رجل، ثم قرا هذه الآية إن الذين يشترون بعهد الله وايمانهم ثمنا قليلا سورة آل عمران آية 77.
Hum se Musa Bin Ismail ne bayan kiya, kaha ke hum se Abdul Wahid Bin Ziyad ne bayan kiya, un se Aamash ne bayan kiya ke mein ne Abu Salih se suna, wo bayan karte thay ke mein ne Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) se suna ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya teen tarah ke log wo honge jin ki taraf Qiyamat ke din Allah Ta'ala nazar bhi nahi uthaye ga aur na unhein paak karega, balkay un ke liye dard naak azab ho ga. Ek wo shakhs jis ke paas raste mein zaroorat se ziyada pani ho aur us ne kisi musafir ko is ke istemal se rok diya. Doosra wo shakhs jo kisi hakim se baiat sirf duniya ke liye kare ke agar wo hakim ise kuch day to wo razi rahe warna khafa ho jaye. Teesre wo shakhs jo apna (bechne ka) saman asar ke baad lay kar khara hua aur kehne laga ke is Allah ki qasam jis ke siwa koi saccha maboud nahi, mujhe is saman ki qeemat itni itni mil rahi thi, is par ek shakhs ne ise sach samjha (aur is ki batayi hui qeemat par is saman ko khareed liya) phir Aap ne is ayat ki tilawat ki «إن الذين يشترون بعهد الله وأيمانهم ثمنا قليلا» ”Jo log Allah ko darmiyan mein day kar aur jhooti qasmein kha kar duniya ka thora sa maal mol lete hain“ aakhir tak
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2369
حدثنا عبد الله بن محمد، حدثنا سفيان، عن عمرو، عن ابي صالح السمان، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" ثلاثة لا يكلمهم الله يوم القيامة ولا ينظر إليهم: رجل حلف على سلعة لقد اعطى بها اكثر مما اعطى وهو كاذب، ورجل حلف على يمين كاذبة بعد العصر ليقتطع بها مال رجل مسلم، ورجل منع فضل ماء فيقول الله اليوم امنعك فضلي كما منعت فضل ما لم تعمل يداك". قال علي: حدثنا سفيان غير مرة، عن عمرو، سمع ابا صالح يبلغ به النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Abdullah Bin Muhammad Musnadi ne bayan kiya, kaha ke hum se Sufyan Sawri ne bayan kiya, un se Amr Bin Dinar ne, un se Abu Salih Samman ne, aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya teen tarah ke aadmi aise hain jin se Qiyamat ke din Allah Ta'ala baat bhi na karega aur na in ki taraf nazar utha ke dekhega. Wo shakhs jo kisi saman ke mutalliq qasam khaye ke ise is ki qeemat is se ziyada di ja rahi thi jitni ab di ja rahi hai halankay wo jhoota hai. Wo shakhs jis ne jhooti qasam asar ke baad is liye khayi ke is ke zariya ek Musalman ke maal ko hazm kar jaye. Wo shakhs jo apni zaroorat se bacche pani se kisi ko roke. Allah Ta'ala farmaye ga ke aaj mein apna fazl isi tarah tumhe nahi donga jis tarah tum ne ek aisi cheez ke faltu hisse ko nahi diya tha jise khud tumhare hathon ne banaya bhi na tha. Ali ne kaha ke hum se Sufyan ne Amr se kai martaba bayan kiya ke unhon ne Abu Salih se suna aur Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) tak is hadees ki sanad pahunchate thay
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2672
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا جرير بن عبد الحميد، عن الاعمش، عن ابي صالح، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" ثلاثة لا يكلمهم الله ولا ينظر إليهم ولا يزكيهم ولهم عذاب اليم: رجل على فضل ماء بطريق يمنع منه ابن السبيل، ورجل بايع رجلا لا يبايعه إلا للدنيا فإن اعطاه ما يريد وفى له وإلا لم يف له، ورجل ساوم رجلا بسلعة بعد العصر فحلف بالله لقد اعطى بها كذا وكذا فاخذها".
Hum se Ali Bin Abdullah ne bayan kiya, kaha hum se Jarir Bin Abdul Hamid ne bayan kiya Aamash se, un se Abu Salih ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Teen tarah ke log aise hain ke Allah Ta'ala un se baat bhi na kare ga na in ki taraf nazar utha kar dekhe ga aur na unhein pak kare ga balkay unhein sakht dard-nak azab ho ga. Ek wo shaks jo safar mein zaroorat se zyada pani le ja raha hai aur kisi musafir ko (jise pani ki zaroorat ho) na de. Doosra wo shaks jo kisi (Khalifat-ul-Muslimeen) se baiat kare aur sirf duniya ke liye baiat kare ke jis se us ne baiat ki agar wo is ka maqsad poora kar de to ye bhi wafadari se kaam le, warna is ke sath baiat-o-ahad ke khilaf kare. Teesra wo shaks jo kisi se asar ke baad kisi saman ka bhao kare aur Allah ki qasam kha le ke ise is ka itna itna rupiya mil raha tha aur khareedar is saman ko (is ki qasam ki wajah se) le le. Halankay wo jhoota hai."
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7212
حدثنا عبدان، عن ابي حمزة، عن الاعمش، عن ابي صالح، عن ابي هريرة، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" ثلاثة لا يكلمهم الله يوم القيامة ولا يزكيهم ولهم عذاب اليم: رجل على فضل ماء بالطريق يمنع منه ابن السبيل، ورجل بايع إماما لا يبايعه إلا لدنياه إن اعطاه ما يريد وفى له وإلا لم يف له، ورجل يبايع رجلا بسلعة بعد العصر فحلف بالله لقد اعطي بها كذا وكذا فصدقه فاخذها ولم يعط بها".
`Hum se Abdan ne bayan kiya, kaha hum se Abu Hamza Muhammad bin Sireen ne bayan kiya, un se A'mash ne, un se Abu Salih ne aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Teen aadmi aise hain jin se Allah Ta'ala qayamat ke din baat nahi kare ga aur na unhein paak kare ga aur un ke liye bahut sakht dukh dene wala azab ho ga. Ek wo shakhs jis ke paas raste mein zyada pani ho aur wo musafir ko is mein se na pilaye doosra wo shakhs jo imam se bai'at kare aur bai'at ki garaz sirf duniya kamana ho agar wo imam ise kuch duniya dede to bai'at poori kare warna tod de. Teesri wo shakhs jo kisi doosre se kuch maal mata' asr ke baad bech raha ho aur qasam khaye ke ise is saman ki itni itni qimat mil rahi thi aur phir khareedne wala ise saccha samajh kar is maal ko le le halanke ise is ki itni qimat nahi mil rahi thi.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7446
حدثنا عبد الله بن محمد، حدثنا سفيان، عن عمرو، عن ابي صالح، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" ثلاثة لا يكلمهم الله يوم القيامة، ولا ينظر إليهم: رجل حلف على سلعة لقد اعطى بها اكثر مما اعطى وهو كاذب، ورجل حلف على يمين كاذبة بعد العصر ليقتطع بها مال امرئ مسلم، ورجل منع فضل ماء، فيقول الله يوم القيامة: اليوم امنعك فضلي كما منعت فضل ما لم تعمل يداك".
Hum se Abdullah bin Muhammad Musandi ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne bayan kiya, in se Amr bin Dinar ne, in se Abu Salih Samman ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhune ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”teen aadmi aise hain jin se Allah Ta'ala Qayamat ke din baat nahi kare ga aur na in ki taraf rahmat se dekhe ga. Ek woh jis ne kisi saman ke mutalliq qasam khayi ke usay is ne itne mein khareeda hai, haalan-ke woh jhoota hai. Doosra woh shakhs jis ne Asr ke baad jhooti qasam is liye khayi ke kisi Musalman ka maal nahaq maar le aur teesra woh shakhs jis ne zaroorat se faltoo pani maangne wale ko nahi diya to Allah Ta'ala Qayamat ke din is se kahe ga ke jis tarah tu ne is zaaid zaroorat, faltoo cheez se doosre ko roka jise tere hathon ne banaya bhi nahi thu, main bhi tujhe apna fazhal nahi doon ga.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة